संदेश

Gopi Ghar Makhan chori part 5

चित्र
Ak din kisi Gopi ne Shri Krishna ko pakarne ke liye unche chhike par Makhan ka bartan rakh diya thi, usise sataakar ak ghanti baandh di thi, taaki aavaaj hone par vah yasoda laal ko pakar sake. Prabhu chori karte samay ak haat se ghanti jisse sabd n ho,dusre haat se nichale hise ke bich me chhed kar diye the, apna or apne doston Ka muh chhidra ke niche karke, makhan kha rahe the. Krishna jab makhan churaane aaye the tab unkaa haat chhike par nahi pahuch raha tha, jiske liye Prabhu ak upaay nikaale the_ karam se tin pidhaa rakhakar uske upper apne mitra ko chadhaa diye or khud uske kandhe par chadh gye makhan churane ke liye. Prabhu navnit haran kar hi rahe the itni der me Gopi aa gayi. apne mukh me rakha makhan gopi ke chehare par chhirak kar bahut tej gati se bhaag gye the. vah unsabko pakar bhi nahi paayi thi.

Gopi Ghar Makhan chori part 4

चित्र
Ak din Shri Krishna Makhan chori karte samay range haat pakare jaane par, Gopi se bolte hein ki ri tu maiya ke saamne mujhe apni god me lekar pyar karti thi, mene sochaa tere ghar jaaungaa,tera Makhan khaaungaa, tab tu mujhe or bhi adhik pyar karegi isiliye tere ghar makhan lene aayaa hun. Shri Krishna ka ispars,rup maadhurya or sangit se bhi jyada kaano ko khusi dene vaali vaani sunkar Mohit ho gayi, jiski vagah se Gopi ka man or budhi apne niyantaran me nahi the.

Gopi Ghar Makhan chori part three

चित्र
Ak din Makhan chori karte samay, keval Prabhu pakare jaate hein. Gopi haat pakar kar Krishna ki maiya ke paas unko le jaane ki kosis karti he, bich raste me Prabhu uska haat_ uske pati ke haat me pakaraa dete hein, khud aakar jaldi se chaadar odhakar sone ka dikhaavaa karte hein. Gopi yasoda ji se bolti hein ki aaj me tere laal ko makhan churaate samay pakar kar laai hun , dekh lo. Prabhu ki maiya haskar bolti he, jiska haat pakar kar laai he uska ak baar mukh to dekh le. jese hi Gopi cheharaa dekhati he vese hi sharmaa kar apne Ghar tej gati se chali jaati he. Shri Krishna Chintan me vah itni dub gayi thi ki kab Prabhu haat chhuraakar bhaage use pataa bhi nahi chalaa tha.

Gopi Ghar Makhan chori part two

चित्र
Ak din Shri Krishna Subha Subha Kisi Gopi ke Ghar jaakar bolte hein ki mari maiya ne Saint sevaa ke liye taajaa makhan mangi he, boli thi ki tu bahut jaldi savere savere makhan nikaal deti he. ak Matki makhan se bhari hui mangi he, iske badle me baad me do makhan se bhari Matki de dungi. Gopi bolti he ki do makhan se bhari Matki le jaao sath hi sath misri bhi le jaao, maiya se kahanaa me bhi apni taraf se saint seva karna chaahati hun. Prabhu apne doston se bole ki jiske Ghar chori ki ho uske ghar khaane me aanand aataa he isiliye ham sabhi is Gopi ke Ghar ke  darvaaja se satkar bethkar makhan khaayaa jaaye. khane ki aavaaj sunkar Gopi duvaar kholti he Prabhu or unke sakhaaon ko makhan or misri khaate hua dekhane par bolti he makhan saint sevaa ke liye chahiye tha ya apne or apne mitron ke liye? shri Krishna bolte he ye log bhi Baal saint he. Gopi bolti he ki acchaa tab to inkaa bhi acche se suvaagat honaa Chahiye vo bhi dande

Gopi ke Ghar makhan chori part one

Makhan churaate samay Prabhu ko mani se bane hua khambhe me apna pratibimb dikhaai detaa he. Shri Krishna usse bolte hein ki kisi ko mat bataana me makhan chura raha tha. aaj se hm dono sathi hua. me makhan kha raha hun tuh bhi kha, bolkar mukh rupi pratibimb me makhan daalte hein, lekin vah niche gir jata he. Prabhu usse bole" are bhai fek kyu raha he,bavlaa ho gya he? nahi bhai yah thik nahi he, aadhaa bhaag tera aadhaa  bhaag mera. dusri baar thora se adhik makhan apne pratibimb ke mukhh me dalte hein, fir gir jata he. shri Krishna usse bolte hein tune fir giraa diya. kya sab lena chaahataa he, nahi bhai yah uchit nahi he. achhaa ab tu maan jaa, khaa le,dekh kitnaa suvaadist he. acchaa lagegaa to isse bhi jyada dunga . Gopi Krishna rup maadhurya ras pine me itni kho jati he ki Prabhu ko pakarna bhul jati he.

Shivaji and Krishna

Shivaji Gokul me Prabhu ka darsan karne ke liye, sadhu ka rup banakar parvesh karte hein. Shri yasoda se Krishna ko dikhaane ki praathanaa karte hein. Radha Raman ji ki maiya bolti hein ki aapki manpasand chige de dungi prantu apne laa laa ko ajnabiyon ko nahi dikhaaungi. sadhu bolte hein me kelaash parvat se aaya hun. apni Shakti se muktaa har prakat karke bolte hein ki mujhase tum jo ikshaa ho mang lo. yasoda ji bolti hein ki kelaash parvat par bhagavaan Shivaji ke darsan kyun nahi kiye? Uma Nath bolte hein ki Isver ke Baal rup ka darsan sabse jyada durlabh he, kripa karke apne laal ka darsan karvaaiye. jabtak aap mujhe apne putra ko nahi dikhaayengi tabtak me yahi vriksh ke niche bethaa rahunga. Shivaji manhi man Prabhu se prathanaa karte hein, idhar Prabhu apni yogmaya ko yasoda ji ke paas jakar, unko samjhaane ke liye bolte hein. iske baad Prabhu jor jor se rona suru karte hein. Prabhu ki maiya apne kanha ko dudh pilaati hein,khilona khelne ke liye deti hein,bhanti bhanti ke pasu,

kanv Brahman par kripa

Gopiyon ke mukh se Shri Krishna ki rup maadhurya or Baal Lela varnan sunkar, kanv ne unsabse puchhe ki kinke putra ke visya me baat kar rahi ho? gopiyan ne kahaa yasoda or Nand ji ke putra ke bare me baat kar rahi thi. ye Brahman dev madhuvan ke akaant me Prabhu ki nirvighn bhakti karte the. Gokul ki dharti par apne ist dev ki puja karne ke liye pusp chunane or falon ko torne aaye the. parsansa sunkar Krishna ke ghar gye. yasoda or nand ji bhojan karne ke liye bolne lage. Brahman dev bole mughe khir banane ka saman de dijiye, me ise banakar apne Prabhu ko arpan karke, iska prasad praapt karunga. kanv khir banakar apne istdev ko arpan kar manhi man kuchh bolne lage, ankhe kholne par dhekhe ki yasoda laal khir kha raha he. dusri baar khir banaane ki prathanaa karke, Krishna ko apne godi me bethaakar, kahin jane nahi deti hein. acchi vaayu chalne ke karan dono ko nind aa jati he. sabse pahale Prabhu jaagkar, kanv Brahman duvara dusri bar banaai hui khir khaa rahe hein. tisri baar yasoda j