Brahma ji ka apne lok se praabhav

Bachharon or Gvaal baal ko yathaa isthaan isthaapit kar, Brahma ji Brahmalok me apne aavas ke sinh duvaar par pahuche the. Duvaarpalon ne pahaanane se inkaar kar diye the, kahane lage the ki mahasya aap koi bhi hon. satlok ke adhipati hamaare suvaami aap nahi ho , hamaare suvaami apne aasan par viraajmaan hein.   Devgn, Sankaadi, Devarsi Narad unke mukh se shri Krishna katha ko sun rahe hein . pata nahi, hamaare suvaami ki aakriti ka anukaran karne vale aap kon hein? Brahma ji dekhe ki inki vaani me oj,purn visvaash he,ak ajey shakti inhe privyapt kar rahi he, jabardasti parvesh karna asambhav he, atha ve bole ki me tumhaare suvaami ka darsan karna chaahata hun. jaakar dekhane par unhe apne aasan par ak chaturmukh Brahma viraajit najar aaye, jinke sarir se koti-koti Ravimandal ka tej satlok ke kan-kan ko parkasit kar raha tha  tthaa jinke mukh se Vedo ka Madhur svar me paath ho raha tha. jese hi duvaar paalon ne Brahma ji ke bare me bataaye, vese un sabko aadesh mila ki duvaar paalon mere alaava Brahma aasan par kisi ka bhi adhikaar nahi he . inhe satlok ki sima se bahar kar do_ tthaa dekhte hi-dekhte apne hi kinkaro duvaara apne hi lok se nikaal diye jata hein. Brahma ji sochate hein ki mene Prabhu ke bhakton ke prati jo apraadh kiya he, usika mujhe dand mila he. Bhagavaan Shri Krishna ko chhorkar kisi me bhi itni shakti nahi he jo mere pad ko mughse chhin le. iska arth yah he ki apni kursi par jinko mene bethe hua dekha tha, ve suyam Radha Raman the. kursi chali gayi koi baat nahi, me Prabhu ki najaron se nahi girna chaahata hun.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4