Pralambaasur ka vadh

Ak Baar Shri Krishna apne Mitron ke sath, Hiran bankar, dor pratiyogita khel, khel rahe the, jisme do baalkon ko Hiran bankar Bhaandir name ke Vat vriksh tak dorna tha. Jo pahale pahuch jaayega vo jit jaayega. In sabke bich me Pralambaasur Gop Baal bankar khelne laga tha. Praajit Gvaal Baalko ko nischit kiye gye isthaan par, jite hua Gop baalak ko, Pith par bethaakar, le jaana tha.  Prabhu ke Group me pralambaasur saamil ho gya tha. Shri Krishna ke Group ke sab ke sab haar gye the. Us dust ne jab dekha ki me Shri Krishna ko maar nahi paaungaa, isiliye mujhe iske Dal me saamil ho jana chaahiye. Vah Rakshs nischit isthaan ko chhorkar, Aakash marg se Balram ji ko Kandhe par bethaakar le ja raha tha  Balram ji samajh gye the ki yah Danav he. Ak baar to ve dar gye the, prantu apne vaastvik rup ki yaad aate hi unka bhay chalaa gya tha,unhone uske seer par Ghunsaa mare the, jiske karan uska seer fat gya tha, khun ki ulti karne laga tha, jiski vagah se uski mrityu ho gayi thi. Us Rakshs ke mare hua sarir se ak aatm Jyoti bahar nikali thi, jo Balram ji me sama gayi thi.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4