Kaliya naag Daman Lila little Krishna story
Kaliya naag, Shri Krishna ke sabhi ango par dasne ki kosis anek baar kiya tha. jab usne dekha ki is baalak par vish ka parbhaav nahi ho raha he, tab usne Prabhu ko apne vishal sarir me lapet liya tha. yah dekhakar Gop baalak behos ho gye the . bhayankar apsagun ho raha tha, jise dekhakar sab sochane lage ki, ham sabke jivan dhan kanha kushal mangal se he n, kahin asaa to nahi he ki fir se kisi rakshs ne aakraman kar diye ho? sabke sab ghar chhorkar Shri Krishna ko dhundhate- dhundhate, Prabhu ke Charan chinho ki sahaayta se, kaliya naag ke nivaas isthaan ke paas aa gye the. sabse pahale Nand ji yah kahakar murchhit hua the ki haay mere laal, tu to mughe atisay pyaar karta tha re ,tu sahasaa asaa dusshaas kese kar gya? mughase pahale tu chala gya. iske baad sabhi Gop chetna hin ho jaate hein. Yasoda ji, Rohini ji, Gopiyon ko Prabhu ke bina tino lok sunaa- sunaa lag raha tha. ve sabhi kaliya naag ke nivaas isthaan kund me kudna suru karti hein, Balram ji Balpurvak un sabko rok lete hein....
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें