Shri Krishna and Brahma
Shri Krishna Bachharon, Gop baalkon or Brahma ji ko aanand pradaan karne ke liye, apne-aapko hi Go-vats ttha Gvaal-baal ke rup me bana liye the. ve baalak or Bachhare jitni ginti me the utne hi Prabhu suyam ban gye the, jesa unka sarir tha,jesi unki chige thi chhariyaan, Singi, Baansuri,patte,chhike,jese v jitne aabhusan pahane hua the,jese vastra dhaaran kiye hua the,unke shil,svabhaav,gun,name,rup or avasthaayein jesi thi,jis parkar ve khaate,pite,chalte the thik vese hi utne hi rupo me Bhagavaan shri Krishna prakat ho gye the. haran karne ki ghatna se pahale, Gopiyaan or Gaayein Shri Krishna ke vaapas aane par, bahut tej gati se bhaagkar, Shri Krishna ko hiridya se laga leti thi. Gaayein apni jib se Prabhu ka sugandh ras ka paan karti thi. Gopiyaan or Gaayein, apni santaano ki upechha kar, Shri Krishna me apna sab pyar lutaati thi, prantu apharan ki ghatna ke baad se, jab Prabhu ghar vaapas aate tab Gopiyaan bhaagkar Gvaal Baal bane hua shri Krishna ko apna bachchaa samaghkar sine se laga leti thi. ve apne bache ko ubtan lagaati,nahalaati, Chandan ka lep karti,achhe-achhe kapre pahanaati iske alaava abhushano se sajaati thi. dono eyebrows ke bich me najar se bachhaane ke kajal laga deti thi. prem se bhogan khilaati thi. Gaayein bhi Bachhare bane hua Shri Krishna par apna pyaar lutaati thi. Gopiyaan or Gaayein anjaane me hi abhi- bhi Prabhu se hi pyar kar rahi hein, asaa hona svaabhaavik hi he chunki Bhagvaan shri Krishna sabhi ki aatma he. sabke sab apni aatma se hi sabse adhik prem karte hein.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें