संदेश

Prabhu ka dusra ganamdin manaana

Shri yasoda ji Krishna ko Teyaar Karke, sabse pahale puja karne ke liye Mandir jaati hein. baro se aasirvaad shri Krishna ko dilvaati hein, chhoton ko uphaar deti hein, Brahmano ki puja karke, unki priya se Priya vastuan deti hein. sabko bhanti bhanti ke pakvaan khilaaya jata he. Prabhu ko bhi uphaar sabhi log dete hein. yasoda ji apne laal ko khilone ka laalach dekar Ghar par roki hui thi, nahi to Prabhu rukne vaale nahi the.

Krishna ji ke duvara Motiyon ki kheti

Ak din Brajpur me Bahu-mulya,durlabh bahut-bahut sunder motiyon ka vyaapaari aaya tha, jab vah braj-raaj ke ghar motiyon ke bane aabhusan dikhaa raha tha, tab hi Prabhu ak motiyon ki maala jabardasti lekar,ak-ak moti ko maala se nikaalkar bij ke jese miti ke under bo diye the . kuchh din baad Vishal motiyon ka vriksh ug aaya tha . gopiyan moti purokar mala pahana suru kar deti he. kisi ko bhi samajh nahi aaya ki motiyon ka vriksh kese panap gya he.

Krishna ke duvara yasoda ji se shikaayat

Shri Krishna bolte hein ki maiya jab me kheltaa hun tab, ye sabhi apne apne gharo me mujhe bulaakar mujhse anek kaam karvaati he. Kabhi kahati he ki makhan me se chitiyaan nikaalo to Kabhi bolti he ki pidhaa laakar de, Kabhi bolti he ki meri Matki us kamare se laakar de,Kabhi mujhse jhaaru pakaraane ko bolti he to kabhi mujhe bahut jyaada Nachaati hein. Ak tome in sab ka kaam bhi karta hun or Nachakar manoranjan bhi karta hun to bhi ye sabhi mujh par makhan chori ka aarop lagaati hein.

Krishna ki shikaayat yasoda jise

चित्र
Gopiyan bolti hein nandrani agar ise hamaare ghar me makhan,dudh,dahi khaane ko nahi milta to, yah krodhit hokar bolta he ki jis ghar me mere liye khuchh bhi nahi rahegaa, us ghar me kahin se angaar laakar rakh dungaa, grih hi bhasm ho jaayga. unke baalko ko asi maar maarungaa ki grih-suvaamini bhi ismaran rakhegi, parmaan ke rup me ham sabke sote hua bachon ko rulaakar bhaag jaata he. ise kisi ne ak din chor kah diya, tab bahut jyada krodhit hokar, kahane lagaa ki ri chor me nahi,tu he,yah ghar mera he isiliye is ghar ki samast vastuan meri he, vaastav me to tu chor he. jab iska haat unchaai par rakhe hui Matki par nahi pahuch paata he, tab yah kankar ya barchhi ki sahaayata se chhed kar deta he. sabke sab thik chhed ke niche mukh karke baari-baari se makhan,dudh,dahi khaate or pite he. hamaare ghar me bare-bare upaay karke chori karta he, yahaan to ase bhethaa hua he bhole -bhaale baalk ke jese, vah re mere shaadhu maharaj.

Gopi Ghar makhan chori part 11

चित्र
Ak din makhan chori karne ke vakt Prabhu pakre jaate hein. Gopi puchhati he ki tune makhan kyun churaaya? shri Krishna Bolte hein ki meri maiya mere haat me Mani-ratno se nirmit aabhusan pahanaati hein, jinke parkash se mera haat jal raha tha, isiliye mene thandak paane ke liye makhan haat me liyaa tha. Gopi Prabhu ki Baal pan vaali baat sunkar, hans -hans kar lot-pot ho jaati he. Kanhaiya ko pakarna ka vichaar bhi mastik me nahi aa paata tha, chunki shri Krishna pram-aanand ke maha-bhandaar hein. Prabhu ka rup hi asaa he ki maanav apni saara dukh,krodh bhul jaata he, yahaan to gopi ko Prabhu ka ispars ke sath sath unki Man-mohak vaani bhi sunane ko mili thi, fir Gopi kyun or kese n ho Shri Krishna ke prem me sab kuchh tayaagne vaali.

Gopi Ghar Makhan chori part 10

Kisi Gopi ne Matki me makhan apne sasur ke liye roti ke sath khane ke liye rakhi thi. Shri Krishna makhan churaakar, Matki ke under mitti ke bahut saare gol aakirity banaakar daal dete hein, in sab baaton se anjaan Gopi apne sasur ko roti ke sath khaane ke liye Matki de deti he. jab makhan ki jagah mitti ke tukre milte he tab uske sasur krodh hokar bolte he ki tu khaane ki roti ke sang mujhe mitti ka dhelaa deti he, mere sath hansi karti he, is ghar me ya to tu rahegi ya me, khakar bahar chale jaate hein. jab Prabhu apni sogandh dete hein tab hi vaapas aate hein. dusri baar fir khaana mangte he, Gopi isbaar taaja taaja makhan ke sath roti khaane ke liye deti he. Brajpur ke nivaasi shri Krishna se bahut prem karte the, isiliye Gopi ke sasur ne Prabhu ki kasam khaakar unki baat maan liye the.

Gopi Ghar makhan chori part 9

चित्र
Ak din Gopi khaat par sone ka naatak kar rahi thi. Sochi thi ki shri Krishna ko bharam me daalkar, use aasaani se pakar lungi. chupke chupke Prabhu sakhaaon ke sang aate hein, lekin Gopi ko Krishna Makhan mandali ke aane ka pataa nahi chal paata he, chunki vah shri Krishna Chintan me sab kuchh bhul gayi thi, yahaan tak ki khud ko bhi, isi ka laabh uthaakar kanha Gopi ki choti khaat ki kinaari se baandh dete hein. iske baad hi Gopi Chintan chhetra se baahar nikalti he bolti he. Kanhaiya meri choti khol de. kholnaa to bahut dur ki baat he, Prabhu apne mitro ke sath use chidhaa chidhaa kar makhan khaa rahe the. khaakar sabke sab Gopi ke sote hua bachon ko chikoti kaatkar bhaag gye the.