Radha Krishna Dusri baar milna

Samhita or Brahmvevart puran me Radha Krishna ki second meeting story

Ak Din Nandji, Shri Krishna ko sath lekar Bhandir Upvan me Gaayon ko charaane ke liye lekar gye the, achaanak bahut tej Aandhi-Tuffan chalne lagi thi. Musaldhaar pani barasne ke sath-sath Ole bhi gir rahe the, achanak Devi Radha prakat ho gayi thi.
Nandji Istuti karke bole ki Devi Garg ji ke mukh se tumhaare baare me jaanta hun ki tum Hari ki priyatma ho.
Bhadre apne is praan-nath ko grahan karo,jahaan tumhara mn ho lekar chali jaao apni manokamna puri kar lene baad mera putr mughe lota dena.
JabRadha ji baar-baar Prabhu ko kiss kar rahi thi tabhi Shri Krishna kishore rup me aakar radha jise bole Radhe Golok me Devmandali ke bhitar jo ghatna ghati thi uska tumhe ismaran to he n? Priya purv kaal me mene jo kuchh suvikar kiya hai use aaj puran karunga.
Sumukhi radhe tum mere liye praano se badhakar priya ho,hm dono me koi antar nahi hai, tum shiristi ki aadhar ho or me Achyut Bijrup hun.
Shri Radha ji boli Prabhu Golok ki saari baate mughe yaad he, me sab jaanti hun, me un baato ko kese bhul sakti hun,
Tum jo mujhe sarvrupini bata rahe ho, vo sab tumhare hi Charan-Kamal ki kripa se hua he.
Is samay baatchit me jo samay nikal gya hai vo mere liye Yugon ke samaan he, me uski ganana karne me asamarth hun.
Tum apne Charan kamalon ko mere seer or vakshisthal par rakh do, tumhare virh ki aag se mera hiridya shighr dagdh hona chaahata he, meri dristi jab tumhare Charan kamal par pari to vahin ram gayi
fir me kalesh uthaakar bhi use dusre ango ko dekhane ke liye vahaan se anyatra n le jaa saki, tthaapi dhire dhire prtyek ang ka darsan karke mene tumhare saant mukhaarvind par dristi daali he, ab meri dristi anyatr jaane me asamarth he.
Shri Krishna bole Bhadre purv kaal me Golok me jo mene nischay kiya tha,uska khandan nahi hona chaahiye, priya palbhar me tumhara mangal karunga tumhare manorath ki purti ka samay aa pahuchaa he, mene jiske liye jo kuchh likh diya he or jis samay us manorath ki praapti ka nischay kar diya hai us purv nischay ka khandan me suyam hi nahi kar sakta hun fir Vidhata ki kya visaat (okaat)he jo use mita sake, me vidhata ka bhi vidhata hun.
Isi Bich Brahma ji vahaan aakar Radha Krishna ke Guno ka gaan karte hain iske baad Radha Krishna ka Gandharv vivaah vidhi purvak karvaaye the.
Shri Krishna or Radha ji bole Bhandir van me jo bhi hua he vo sab gupt rahega, kisi ko bhi pata nahi chal payega. Brahma ji apne lok me chale gye the.
Radha ji Shri Krishna ko dekhkar apna chehra dhak li thi. Radha ji shri krishna ke bistar par bethi, jahaan kesar,agru,chandan or kasturi ka angrag rakha hua tha. Radha ji Prabhu ke maathe par tilak or vakshisthal par chandan lagaai thi, ak ratnmy bartan jisme atyant suvaadist dravy tha, Prabhu ko pine ke liye di thi, baad me khud bhi pi thi.
Radha ji Shri Krishna ko paan di thi khaane ke liye. Radha ji Prabhu se unka chabaya hua paan mangi to prabhu khushi khushi de diye the, lekin Radha ji apna chabaya hua paan prabhu ko nahi di thi.
Shri Krishna Radha jise unka Ratnmanimy darpan or kamal chhin liye the or radha ji bhi Prabhu se unki baasuri chhin li thi baad me dono ak disre ko ak dusre ki chig lota diye the. Shri Krishna Radha ji ke baalo me kanghi kiye the. Radha ji ko bahut sunder sajaaye,savaare the, jab Radha ji ne bhi asaa karna chaaha, tab Prabhu Shishu rup me a gye the. Shri Krishna ko Shishu rup me dekhkar Radha ji futfutkar rone lagi thi, kahane lagi mayapati aap apni daasi ke sath asa kyun karte hein? tabhi akashvani hui jisne kha ki Radhe tum roti kyun ho? Shri Krishna ke charan kamal ka chintan karo, jab tak raasmandal ki aayogna nahi hoti he tab tak apne ghar me apni chhaya chhorkar tum Shri hari ke sath vihaar karogi.
Shri Radha ji Yashoda jise boli apke suvaami ne mughe ise ghar pahuchaane ke liye diye the, yah marg me bhuk ke karan ro raha tha, ise Goud me lekar apna dudh pilaao, me apne ghar jaati hun, bahut der se ghar chhor rakhi hun.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4