Kaliya naag ka Yamuna Nadi me aane ka karan
Garur ji ki Mata Vintaa or Sarpon ki Mata Kadru me praspar ver tha, jise yaadkar ve jo bhi saap milta tha, use kha jaate the. vyaakul hokar sab naag Brahma ji ki Sharan me gye the. Unhone yah niyam banaaye the ki partyek Amaavasya ko, Sarp parivar, baari baari se Garur ji ko, ak sarp ki bali diya kare, lekin jab kaaliya naag ke parivaar ki baari aayi tab usne garur jise laraai karna suru kar diya tha. ant me haarkar kaliya naag parivar sahit upper ke sabhi loko me- niche ke sabhi loko me jahaan jaata tha, Garur ji uska pichhaa karte the. ant me, thakkar, Shes naag ji ke Sharan me gya tha, jo use bataaye the ki Yamuna Nadi ke kund me Garur ji nahi ja sakte he, kyunki Tapasvi Sobhari duvara, unko balpurvak Matsya khaane ke karan, is isthaan par bhasm hone ka abhisaap mila he. Matsya ke marne par Machhaliyon ko bahut dukh hua tha, jise dekhkar Tapasvi Sobhari ko krodh aa gya tha, unhone sharaap dekar Yamuna Nadi ke kund ka isthaan, Garur ji ke liye agamya banaa diye the,siliye tum saparivaar Yamuna Nadi ke kund me jaa sakte ho.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें