Ukhal Bandhan Lila little Krishna story
Shri Krishna ke bandh jane ke baad bhi, gopiyan premvash, shri yasoda ji se Prabhu ko chhorne ki vinti karti he. un sabki praathana asuvikaar kar deti hain. .gopiyon ko maiya ke Bandhan se chhurane me asamarth jaankar, Prabhu Balram ji ko ro rokar pukaarte hein. rone ki dhvani sunkar, Nand Bhavan ki taraf chal parte hein, Upnandan ji ke ghar se, jahaan apni Rohini maiya ke sath gye the. raaste me mili gopi Kanhaiya ke rone ka karan vistaar se bataa deti he. Balram ji bhi vinti karte hein ki kanha ko chhor do, chhoti maiya, yasoda ji baat ko ansuni kar deti hein. Brajrani ke vyavahaar se Balraam ji krodh se kuchh bolkar, shri Krishna ke nikat chale gye the. Prabhu ke paas Balraam ji ke alaava sabhi mitra the. ve sabhi apne sakha ko Bandhan se mukt karaane ko chhatpataa rahe the. sabhi ne kosis ki thi rasi ko kholne ki, prantu fail ho gye the. shri Krishna apne doston ko bole ki mitro mere paas ak upaay he. tum sab milkar pichhe se is ukhal ko dhakaa dekar ludhkaao, me bhi dhakaa lagaata hun. yamlaarjun ki taraf chalaa jaaye, iske bich me se nikalne ke liye mere liye paryaapt isthaan he, isliye me to nikal jaaunga. yah ukhal un vriksho ke bich ja nahi payegaa, me ise tedhaa kar dungaa. is paar ke ukhal ki rasi ko, us paar se jhatkaa de dungaa, dor apne aap tut jaaegi. is yognaa ke anusaar kaam karnaa suru kar dete hein, bich bich me shri Krishna apne mitro ko isaare se bahut dhere bolne ke liye bolte hein, taaki tej aavaaj sunkar yasoda maiya n aa paaye. shri Krishna apne doston ki sahaayata se ukhal bandhan se mukt ho gye the. dono vrikshon ke tutne par, bahut tej aavaaj hui thi. Nalkubar or Manigriv name ke divya purush in vrikshon me se nikle the, jinhe vriksh yoni me jaane ka abhisaap mila tha.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें