Shri Krishna ka apne Mitron Sath Bhogan Grahan Lila

Yamuna pulin ki Shobha ki or apne sakhaaon ka dhayaan aakarsit karte hua, Shri Krishna bolte hein ki Mere pyare Mitron, Yamuna ji ka yah pulin atyant ramniye he. yahaan ki Baalu kapur ke rang ki he, jo komal or svachh he. Mitron dekho to sahi_ hmlogo ke liye khelne ke liye, bahut saari chige idhar he. ak or rang-birange bhaanti-bhaanti ke anek Ful khile hua hein, dusri or sunder-sunder pakshi bahut madhur kalrav kar rahe hein. Manbhaavan vayu bhi chal rahi he. ab hm logo ko bhogan kar lene chaahiye, kyunki din bahut chadh aaya he or hmlog bhukhe hein. Bachhare Pani pikar, paas hi dhire-dhire, hari-hari ghaas charte rahe. Bachharon ko jal pilaakar, khula chhor diya jata he. Gvaal Baal apne apne chhike ko kholte hein. Mandlaakar panktiyan banaakar ak se ak satkar bheth gye the, bich me shri Krishna beth gye the. savke mukh Shri Krishna ki taraf the. sabki aankhe aanand se khil rahi thi. Pusp, Pattaa, Palav, Ankur, Fal, chhike, chhaal or Fatron ko bartan banaakar bhogan karne lage the. shri Krishna ke daaye haath me ghee dala hua Dahi-bhaat ka graas tha, anguliyon me Nimbu or Adrak aadi ke Achaar or Muraba dabaa rakhe the. Prabhu apne doston ko vinod bhari baaton se hasaa hasaakar lot pot kar dete the. sab log Khaana khaane me hi tanmay ho gye the, usi samay unke bachhare hari-hari ghaas ke laalach me ghor jangal me bahut dur nikal gye the. jab sabka dhayaan is or gya tab, sab bhaybhit ho gye the. apne Bhakton ko Abhay pardaan karne vaale_ Radha Raman bole ki Mere pyare mitron tumlog bhogan karna band mat karo, me abhi bachharon ko liye aata hun. Brahmah Dev apni maya se bachharon ko mohit karke, Shri Krishna or unke mitron ki aankho se bachharon ko ojhal kar diye the. jab Shri Krishna Go -Vats ko dhundhane gye the, tab unki anupasthiti me Gop baalkon ko bhi gaayab kar dete hein, taaki Shri Krishna ki koi or atyant Manohar Mahimamayi lila dhekhane ko mile

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4