संदेश

Shri Krishna ki khelne ki Lila

चित्र
Shri Krishna or unke mitr, bhramar tthaa koyal ki nakal karne lage the. aakaash me urte hua pakshiyon ki sachal chhaaya dekhakar, unhe nya hi khel hath laga tha. ve us chhaya ka hi anusaran karte hua, chhaya par apne charan rakhate hua, chalne ki kosis me, parbal veg se, bhaagne lage the. bich me sarovar aa jaane se aage nahi jaa paaye the. Prabhu ki Divya-ati-divya sugandh ki mahak pakar, Hans, Bagule or moro ka samuh shri Krishna ke paas aa gya tha. sabke sab in pakshiyon ki nakal karne lage the. jab Prabhu mor ki dhekhadheki naach rahe the, tab Bandaron ka samuh, Prabhu ka nritya dhekhane niche aaye the, jinse darkar sab pakshi bhaag gye the. Gop baalkon ko vaanro par krodh aa jaata he ki in bandaro ne hamaare mitr ka nritya me baadha dali isiliye inko to sabak shikhaana hi parega. ye log bandaron se jhagraa karne lage the. bhagaane ke liye upper vriksh par chadh gye the. jab kapi samaaj bahut dur chala gya tab gop balak chen ki saans liye the. Gop baalako ka samuh or bandaro ka sam

Shri Krishna ki Bachhare charaane ki Lila

चित्र
Kisi Bachhare ka kanth apni sunder bhujaaon me dharan kar lete the, or fir uske sir par apna sir rakh lete the. Prabhu ka Asim prem pakar sab Bachhare apni chanchalta tyaagkar, unke anusar vyvahaar karne lagte the. Shri Krishna ke haato ki kathputli ban gye the. Radha Raman Bachharon ki a to z suvidha ka dhyaan rakhate the. kisi ke sarir par lage dhuli kano ko, kahin se saadhan jutaakar usme jal bharkar sarir ko saaf karte the. Prabhu unke liye hari,sukomal ghaas ya any khaane ki chije sanchay karte the. Govats ko khilaane vaali vastuon ko pahale mahakte phir suvaad ki parikshaa lete the. yadi thik laga to Bachharon ko khaane ke liye bol dete the. Gop baalak unki sahaayta jarur karte the, parantu adhiktar kaam Prabhu hi karte the. Prabhu ke mitron ne bhaanti bhaanti ke puspon se anek maala banaaye the, jinse shri Krishna  Bachharon ko sajaaye the.

Vyomasur ka pichhala ganam

Bhimrath name ke Raja apne putr ko sinhhaasan dekar, suyam Malyaachal par tapasya karne gye the. vahaan par Rishi pulsty apne sisyon ke sath aaye the, jin logo ko Maharaj ne parnam kiye n hi uthkar khare hua the, jiske karan Saint ko krodh aa gya tha, jiske vasibhut hokar unhone raja ko Rakshs hone ka abhisaap diye the. Maafi maangne par shri Krishna ke duvaara, uddhaar ka vardaan bhi mil gya tha. yahi rajan vyomasur banaa tha.

Vyomasur ka Uddhaar

Ak din Prabhu apne Mitron ke sath Bher, Bheria or Rakshas ka khel khel rahe the. ak rakshs Gop baalak ka rup banaakar unke bich shaamil ho gya tha. khel me vah Bheria bankar Gop baalkon ko le jaakar, Parvat ki kandara me rakhakar uske duvar ko shilaa se band kar deta tha. antaryaami se kya kuchh chhipaa rah sakta he? uddhaar ke nischit samay me hi Prabhu Danvon ko markar unko mukti pradaan karte hein. shri Krishna us dust ko bahut jor se pakarkar, dharti par gira diye the. uski naak or mukh par anguli rakhkar, praan vaayu aane jaane ke marg ko rok diye the, jiske karan uski mrityu ho gayi thi. Gardan marorkar niche shila khand par patak diye the. uski aatma nikalkar Prabhu me sama gayi thi. Devgn Fulon ki Varsa karne lage the. Us Asur ke pero se bane Nisan se, Prabhu sabhi gval baal ka pata laagakar, un sabko pahaar ki guphaa se aajaad karvaaye the .

Bakaasur ka pichhala ganam

Hygriv ka putra Utkal danav, Asuron ka samudaay lekar Sindhu- Sagar ke sangam ke tat ke paas gya tha, nikat Jaajli name ke Saint apne aasharam me rahte the, jo Utkal ko Machhaliyon ko marte hua dekh liye the. ve use baar-baar samjhaate the ki Matsyon ko nahi mar, phir bhi vah nahi mana, tab sadhu ne abhisaap diye ki tu Bagule ki tarah aacharan kar raha he isiliye tu Bagule ho ja. kshmaa mangne par, shri Krishna ke duvara uddhaar ka vardaan mila tha.

Bakaasur ka uddhaar

चित्र
Ak din ki baat he, sab Gvaal-baal apne jhund-ke- jhund Bachharon ko Pani pilaane ke liye srovar ke paas gye the. sabse pahale bachharon ko jal pilaya gya tha, baad me suyam piya gya tha. vahaan par sabhi ne atyant Vishal Bagule ko dekhe the. us dust ne jhapatkar Shri Krishna ko nigal liya tha, iske turant baad Balram or Gop baalak murchhit ho gye the. Dev samudaay chitkaar kar uthaa. Prabhu Bakaasur ka taalu jalaane lage the. jab jalan sahan nahi hui to usne Shri Krishna ko mukh se bahar kar diya tha. vah soch raha tha ki taap ke karan shri Krishna nahi bachega, prantu Prabhu uske mukh se sahi-salaamat bahar aa gye the. ab vah shri Krishna par chonch se prahaar karne laga tha. Prabhu ak haat se chonch ke upper ke hise ko pakarte hein or niche ke hise ko per se pakarte hein, chirkar us danv ka uddhaar kiye the.

Krishna and vatsaasur

Muru ka putr Parmil, jo ak Rakshs tha. Vasisth ji ki nandani name ki gay par mohit ho gya tha, jo bahut sunder thi. chhal se paana chaahataa tha. Brahman ka rup banakar unke aasharam me gya maangane. vasisth ji or unki gaay tejsavi the. dekhate hi pahachaan liye ki yah kon he. vasisth ji kuchh nahi bole, lekin nandani gay ne muru ke putr parmil ko bachhare ki yoni me jaane ka abhisaap di thi. maafi mangane par Krishna ke duvara tumhara uddhaar hoga" ka, vardaan bhi mil gya tha. yah sab bachharo se alag tha, isiliye Krishna ji ke bachharo jesa rup banakar unke bich samil ho gya tha.