Dhenukasur ka Uddhaar
Ak Din Gop- Baalak Shri Krishna or Balraam ji se bole ki aap dono hmlogo ko hameshaa sukh pradaan karte hein. Aap dono ka Bal praakaram asim he, jiski koi seema nahi he. Duston ko marna to aap dono ka suvabhaav he. Hm sabko bahut tej bhuk lagi he, paas me hi suvistrit Taal van he, jinke Falon ki Manmohak sugandh yahaan tak aa rahi he. Hame un Falon ko khaane ka mn kar raha he. Balraam Bhaiya, Praan Sakha Shri Krishna us van me asuron ka parivaar Gadhe ke rup me rahate hein, jo us van me parvesh karne vaale ko khaa jaate hein, isiliye inko koi nahi Grahan kar pata he. Suvaadist Falon ki sugandh se hamaara man Lubdh ho raha he, unhe paane ko hmsab machal rahe hein, kanha or Daau Bhaiya agar aapko thik lage to, avasya, hame Fal praapt karvaao. Balram ji us van me jaakar ak Taal vriksh ko apne haaton se hilaate hein. Falon ki girne ki avaaj sunkar, Gadhe ka rup me rahane vaala Rakshs dorkar, renkta hua, Balram ji ke saamne aakar, pichhe murkar, pichhe ke do peron se mara tha. Us dust ke bhaagne par parvart or dharti hilne lage the, dusri baar bhi us danav ne saamne aakar pith karke pichhale peron se jese hi dulatti chalaane ki kosis karta he, vese hi Balram ji uske unhi marne vaale peron ko pakarke, Aakash me golaakar, ghumaakar, Taal vriksh par patak dete hein, jisase vah vriksh tut jaata he, apne sath sath anya vrikshon ko bhi gira deta he, pahale ne dusre ko, dusre ne tisre ko, is parkar bahut taar ke vriksh tutkar gir jaate hein. Apne parivaar ke sadasya ki chikh sunkar sabhi rakshs Balram ji or shri Krishna ko marne ke liye aaye the, ve sab bhi atulit balshali Shri Krishna or Balram ji ke haaton mare gye the. Devgn Fulon ki varsha kiye the. Vahaan ki dharti rakshso ki laas,tute hua taal vrikshon or Falon se dhak gayi thi.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें