संदेश

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

चित्र
Shri Krishna or Balram ji apne chhote chhote paav ko kichar me ghasitte hua chalte the. chalte samay kamar ke ghungharu madhur dhvani me aavaaj karne lagte the, jise sunker dono bhai bahut prasan ho jate the. kabhi kisi bachhare ki puchh pakar lete the, chhurane ki kosis karne par vah in dono bhaiyon ko bahut dur tak le jata tha, Kabhi kisi janvar ki sing to kabhi chhote janvar ke upper beth jate the. kabhi Talvaar uthaa lete to kabhi agni ko chhune ka paryatn karte the. kabhi kuaan ke paas chale jate the, rasi se bandhi kalsi se kuaan se pani nikalne ki kosis karne lagate the. bhari hone ke karan kalsi kuaan se bahar nahi aa pati thi. kabhi kisi janvar ki jib pakar kar khich lete the. kabhi mor ke dekha dekhi khud bhi nachane lagte the to kabhi uski bahut sunder pankh ko pakarne ko kosis karte the. kabhi kisi janvar ya pakshi ke aavaaj ki nakal karte the.

yasoda ji se Chand ki maang part two ka secand hissaa

चित्र
Yasoda maiya bolti hein ki lala ak kshir Sagar he, jo Dudh se bana hua he. Prabhu puchhane lage ki kitni sari Gayon ke Dudh se yah bana hoga. maiya bolti hein ki yah Gayon ke Dudh se nahi bana he. tab Prabhu kahate hein ki isme itnaa Sara dudh kese or khan se aa gya. maiya bolti hein ki jisne Gayon me Dudh banaye hein ve bina Gayon ke bhi dudh bana sakte hein. Prabhu saval karte hein ki vah kon he, maiya bolti hein ki ve parmaatma hein. ak bar Devon or danvon ne milkar samundra manthan kiye the. mandrachal parvat rai ttha vasuki ji rasi bane the. ak taraf devgn dusri taraf rakshs log vasuki naag rupi rasi ko kicch rahe the. maiya jese Gopiyan Dahi mathati hein. kshir Sagar se kalkut namak vish nikla tha. Prabhu puchhane lage ki vish to sapon me hota he Dudh vale samundra me kese aa gya. putra Bhagavan shiv ke vish pite samay uski kuchh bunde dhara par gir jati he jise pine par sapon me vish aa gya tha. isimese yah chand bhi nikla he isliye isme bhi thora sa vish aa gya tha isiliye isme

yasoda ji se Chand ki maang part two

चित्र
Dusri baar prabhu phir Ch and ki demand karte hein ki mujhe ise khana he. Krishna ki maiya Pani se bhara bartan aangan ke bich me rakhkar bolti hein ki chandarma jaldi se mere lal ke paas aao yah tumhare sath sath khelega, prithvi par tumhe nahi rakhega, apni manpasand chig tumko khilayega. Nandlal ke duvara Pani ke bartan me se Chand nikalte samay jal hilne par vah adrisya ho jata tha. Prabhu samagh jate hein ki maiya ne mujhe murakh banaai he, ruth jate hein. yasoda ji kahati hein ki Chand tujhase darkar pattal me chala gya he. vah tere netro ko kamal or tune apne dono kan me jo kundal pahan rakha he use surg samaghkar bhay bhit hokar bhaag gya he. bolta tha ki me tumhari Saran me hun mujhe chhor do. Prabhu bolte hein ki uska dur rahane ka jo ghamand he mujhe nast karna he maiya bolti hein ki isme kala daag laga hua he Prabhu puchhane lage ki isme daag kese lag gya he.

yasoda maiya se Chand ki maang

चित्र
Yasoda ji gopiyon ke sath baatchit kar rahi thi, paas me hi Prabhu khel rahe the, acchanak unki najar Chand par parti he phiche se apni maiya ka ghunghat utaar dete hein choti khichane lage the,pith thap thapane lage the, totali vani me bole ki me lunga, me lunga. yasoda ji ishare se gopiyon ko apne lal se puchhane ke liye bolti hein. tab kisi gopi ne Prabhu se Atyant prem se puchhati hein ki tujhe kya Chahiye. Prabhu ungli se ishara kar dete hein. Gopiyan bolti hein ki o mere baap yah Makhan thori he jo tujhe dedenge, yahto gagan rupi srover ka hans he. Krishna totali vani me bole ki ichako ghal jane che pahale lakal do, mujhe ichake sach kelna he. dusri Gopi boli ki yah to Chand he phir bhi Prabhu nahi mante hein, jor jor se per patkne lage the, dono haat se gala pakar lete hein, tab yasoda ji bolti hein ki me tumhare liye dulhan lakar dungi, Balram ko nahi batana. Prabhu bolte hein ki jaldi se mujhe dulan lakal dena. dusre din yasoda ji bahut sunder guriya Prabhu ke haat me dete hua

Leela of Baal Krishna

चित्र
Prabhu ko Dudh pillane ke liye yasoda ji parlobhan deti hein ki kacha Dudh pine par tumhari choti Balram ki choti ki tarah lambi or moti ho jayegi. Baal bate samay,nahaate samay nagin ki Tarah Dharti par lotne lagegi. kuchh din baad Prabhu apni choti pahale ke jesi pakar apni maiya se ruth jate hein, bolte hein ki tu mujhe roti or makhan nahi deti he. jhuth bolkar Dudh pine ko boli thi.

yasoda and Krishna

चित्र
Yasoda ji abhillasha karti hein ki kab mera putra ghutno ke bal sarknaa suru karega,  kab chalne lagega,bolne lagega,kab Dudh ke dant dekhungi,kab mujhe maiya ttha apne pita ko Baba bolega,kab thora thora karke khaana suru karega,kab mujhse vibhin parkar ki chige mangega,kab apne haat se khaane lagega,kab haskar mujhse bolega apne lal se bolti hein ki, tu mujh kamgaalini ka Anmol dhan sampati he, pata nahi kis ganam ke punya ke karan kon devta bar bar teri raksha karte hein. kyun Rakshs baarmbar tujhpar aakraman karte he. yesoda maiya parmaatma se hamesha apne lal ke Kalyan ki prathna karti thi jo suyam purn Brahm parmaatma the .

Krishna ji ki Baal Lila part one

चित्र
Prabhu chalna shikh gye the. ak din ghar me akele the. manimya khambhe me apna pratibimb dekhakar dar gye the, apni pratibimb se bole ki mitra meri maiya se nahi bataana ki me makhan ki chori kar raha tha, aadha bhag tera aadha bhag mera. itne me hi yasoda ji aa jati hein. apni maiya se bolte hein ki maiya yah kon he, jo lobhvas makhan churane ke liye ghar me ghus gya he. me krodh karta hun to yah bhi krodh karta he.