संदेश

Krishna ji ki Baal Lila part one

चित्र
Prabhu chalna shikh gye the. ak din ghar me akele the. manimya khambhe me apna pratibimb dekhakar dar gye the, apni pratibimb se bole ki mitra meri maiya se nahi bataana ki me makhan ki chori kar raha tha, aadha bhag tera aadha bhag mera. itne me hi yasoda ji aa jati hein. apni maiya se bolte hein ki maiya yah kon he, jo lobhvas makhan churane ke liye ghar me ghus gya he. me krodh karta hun to yah bhi krodh karta he.

yasoda ji and Krishna

चित्र
Prabhu yasoda maiya se bolte he ki daau mujhse bolte he ki teri maiya ne tujhe kharida he, tabhi to teri maiya gori,tere baba bhi gore hein tu kese kala ho gya he. Sab log mera majak urate hein sath hi sath nachhate bhi hein, isiliye me baahar khelne nahi jana chahata hu . tu sada mujhe hi Marti or datti he. daau ko kabhi n to datti he n hi Marti he. yasoda ji bolti hein ki Balram ganam se hi chugalkhor ttha Dhurt he. me Gayon ki kasam khakar bolti hun ki tu mera hi lal he  .

yasoda ji and Krishna

चित्र
Yasoda ji Prabhu ko chalna sikhati hein, larkharane par dono haat pakar leti hein, sath hi sath bolna bhi sikhati hein. mukh se mukh sataakar baat karne par Prabhu apni maiya ki naak pakar lete the. yasoda duvara ubtan lagate samay, malish karte samay, nahalaate samay, teyar karte Krishna ji khud ko chhurane Ka pryatn karte the. makhan ke liye kabhi Dahi mathne vali mathaani pakar lete the to kabhi choti or mala pakar lete the. ak din dono bhaiyon ne milkar yasoda ji ki choti khol diyein or motiyon ki Mala ko tor diye the.

nand ji and Krishna

चित्र
Nand ji Prabhu ki anguli pakar kar chalna sikhate hein, larkharane par hath ka Sahara dekar uthaate hein. bolna sikhate hein. Krishna ji ke do dant upper or do dant niche aa jate hein. Prabhu keval do kadam hi chal pate hein.

yasoda ji and Krishna

चित्र
Ak din yasoda ji Prabhu ko palne me jhula rahi thi, kabhi palne ko dhire dhire hilati to kabhi Krishna ji ka mukh chumkar pyar karti hein, sath hi sath Lori bhi gaati hein. nandlal ko nind nahi aa rahi thi, tab ve nind ko bolti he ki tu jaldi se mere lal ke paas kyu nahi aa rahi he, ati shighra aakar mere lal ko sulaja. Prabhu kabhi aankho ko band kar lete he to kabhi hoth farkaate hein. Prabhu sone ka dhikhaava karte hein, itne me hi Gopiyan aati hein. yasoda ji un logo ko ishare se chup rahane ke liye bolti hein. Krishna apne netro ko khol lete hein. Prabhu ki maiya phir unko ga gakar sula rahi thi.

trinavart Uddhar part two

Pandu desh me shastraksh name ka ak Raja rahata tha, jisne apni patniyon ke sath jal Vihar karte samay, aachanak Durvasa ji vahan aa gye the. parnaam nahi karne ke karan Rakshs hone ka abhisap or Prabhu ke duvara Uddhar hone ka vardan mila tha.

Trinavart Uddhar

Ak din yasoda ji Prabhu ko pakari hui thi, aachanak Prabhu bahut bhari ho gye the, jiski vagah se unko Dharti par sula di. Trinavart name ka ak Raksash Aaya tha. jisne Dhul or Balu ki musladhar Varsha karne laga is karan Brajpur me bahut jyada andhera ho gya tha. iske alava us dust ne bahut bhayankar aandhi tufaan chalaaya. isi ka labh uthakar vah Krishna ko Aakash me lekar chala gya tha. Prabhu usse bhi adhik bhari ho gye the. vah Danav Bhagavan ko unke bharipn ki vagah se chhorna chahta tha. Prabhu ne gala dabakar use markar mukti pradaan kiyein.