Aghaasur Uddhaar Lila

Aghaasur_ atyant Vishal Ajgar ke rup dhaaran kar, bich maarg par let gya tha. uska sarir parvat ke jese vishal or mota tha. jib mano koi lambi laal sarak ho, Hoth ka uperi hissaa Baadal  ko chhu raha tha, niche ka hissaa Dharti ko ispars kar raha tha. Shri Krishna ki anupasthiti me sab Gop baalak Gufa samajhkar iske under chale gye the . dust soch raha tha ki jab tak meri bahan putna or bhai bakasur ka hatyaara_ Shir Krishna mere mukh me parvesh nahi karega, tab tak me in sabhi ko nahi niglungaa. Shri Krishna uske mukh me parvesh karke, apne sarir ko itna vishal itna vishal banaa diye the ki aghaasur saans bhi nahi le pa rha tha. uski aankhe_ jinse, agni ki jvaala ke taap ke samaan, taap nikal raha thi, ulat gayi thi. Shri Krishna or unke mitr baahar aa gye the, uske mukh se, jisase garam or thiki havaa aa rahi thi. Prabhu ke duvaara Deh badhaane se, us danav ko praan vayu le nahi pa raha tha, jiski vagah se uski mrityu ho gayi thi. aghaasur ke mrit sarir se ak divya aatma nikali, jo shri Krishna ke baahar aane par, unme samaa gayi thi. 

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4