Dhenukasur ka pichhala Ganam
Bali ka Saahsik name ka putra, Gandhmaadan Parvat par, apna manoranjan kar raha tha. Bhanti- Bhanti ke baaje baj rahe the , Nach, Gaan ho raha tha, baad me Tilotmaa name ki Apsara ke sath Saahsik ne hast- methun kiya tha. Vahin par Achaanak Durvaasa Muni ne, jo yahaan ki Gufa me tap kar rahe the, unko is avasthaa me dekh liye the, isiliye un dono ko saraap diye the. Ve saahsik se bole ki tu gadhe ki tarah aacharan kar raha he isliye tu gdhaa ho ja, iske alava unhone Tilotmaa ko Baanasur ki Putri hone ka abhisaap diye the. maafi mangne par, saahsik ko Balram ji ke duvaara, uddhaar ka vardaan diye the or Tilotmaa ko Shri Krishna ke putra Anirudh ke sath vivah hone ka vardaan diye the.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें