Naari ka Rup banaakar Shri Krishna duvara Shri Radha ji ke Prem ki pariksha part one
Shri Radha ji duvaara, Tulsi ji ki sab parkar se seva karne ka karan_ Shri Krishna ko pataa chal gya tha ki mera sath paane ke liye, yah seva Shri Radha ji ki hein, atha unhone Vrishbhanu suta ki pariksha lene ki soche. Prabhu Atyant Sunder Istri ka rup banaakar, Shri Radha ji ke paas chale gye the.
Shri Radha ji boli sundri sakhi tumhara suvaagat he, shighr apna name bataao? tum suvtha yahaan aa gayi, mere liye param sobhagya ki baat he, is bhutal par tumhari jesi divya naari milna durlabh he, vo nagar bhaagyashali hoga jahaan tum nivaas karti hogi, yahaan tumhare aagman ka kya karan hai, mere yogy koi kaam ho to mujhe bataao taki me tumhari sahaayta kar saku? Tumhare sarir ki aakriti mere pritam krishna se milti he, jinhone mera man chura liya hai, tum roj mughse milne aaya karo, tum n aa sako to mughe hi apne nivaas isthan ka sanket bata do, jis vidhi se ham dono ak dusre se mil sake vo vidhi hame upyog me lana chahiye, yadi sambhav ho to tum mere nikat hamesha raha karo.
Naari ka rup banaane vaale Shri Krishna Radhe ji se bole Rambhoru, Nandnagar Gokul me, Nandbhavan se uttar disa me mera ghar he, mera name Gopdevi he, shri Lalita jise, tumhare rup maadhurya or Guno ki prasansaa suni he isiliye tumhara darsan karne chali aayi thi, tumhara Nivaas isthan bahut sunder he, tumhara divya nitya- nutan nagar aaj apni aankho se dekh liya, iske samaan sunder to devraj indr ki puri amraavati bhi nahi hogi.
Shri Krishna or Shri Radha Ji ball se khelne lage the, sath hi sath Madhur geet ga rahe the, bich bich me ak dusre se baat bhi karte the, dono priya pritam ak durse ka haat pakar kar upvan me ghum rahe the.
Istri ka rup banaane vale Shri Krishna, Shri Radha jise bole brajesvari, nand nagar yahan se dur he, saam hone vaali he, me apne ghar jaati hun, praatha kaal fir tumse milne aaungi_ isme sansay nahi hai, itna sunte hi Shri Radha Ji fut futkar, rote rote, kisi vriksh ki tarah dharti par gir gayi thi. Shri Radha ji ki sabhi sakhiyaan bhaag kar aayi, koi fanka se seva kar rahi he to koi chandan vriksh ke fulon ka itr chhirak rahi thi.
Shri Krishna bole Tum chinta n karo me pratidin savere tumse milne aaungi,
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें