yasoda ji se Chand ki maang part two
Dusri baar prabhu phir Chand ki demand karte hein ki mujhe ise khana he. Krishna ki maiya Pani se bhara bartan aangan ke bich me rakhkar bolti hein ki chandarma jaldi se mere lal ke paas aao yah tumhare sath sath khelega, prithvi par tumhe nahi rakhega, apni manpasand chig tumko khilayega. Nandlal ke duvara Pani ke bartan me se Chand nikalte samay jal hilne par vah adrisya ho jata tha. Prabhu samagh jate hein ki maiya ne mujhe murakh banaai he, ruth jate hein. yasoda ji kahati hein ki
Chand tujhase darkar pattal me chala gya he. vah tere netro ko kamal or tune apne dono kan me jo kundal pahan rakha he use surg samaghkar bhay bhit hokar bhaag gya he. bolta tha ki me tumhari Saran me hun mujhe chhor do. Prabhu bolte hein ki uska dur rahane ka jo ghamand he mujhe nast karna he maiya bolti hein ki isme kala daag laga hua he Prabhu puchhane lage ki isme daag kese lag gya he.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें