Mere blog me Radha Krishna ke bare me sabhi jaankari milegi. Prabhu ki a to z Lela.
nand ji and Krishna
लिंक पाएं
Facebook
X
Pinterest
ईमेल
दूसरे ऐप
-
Nand ji Prabhu ki anguli pakar kar chalna sikhate hein, larkharane par hath ka Sahara dekar uthaate hein. bolna sikhate hein. Krishna ji ke do dant upper or do dant niche aa jate hein. Prabhu keval do kadam hi chal pate hein.
Shri Krishna or Balram ji apne chhote chhote paav ko kichar me ghasitte hua chalte the. chalte samay kamar ke ghungharu madhur dhvani me aavaaj karne lagte the, jise sunker dono bhai bahut prasan ho jate the. kabhi kisi bachhare ki puchh pakar lete the, chhurane ki kosis karne par vah in dono bhaiyon ko bahut dur tak le jata tha, Kabhi kisi janvar ki sing to kabhi chhote janvar ke upper beth jate the. kabhi Talvaar uthaa lete to kabhi agni ko chhune ka paryatn karte the. kabhi kuaan ke paas chale jate the, rasi se bandhi kalsi se kuaan se pani nikalne ki kosis karne lagate the. bhari hone ke karan kalsi kuaan se bahar nahi aa pati thi. kabhi kisi janvar ki jib pakar kar khich lete the. kabhi mor ke dekha dekhi khud bhi nachane lagte the to kabhi uski bahut sunder pankh ko pakarne ko kosis karte the. kabhi kisi janvar ya pakshi ke aavaaj ki nakal karte the.
Gopiyan bolti hein nandrani agar ise hamaare ghar me makhan,dudh,dahi khaane ko nahi milta to, yah krodhit hokar bolta he ki jis ghar me mere liye khuchh bhi nahi rahegaa, us ghar me kahin se angaar laakar rakh dungaa, grih hi bhasm ho jaayga. unke baalko ko asi maar maarungaa ki grih-suvaamini bhi ismaran rakhegi, parmaan ke rup me ham sabke sote hua bachon ko rulaakar bhaag jaata he. ise kisi ne ak din chor kah diya, tab bahut jyada krodhit hokar, kahane lagaa ki ri chor me nahi,tu he,yah ghar mera he isiliye is ghar ki samast vastuan meri he, vaastav me to tu chor he. jab iska haat unchaai par rakhe hui Matki par nahi pahuch paata he, tab yah kankar ya barchhi ki sahaayata se chhed kar deta he. sabke sab thik chhed ke niche mukh karke baari-baari se makhan,dudh,dahi khaate or pite he. hamaare ghar me bare-bare upaay karke chori karta he, yahaan to ase bhethaa hua he bhole -bhaale baalk ke jese, vah re mere shaadhu maharaj.
Ak din Shri Krishna Makhan chori karte samay range haat pakare jaane par, Gopi se bolte hein ki ri tu maiya ke saamne mujhe apni god me lekar pyar karti thi, mene sochaa tere ghar jaaungaa,tera Makhan khaaungaa, tab tu mujhe or bhi adhik pyar karegi isiliye tere ghar makhan lene aayaa hun. Shri Krishna ka ispars,rup maadhurya or sangit se bhi jyada kaano ko khusi dene vaali vaani sunkar Mohit ho gayi, jiski vagah se Gopi ka man or budhi apne niyantaran me nahi the.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें