Shri Krishna Raas leela part 3
Gopiyaan boli_ Pyare Shri Krishna, tum ghat-ghat vyaapi ho,hamaare hridy ki baat jaante ho, tumhe is parkaar nishthurta se bhare vachan nahi kahanaa chaahiye, hum sab kuchh chhorkar tumhare charno se prem karti hai, isme sandheh nahi he ki tum suvatantr ho,hathile ho,tumpar hamaara koi vash nahi he, phir bhi tum apni or se,jese aadi purus Narayan kripa karke apne mumukshu bhakto se prem karte hain,vese hi tum hume suvikaar kar lo, hamaara tyaag mat karo. Pyare shyam sunder tum sabhi dharmo ka rahasya jaante ho, tumhara yah kahana ki Pati,Putr or Bhai-Bhandhuon ki seva karna istriyon ka pram dharam he_ yah akshrasha thik he, prantu tumhare is updesh ke anusaar, hum sabko tumhari hi seva karni chahiye, kyunki sab updesho ke charam lakshy ho,sakshaat bhagwan ho,sabka pramkalyaan chaahate ho,sabki aatma ho.
Aatmgyaan me nipun Mahapurush tumse hi prem karte hain, anity or dukhad pati se kya prayogan (matlab) parmesvar isliye prasan ho o kripa karo, kamalnayan chirkaal se tumhare prati paali posi aasha-àbhilaasha
rupi lahlahaati lata ka chhedan mat karo. Manmohan ab tak humaara chit ghar ke kaam-dhandho me lagta tha, isi se humaare haat bhi usme rame hua the,
prantu tumne hamaare dekhate-dekhate hamaara chit chura liya, isme tumhe koi kathinaai bhi nahi uthaani pari thi,tum to sukhsuvarup ho n? prantu ab to hamaari gati-mati niraali ho gayi he, humaare per tumhaare Charan kamlo ko chhorkar ak pag bhi hatne ko teyaar nahi he,nahi ho rahe hein, phir hum braj me kese jaayein?
or yadi vahaan jaaye to kare kya?
Praanvallabh,humaare sakha_ tumhaari mand-mand madhur muskan,prem bhari chitvan or manohar sangit ne humaare hridy me tumhaare prem or milan ki aag dhadhkaa di he, use tum apne adhro ki rasdhara se bujha do, nahi to pritam hum sach kahati he ki tumhare virah vyathaa ki aag se hum apne apne sarir jalaa dengi or dhyaan ke duvaara, tumhaare charan kamal ko prapt karengi.
Pyare Kamal nayan_ tum vanvaasiyon ke pyare ho or tumbhi unse bahut prem karte ho, isase praayah tum unhi ke paas rahte ho, yahaan tak ki tumhaare jin charno ki seva ka avasar suyam Lakshmi ji ko kabhi-kabhi milta he, unhi Charan kamal ka ispars hume prapt hua, jis din se yah soubhagya hume mila or tumne hume suvikaar karke aanandit kiya,usi din se kisi or ke saamne thaharne me asamarth ho gayi, Pati,Putr or Bhai Bhandhuon ki seva to dur rahi, humaare suvaami jin Lakshmi ji se kripaktaksh prapt karne ke liye, bare-bare devta tapsya karte hain,vahi Lakshmi ji tumhaare vakshisthal me, bina kisi pratidundta ke isthaan, prapt kar lene par bhi, apni sout tulsi ke sath, tumhaare Charano ki raj paana ki abhilaasha karti hai. Ab tak ke jin sabhi bhakto ne charan raj ka sevan kiya he unhi ke samaan hum bhi tumhari sharan aayi hai.
Bhagvan ab tak jisne bhi tumhare charno ki sharan li, uske saare kast tumne mita diye, ab hum par kripa karo, hume bhi apne prasaad ka bhaajan banaao, hum sab kuchh chhorkar tumhare paas aayi hein, hume dasi ke rup me suvikaar karo, hume apni seva ka avasar do.
Priyatam tumhara sunder mukh kamal,jis par ghunghraali jhalak rahi he, tumhaare ye kamniy kapol jin par sunder- sunder kundal apna annant soundrya bikher rahe hai, tumhare ye mudhur adhar,jinki sudha,sudha ko bhi lagaane vaali he,tumhari yah Nayan Manohaari chitvan,jo mand-mand muskaan se ulaasit ho rahi hai, tumhari yah dono bhujaayein,jo sharnaagato ko abhay daan dene me atyant udaar he or tumhara yah vakshisthal jo Lakshmi ji_ soundry ki akmaatr devi ka nity krida isthal he,dekhakar hum sab tumhari daasi ho gayi hein. Pyare Shyam Sunder tino loko me kon si asi naari he,jo madhur- madhur pad or aaroh-avroh kram se vividh parkaar ki murchhnaaon se yukt tumhari vansi ki taan sunkar tthaa is trilok sundar mohani murti, jo apne ak bund ki sundarta tino loko ko pradaan karti hai,jise dekhakar Gaayein, Pakshi or Harin bhi apne netro se nihaarkar aary-maryada se vichalit n ho jaaye, kul ke maan or lok laaj ko tyaagkar tum pe anurakt n ho jaaye?
Humse baat chhipi nahi hai ki jese bhagavaan Narayan Devtaaon ki rakshaa karte hain, vese hi tum Brajmandal ka bhay or dukh dur karne ke liye prakat hua ho or yah bhi ispast he ki din-dukhiyon par tumhara bara prem he. Priyatam hum bhi bari dukhi hai, tumhare milan ki aakaankshaa ki aag se, humaara hridya jal raha hai, tum apni in daasiyon ke seer or vakshisthal par apne komal haat ko rakhkar,hume apna lo, hume jivandaan do.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें