Shri Krishna ki khelne ki Lila

Shri Krishna, Balram or Gvaal-baal naye- naye palavon, Mor- pankh ke guchho , Fulon ki Malaon,or geru aadi rangin dhaatuon se apne aapko sajaa liye the. Shri Krishna jab nachana suru kiye the, tab gvaal baal apne apne baaje ko bajaate the, kuchh hateli se hi taal dete the,kuchh vaah-vaah karne lagte the, kabhi ak-dusre se adhik faand jaane ki kaamna se kudate the, kabhi-kabhi ak dusre ka baaye haat se daaye haat ko or daaye haat se baaya haat ko pakar kar gol-gol ghumkar khelte the. Kabhi kusti larte the, lukachhupi ka khel khelte the, Pasu -pakshiyon ki nakal karte the, ak dusre ke upper fal,ful fekte the,ak dusre ki bhi nakal karte the. Kabhi do baalkon ko khara karaake, unki baahon ke bal par latak jaate the. kabhi jhula jhulte the, Kabhi dor pratiyogita karte the . Kabhi rasi khichane vaala khel khelte the,jisme ak dal dusre dal ke viprit rasi khichata he. 

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4