Naari ka rup banaakar Shri Krishna duvara, Shri Radha Ji ke prem ki pariksha part_two

Shri Radha Ji ko jab pata chalaa ki Gopidedi aayi hai, bhaag kar jaati hain milne ke liye, bhitar laakar, aasan dekar vidhi vidhan se puja karti hai.
Shri Radha ji bolti hein_ sakhi tumhare bina me raat bhar dukhi rahi thi or tumhare aane se mughe itni prasansa hui, maano khoi hui vastu mil gayi hai, jese kupathy sevan se pahale to sukh maalum hota hai baad me dukh uthaana parta hai, isi parkar kisi priya jan ka sath milne par sukh hota bichaurne par dukh ka anubhav hota hai.
Gopdevi ko chup rahte hua dekhakar, shri radhe ji puchhati hein ki tum bol kyun nahi rahi ho? tumhari udaasi ka kya karan he? mugje bataao, me vahi karungi jisme tumhe aanand mile. Mata,saas,Pati,Nanad ne fatkaara to nahi he tumhe? manohare kisi sout ke karan,pativiyog athvaa anyatr chit lag jaane se tumhara mun khin to nahi hua he, ya fir raaste ki thakaavat athvaa kisi rog ke karan dukhi ho? mughe bataao. Shri Krishna Bhakt or Brahman ko chhorkar, jis kisi ne bhi tumse kutsit baat kahi hai, me use dand dungi, yadi tum chaaho to mughse apni manpasand chige le sakti ho, dhan dekar sarir ki raksha kare,
Sarir ka bhi utsarg karke laag ki raksha kare, mitr ki kaam ki sidhi ke liye tan,dhan,man,laag sab kuchh arpan karna chahiye, jo metri isthaapit karke kapat karta hai us suvaarth saadhak patu lampat ko dhikkaar he.
Gopdevi ke rup me aaye hua shri krishna radhe jise bole varsaanu giri ki ghaati me, jo patli gali he, usi se hokar me dahi bechane jaa hi rahi thi ki Nand ji ke navtarun kumar Shyam Sunder ne mera marg rok liya tha, unke haat me baasuri or bent ki chhari thi, us rasiksekhar ne laag ko tilaanjali dekar, mera haat pakar liye the, us akaant van me ve mughse dahi ka kar maangne lage the, mene kaha chalo hato, tumhare jese lampat ko me dahi ka daan nahi deti hun, mere itna kahate hi usne mere seer se dahi ka matka uttaar kar for diya thora sa dahi piya, sath hi sath meri chunri bhi faar di thi. Jaat ka gvala,n rang he,n rup he,n dhanvaan,n vir,n surup he or n hi sushil he.
Sushile tumne ase purus ke prati prem kiya, me kahati hun, tum aaj se, shighr, us nirmohi shri krishna ko apne mun se nikaal do, itna sunte hi Shri Radha ji ko krodh aa jata he.shesh
Story agle part me

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4