Balram jaane Brahma ki kartute

Jab ak vars pura hone me chha din baache the, tab ak din Shri Krishna, Balram ji ke sath Bachharon ko charaate hua van me gye the, us samay gaayein Govardhan ki choti par ghaas charte samay, jese hi apne Bachhare ko dekhi, vese hi atyant vaatslya prem me parkar, bahut-bahut tej gati se, ase raaste se hokar bhaagi thi, jo atyadhik durgam tha. apne apko,aas-paas ki vastuon or Gvaalo ko bhi bhul gayi thi. bachharon ke nikat jaakar pyar se Dudh pilaane lagi thi. us samay apne bachon ka ak-ak ang ase chaat rahi thi, mano unhe pet me rakh lengi. Gopo ko gaayon ko rokne ki kosis ki vifaltaa par kuchh laggaa or apne bachon Gop baalkon par bahut gussaa aaya tha. inhi logo ki tej aavaj sunkr hi Gaayein yahaan par aayi hein. ye to pasu he inko uchit- anuchit ka antar nahi pata, prantu in Gvaal Baal ko to maalum he. abhi jaakar in sabko sabak shikhaate hein. jese hi Gvaalo ne Gvaal baal ko dekhe, vese hi sab krodh gaayab ho gya tha. unka hridya pram ras srabor ho gya tha. ve sab bhi apne apne bachon ko bahut pyar karne lage the. Balram ji dekhe ki sabhi ke man me Shri Krishna  ke prati jo asim isneh he, vesaa hi isneh in Gop baalkon or Bachharon ke prati bhi hota ja raha he. jisne ak baar bhi shri Krishna me sukh ka anubhav kiya he, usne apna sara pyar keval shri Krishna par lutaa diya he. anay se prem hona asambha he. tab yah kya he? jo me dekh raha hun. kya yah kisi Devta ki, Manusya ki ya kisi daanav ki maya he? kisi ki maya me itna saamtharya nahi he jo mujhe bhi mohit karle. Divya dristi se dekhane par Balram ji ko Shri Krishna ke rup me sabhi Gop Baalak or Bachhare najar aate hein. Balram ji ke duvaara puchhane par shri Krishna sari baat bata dete hein .

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4