Shri Krishna Raas lila part 1
Sarad Kritu thi, uske karan Bela,Chameli aadi sugandhit ful mahak rahe the.
Raas lila ki dharti par sabhi parkar ki divya chigon or vaatavaran ka nirmaan ho gya tha, jo golok me hota he.
Shri Krishna chir haran ke samay, jin raatriyon ka sanket kiye the, un raatriyon ka samay aa gya tha. Shri Krishna us raat ko
brahma ji ki croro raat ke samaan bana diye the. Vrindavan ki dharti par prabhu ki shakti ke karan, do parkar ka samay chakr chal raha tha, ak vrindavan ke logo ke bich maanviya raat ka samay, dusra bhagvan duvaara apni yogmaya ki sahayata se raat ko croro brahma ki raat ke saman raat banana. Shri krishna gopiyon ki chaahat puri karne ke liye man suvikaar kiye the.
Bhagvaan ke sankalp hote hi Chandra dev ne purb disa ke mukhmandal par, apne shital kiran rupi karkamlo se laalima ki roli-kesar mal di thi, purnima ki raat thi, chandra dev ka mandal lakshmi ji ke samaan maalum ho raha tha. Shitalta or Amrit ki barsaat kar rahe the. Koyal,Saraas, kabutar,Mor aadi pakshi jamin par or Hans yamuna nadi me kalrav kar rahe the Yamuna ke pull par Lakho kamlo ke fulon ke paraag ko baarmbaar bikherta hua shital- mand- sugandh havaa chal rahi thi. Sarad purnima ki raat or Basant kritu ka milan ho raha tha.
Shri krishna ki Baasuri ki Madhur dhun sunkar jo gopiyan dudh duh rahi thi, ve atyant utsuktavash dudh dohana chhorkar chal pari thi,jo chulhe par dudh garam kar rahi thi,Lapsi paka rahi thi,khaana dene ka kaam,bachon ko dudh pilaane ka kaam,in sabhi kaamo ko adhura chhorkar shri krishna ke paas ak dusre ko bina bataaye chal pari thi, koi koi gopi apne sarir me apne sarir me Angraag,Chandan ubtan laga rahi thi, koi gopi apne ankho me kajal laga rahi thi sabhi gopiyaan apne apne kamo ko adhura chhorkar, shri krishna ke paas jaldi se jaane ke liye, ulte sidhe kapre pahan liye the, kaano me pahane vaali baali ko anguli me pahan li thi,Baajubandh ko pero me pahan li thi,gale me pahane vaale haar ko baalon me rabar ki tarah laga li thi is parkar gopiyon ne ulte sidhe aabhusan ko bhi pahan liye the. Shri Krishna ke upsthit isthaan se sab gopiyon ke ghar ki alag alag duri thi, phir bhi sabhi ak hi saath pahuch jaati he.
Shri krishna se milne ke liye, itni bechen thi ki unlogo ne apna khana khaane ka kaam bhi adhura chhorkar chali aayi thi.
Gopiyon ke gharvaalon ne baahar nikalne ka raasta band kar diye the, apne netro ko band karke, bari tanmayta se, shri krishna ke soundry,maadhurya,or lilaaon ka dhayan karne lagi thi, unlogo ne divya aprakrit sarir prapt kar li thi.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें