Shri Krishna duvaara Gopiyon ka abhimaan dur karna

Shri Krishna jab Gopiyon ke sath nach rahe the, tab un sabko ghamand ho gya tha ki, suyam Parmaatma humaare sath vibhin parkar ki mudraa banaakar nritya kar rahe hai, un sabhi ka abhimaan dur karne ke liye Prabhu vahaan se antardhyaan ho gaye the. Gopiyan paaglo ki tarah apne Kanhaiya ko idhar- udhar dhundh rahi thi.
Gopiyan puchhati hein ki he Pipal,Paakar,Bargad kya tumlogo ne Shyam Sunder ko dekha he, jinhone apni prembhari madhur muskaan or chitvan se humaare mun ko churaa liye hein? Kurbak,Ashok,Naagkesar,Champa kya tum sabne Balram ji ke chhote bhai ko dekho ho? iske baad gopiyan tulsi ji se savaal karti hai? Bahan Tulsi tumhara hridya bahut komal he, tum Shri Krishna se prem karti ho- Prabhu bhi tumse atyant prem karte hain, tabhi to tumhari maala bhouron ke mandaraane par bhi nahi utaarte hein, tum to mangal mayi ho, kalyan daayini ho,apne pram pritam ki saari baate jaanti ho, kya tum hume bataa sakti ho kya? Shri Krishna kidhar gye hein pyari? Maalti,Malike,Jaati,Juhi  tum sabhi ne humaare pyare Madhav ko kadaachit dekhi ho kya? ve apne komal haatho se chhukar tum sabko aanand pradaan karke idhar se gaye hein kya? Rasaal,Priyaal,Kathal Pitshaal,Kachnaar,Jaamun,Bel,Moulsiri,Aam,Kadam or Nim tthaa anyaany yamuna tat me viraajmaan vrikshon, tum sabka ganam upkaar ke liye hua he, Shri Krishna ke bina humaara jivan suna-suna ho gya hai, hum sab behos ho rahi hein, tum sab unhe paane ka marg hume bataa do?
Bhagvaan ki presi_ Prithvi devi, tumne asi kon si tapasya ki ho ki, Shri Krishna ke Charan kamal ka ispars praapt karke, khush hokar, Trin-Lata aadi ke rup me apna romaanch prakat kar rahi ho? tumhara yah Ullaas-Villaas Shri Krishna ke Charan Kamal ke ispars ke karan he athva Vaaman avatar me Visv rup dharan karke, unhone tumhe naape the,uske karan he? Kahin unse bhi pahale Varaah Bhagvaan ke ang-sang ke karan   tumhari yah dasa to nahi ho rahi he? Ari Sakhi Hariniyon humaare Shyam Sunder ke ang-sang se sushma ki dhara bahati rahti hai,ve kahin apni praanpriya ke sath tumhare nayno ko, pramaanand ka daan karte hua, idhar se to nahi gaye hai?
Dekho dekho yahaan kulpati Shri Krishna ki kundkali ki mala ki Manohar gandh aa rahi he,jo unki pram presi ke ang sang se lage hua, kuch kumkum se anuranjit rahti he, unki maala ki tulsi me asi mahak he ki Bhoure pratikshan us par mandraate rahte hein, unke ak haat me lila kamal hoga, dusra haat se apni presi ko pakare honge,humaare pyaare Shyam Sundar idhar se vicharte hua avasya gye honge, jaan parta he tum log unhe pranaam karne ke liye jhuke hoge, prantu unhone prem bhari chitvan se bhi, tumhari vandana ka abhinandan kiye he ki nahi?
Ari sakhi in lataaon se puchhon ye apni pati vrikshon ko apni baahon me li hui hein,isase kya hua,inke sarir me jo pulak he, romanch he,vah to hum sabhi ke Madhav ke naakhun  ispars ke karan hi he, aho inka kesa soubhagya he.
 

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4