Shri Krishna ki khelne ki lila
Shri Krishna apne mitro ke sath lukaa-chhupi ka khel khelte the. unke bich dor partiyogita hoti thi. Kabhi Kabhi Gop baalkon ke bich, shri Krishna ko ispars karne ki baagi lagti thi. jab koi thak jaata tha, tab Fulon or Paton ka bistar banaakar uspar sulaakar seva kiya jata tha. balram ji ke thakne par, unke liye bhi is parkaar ka bichhonaa nirmit kiya gya tha. Kanhaiya apne daau ke charan dabaa rahe the. iske baad Charan seva ka kaam dusre ko sopkar, pato ke bane pankhe se hava karne lage the, fir sir sahalaane lage the to bhi balraam ji ko nind nahi aa rahi thi. Prabhu Baasuri bajaana suru karte hein. sabke sab samadhi avasthaa me chale jate hein. is parkar sab Gop baalak milkar kanha ki seva kiye the, jab ve apne sakhaaon ke sang kusti larte larte thak gye the. ghar vaapas aate samay bhi shring,murli aadi bajtaa hi rahtaa tha. Shri Krishna sabko hasaa hasaakar lot pot kar dete the, ya fir nritya karke sabka manoranjan karte the. Gop baalak bhi Prabhu ke Lilaon ka gaan karte the.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें