Shri Krishna ki Dipavali Manaane ki lila

Shri Radha ji Puja karne ke baad, apni Sakhiyon ke sath, Dipakon ko jalaane ke liye chhat par aati hein. Dipak prajvalit karte samay, baar baar, pichhe murk,ar dekhakar, sochati hein ki mere pritam Shri Krishna abhi tak nahi aaye. Saare diye jalne ke baad, Radha ji ki ak dost chhat par aayi thi, vah bataai ki Radhe tumhaari maiya, Gokul me jaane ki aagya de di he. Shri Radha ji Shri Krishna se milne ke liye tarap rahi thi, jese hi unhone suna ki meri ma Gokul me jaane ki aagya de di hein, ve bahut bahut prasann hui thi.
Shri Krishna apne mitro Madhumangal or Subal ke sath milkar Dipakon ko jalaa rahe the. Yasoda ji baar baar apne laal ko aakar dekhati thi, iska pahala karan tha, Prabhu aaj itne sundar lag rahe the ki bare bare kavi,lekhak bhi nahi bataa sakte hein, dusra karan yasoda ji ko dar lag raha tha ki mere kanha ka haath n jal jaaye, isiliye apne laal se bolti hein ki mere laal, bahut dipak tumne jalaa diye hein, ab rahne de.
Shyam Sundar kahate hain ki naa maiya mera haat nahi jalega,dekh,ab tak aathso dipak prajvalit kar chukaa hun, ak baar bhi to haat nahi jalaa.

Is samay Shri Radha ji apni Sakhiyon ke sath aati hein.
Prabhu ki Mata apni daasi se kahati he ki jaa bahin Rohini ko kah de ki meri laadli Radha aa gayi hai, ab saara kaam bahut jaldi jo jaayega 
Shri Radha ji ka name sunkar Shri Krishna ke haat se dipak gir jaata he, ve apni Maiya se kahate hain ki naa maiya ab dipak nahi jalaaunga, teri baat mene nahi maani, abhi ak diya hath se gir gaya tha,nahi to sachmuch aath jal jaata.
Puja karne ke samay shandilya Maharshi apne shishyon ke sath aaye the, sabhi unko ghuk ghuk pranaam karte the. puja sampann karke maharshi ko Dakshinaa di gayi thi.
Shri Radha ji,unki Sakhiyaan or Yasoda ji mil-julkar Shri Krishna or unke Doston ko khana pros rahi thin, baad me Yashoda ji Radha ji or unki Sakhiyon se bolti hai ki tum log yadi koi bhi bina khaaye-piye jaaogi to me rust ho jaaungi, sab bolti hai ki aap chinta n kijiye, hum sabhi bharpet khaakar hi yahaan se jaayengi.
Shri Radha ji ki Sakhiyaan sabki dristi bachaakar, dhire se, us thaali ko uthaa laati he, jisme shri krishna khaana khaaye the, chunki Kishori ji ki Sakhiyaan jaanti hein ki asaa karne par, Shri ji,Raasesvari ji ko aanand milega.
Shri Radha ji,unki Sakhiyaan,Shri Krishna,unke Mitron ka samuh or Gopiyan milkar Pataake forte hein, Fulghari jalaate hein, Naach,gaan hota he. Prabhu sabko apni baato se atyadhik hasaate hein. Shri Krishna ase pataakon ka nirmaan karvaaye the jisase pradusan n ho.
Yasoda ji Radha Ji ko akaant me bulaakar, Hire ki anguthi dete hua kahati hein ki meri laadli, mere laal ke mukh par prakash he, jiske karan dur se dekhane par uska cheharaa mughe gorvarn ka dikhaai deta hai, tumhe dur se dekhane par, mujhe bharam ho jaata hai ki kahin mere laal ne khel-khel me saari to nahi pahan liya he? paas aakar, dekhane par, tughe paati hun. vidhaata ne tum dono ke chehare ko kese ak saa hi banaaye hein? Shri Radha ji yah sunkar sakuchaa jaati he, apni sakhiyon ke sath apne ghar chali jaati hain. 

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4