yasoda ji se Chand ki maang part two ka secand hissaa
Yasoda maiya bolti hein ki lala ak kshir Sagar he, jo Dudh se bana hua he. Prabhu puchhane lage ki kitni sari Gayon ke Dudh se yah bana hoga. maiya bolti hein ki yah Gayon ke Dudh se nahi bana he. tab Prabhu kahate hein ki isme itnaa Sara dudh kese or khan se aa gya. maiya bolti hein ki jisne Gayon me Dudh banaye hein ve bina Gayon ke bhi dudh bana sakte hein. Prabhu saval karte hein ki vah kon he, maiya bolti hein ki ve parmaatma hein. ak bar Devon or danvon ne milkar samundra manthan kiye the. mandrachal parvat rai ttha vasuki ji rasi bane the. ak taraf devgn dusri taraf rakshs log vasuki naag rupi rasi ko kicch rahe the. maiya jese Gopiyan Dahi mathati hein. kshir Sagar se kalkut namak vish nikla tha. Prabhu puchhane lage ki vish to sapon me hota he Dudh vale samundra me kese aa gya. putra Bhagavan shiv ke vish pite samay uski kuchh bunde dhara par gir jati he jise pine par sapon me vish aa gya tha. isimese yah chand bhi nikla he isliye isme bhi thora sa vish aa gya tha isiliye isme kala daag lag gya tha.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें