Shri Krishna duvaara Brahm Dev ka Moh mitaana
Brahma ji jab, Bhagvaan Shri Krishna ko Gop Baalkon ke sath Bachharob charaate hua dekhe, to soche ki Gvaal baalon or Govatson ko to mene maya mugdh kar diya tha. ve sab ke sab to meri maya- mayi bistar par so rahe hein, tab ye sab kahaan se aa gye hein, jo Prabhu ke sath hein. kahin asaa to nahi he ki Shri Krishna Chandra apni Shakti se, inme chetna laakar, inko le aaye ho? Yadhapi Prabhu apne power se Bachharon or apne mitron ko la sakte the, prantu asaa karne par Brahma ji ka sandheh kya vaastav me Shri Krishna Parmaatma hein, yadi hein to mughe inki koi or Manohar- mahima mayi Lila dekhani he, iske alaava Gopiyon, Gaayein or Gop log Shri Krishna Chandra ko sadaa apne paas rakhanaa chaahate the, isiliye Radha Raman in sabhi ko Ananad pradaan karne ke liye suyam hi apharan kiye gye_ Bachharon or apne Doston ka rup dhaaran kar liye the. Jis Isthaan par Gop baalkon or Bachharon ko rakhe the, us isthaan me bhi dono ko maya mayi bed par sote hua dekhe, iske alaava Prabhu ke sath bhi dono ko dekhe the. baar baar kabhi yahaan aate hein- kabhi vahaan jaate hein. Brahm Gyaan, Samaadhi Gyaan, Divya Dristi ke alaava har parkar se sach jaanane ki kosis kiye the ki in dono hi isthaano me rakhe gye Gop Baalkon or Bachharon me kon Satya he-kon Maya se banaaya gya he. Hansvahan itna soch rahe the ki achaanak unko Shri Krishna ke sath vaale Gvaal Baal or Go Vats Shri Krishna Chandra ke rup me dikhaai diye the, iske sath sath unko apne sarir ke bhitar-bahar Sampurn jagat Radha Raman ke rup me dikhaai diya tha, jiski unchi-unchi tarango me Mn, Budhi, Chit Ahankaar, Prithvi, Jal, Vayu, Akaash, Agni, Jiv samudaay Brahmand me najar aane vaali sabhi vastuan vilupt ho jaati hein dristi gochar keval or keval Bhagavaan Shri Krishna ka viraat rup dlkhaai deta he. Asaa Drisya dekhakar Brahm Dev sab kuchh bhul jaate hein, unki chetna chali gaati he.
Jab Shri Krishna dekhe ki mera ye rup, yah nahi dekh pa raha he, tab dravit hokar apna Manmohak,sabko aakarsit karne vale rup ko prakat kiye the. Brahma ji ase hos me aaye, mano mot ke mukh se bahar aaye hon. ve apne is Mugdh, Vivash or Sangyaa vihin avasthaa se jage the. Indriyon me kaam karne ki shakti aayi, suyam ke duvaara banaai gayi duniya ko dekhe. vrindaavan dikhai diya, jahaan Vriksho me anek parkar ke Fal lade hua hein, bhanti bhanti ke rang-birange Pusp khile hua hein, Pakshi or Bhramar madhur sur me gaa rahe hein, Manbhavan havaa chal rahi he, sath me yah bhi dekhe ki paraspar dusmn jiv bhi prem se ak-duje ke sath hein_ jese Sher or Hiran. unhone apne chaaron mukuton ke aage vale hise se Shri Krishna ji ke Charan Naakhun ko ispars karke, parnam kiye the. apne aasuon se Prabhu ke Charan Kamal ko dhone lage the. Bhagavaan kesav ki pahale dekhi hui mahima ko yaad karke, Charan Kamal par girte, uth-uthkar fir-fir yasodanandan ke Charan kamal par gir jaate the. isi parkar bahut der tak ve parmesvar Krishna ke charno me pare rahe the. fir dhire dhire uthe, apne aansu ko pochhe, Haat jorkar, Bhagavaan Shri Krishna Chandra ki Istuti karne lage the.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें