Naari ka rup banaakar Shri Krishna duvaara, Shri Radha Ji ki Pariksha_ part three

Shri Radha Ji boli Sakhi jinki praapti ke liye_ Brahma or Shiv aadi Devta apni utkrist yogriti se kathor tap karte hain.
Dattaatrya,Shuk, Kapil,Aasuri or Angiraa aadi bhi jinke Charan kamlo ko prem bhaav se ispars karte hain, unhi aganma,pripuran devta,lila-avatardhaari,sarvjan-dukh-haari,Bhutal-Bhumi-bhaar haari ttha satpuruson ke kalyan ke liye prakat hua aadi purush Shri Krishna ki tum nindaa kese kar sakti ho?
Tum to bari Dhith jaan parti ho.
Gvaale to sadaa gaayon ka palan karte hain,goraj ki ganga me nahaate hein,uska ispars karte hain,unke utam namo ka jap karte hain, itna hi nahi unhe din raat gaayon ke sundar mukh ka darsan hota rahta he, meri samagh me to is bhutal par gop jaati se badhkar dusri jaati nahi hai.
Tum use kaala-kaluta bataati ho, kintu unki sundarta se aakarsit hokar, Mahadev dusro ke sunder mukh ko chhorkar, jatajut,halaahal-vish,Bhasm,Kapaal or saap ko dhaaran kiye, use dekhane ke liye Braj me dourte-firte hein. Saara sansaar bhakti bhaav se pranaam karke apne sabhi durgano ko dur karne ke sath sath utkrist dhan or asvarya bhi pa leta he, tum unhe nirdhan or sushil nahi hai yah bataati ho, jinhone bare bare danvon ko mara, tumhari dristi me ve veer nahi hai. Ve bhakti se vash me hokar, apne bhakton ke pichhe-pichhe chalte hai, atha shri krishna keval sushil hi nahi_ samast loko ke sujan samudaay ke_ churaamani hein. Ve bhakton ke pichhe pichhe chalte hua, apne rom-rom me isthit, lokon ko pavitr karte rahte hein. Ve Parmaatma apne bhakt jano ke prati sadaa abhiruchi suchit karte rahte hain.
 jo koti-koti brahmando ke sharasta or sanhaarak hein, us purusotam ke liye bhakt se adhik pyara koi nahi he.
Adhik bhagan karne vaale ko Prabhu mukti to anaayaas de dete hain, kintu bhaktiyog kadaapi nahi dete hain kyunki unhe bhakti ke bandhan me rahna parta hai.
Gopdevi boli tumhaare bulaane se yadi, Shri Krishna yahaan aa jaaye to me, tumhari baat ko sach maan lungi.
Shri Radha Ji boli shubru mere bulaane se yadi Parmesvar Shri Krishna yahaan aa jaaye, tab tumhare prati kya karu tumhi bataao?
Shri Radha ji boli apni taraf se to me itna hi kah sakti hun ki mere bulaane se yadi vanmaali ka aagaman nahi hua to, me apna saara Dhan-Sampati tumhe de dungi.
Shri Radha Ji Prabhu ko namaskar karke, unka dhyaan karne lagi thi, pasine se lath-path ho gayi thi or mukh par aansuon ki dhara bah chali thi. Shri Radha Ji rote- rote Apne pritam ko pukaar rahi thi.
Sabki dristi se apne aapko bachaakar, Shri Krishna chaalaaki se, Naari rup se, apne purush vaale rup me aa gye the, kisi ko bhi pata bhi nahi chal paya tha.
Shri Krishna prakat hokar bole Chandr-Vadne,Braj-Sundari -Siromane, Nutan-yovan-shalini,maanshile priy Radhe tumhare bulaane par me yahaan aa gya hun, ab ankhon ko kholkar dekho pyari.
Anek parkar ki Gopiyon ka samuh vahaan aaya tha,koi duvaar paalika thi to koi Paarsad namedhaarini thi,kuchh chhatr-chanvr dharan karne vali gopiyan thi to kuchh vrindavan ki rakshak thi koi govardhanvaasini to koi kung vidhayini or kuchh nikung vaasini thi,koi naachane me nipun to koi baaja bajaane me nipun thi
Yamuna ji,Ganga ji,Virja ji,Lalita ji,Vishakha ji, Lakshmi ji aadi deviyan apni apni sakhiyon ka samuh lekar aayi thi, isi parkar ast sakhiyon ke,solah sakhiyon ke or batis sakhiyon ke samuh vahaan aa gye the. Shri Krishna Radha ji ka haat pakar kar sab sakhiyon ke samuh ke sath yamuna ji ke pul par aaye the, sabke sab luka - chhupi ka khel khelne lage the. Shri Radha ji chhupe hua, Shri Krishna ko pakar li thi, jese hi Shri Krishna chhupi hui Shri ji ko pakarne aaye, Kishori ji dorkar, dusri jagah chhup gayi thi. Shri krishna bole priya radhe tumhare bulaane par me yahaan par gokul,gopvrind ko chhorkar, vansivat or yamuna tat se bahut tej gati se tumhare paas, tumhari prasansa ke liye  aaya hun. Me tumhare bina adhura hun, mere nikat aa jaao meri priyatma.
Shri Krishna bole mere aate hi, jo yakshu,aasuri,jo koi bhi, tumhe chhalne ke liye aayi thi, mere aate hi chali gayi thi, tumhe asi naagin par vishwas nahi karna chaahiye. Sabhi sakhiyon ka samudaay vaapas chala gya tha.
Shri Radha or Shri Krishna ak dusre se prem se pripuran baat kiye the, akaant me sab kuchh bhulaakar ak dusre ko nihaar rahe the.






टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4