Shri Krishna ka prakat hokar gopiyon ko saantvana dena
Shri Krishna, achaanak Gopiyon ke bich prakat ho gye the. Apne pritam ka sath fir se pakar, ve sab bahut khush hui thi, ak gopi shri krishna ka haat, apne ak haat se pakar kar, dusre haat se use sahalaati thi
Dusri Gopi Prabhu ke baalon se khelti he, Tisri unke charno ko apne istan par rakh leti hein, Chhouthi Shri Krishna ke khaaye hua paan ko apne haat me le leti hai, Paanchavi krodh se apne pyare Madhav ki taraf dekhane lagi thi, chhati rupras ka paan kar rahi thi, saatvi Prabhu ke gaal ko chhuti he, aathavi Charno ko sahalaati he.
Iske baad Bhagvan Shri Krishna Brajsundariyon ke sath yamuna nadi me ghuse. Shri Krishna Gopiyon par paani daal rahe the or gopiyaan shri krishna par paani daal rahi thi. Vibhin parkar ke fulon ki surbhi lekar bari hi shital or sugandhit mand-mand vaayu chal rahi thi or uski mahak se matvaale hokar bhoure idhar-udhar mandra rahe the. Sharad Purnima ki Chandni niraali hi chhataa dikhaa rahi thi, iske karan raat me hi chaaro taraf prakash hi prakash tha, vese bhi jahaan shri krishna ho vahaan andhkaar ho bhi kese sakta he .
Yamuna ji ne suyam, apni laharo ke haato_
prabhu ki lila ke liye, baalu ka rang-manch banaai thi. Apne pritam ke darsan se, gopiyon ke hridy me itne aanand or itne ras ka sanchaar hua ki unke hridy ki saari aadhi-vyaadhi mit gayi thi, un sabne apne sine me lagi hui roli-kesar se chinhit odhani ko apne param pyare shri krishna ke viraajne (bethane)ke liye bichhaa di thi.
Bare-Bare Yogesvar, apne yog saadhna se
pavitr kiye hua hridy me, jinke liye aasan ki kalpana karte rahte hain, kintu fir bhi apne hridy sinha-haasan par bethaa nahi paate hain,ve gopiyon ki chunri par beth jaate hain. Gopiyan fir se prabhu ke ispars ka aanand lene lagi thi, baar- baar kahati kitna komal he- kitna madhur he.
Gopiyaan Shri Krishna se puchhati hein ki kuchh log prem karne vaale se hi prem karte hain,dusre prem nahi karne vaalo se bhi prem karte hain,tisre prem karne vaale se bhi prem nahi karte hain, tab kisi or se kya prem karenge, aapko in tino me kon achha lagta he?
Prabhu bole prem ke badle prem dena apne suvaarth ke karan hota hai.
Shri Krishna bole nisuvaarth prem Mata-Pita apni santaan se karte hein.
Kisi se bhi prem nahi karne vaale log chaar parkar ke hote hai_ pahale ve jo Parmatma ko paane ke liye saadhna karte hain, dusre ve jo Parmesvar ko sab isthaano par dekhate hain, tisre ve hein jo jaante hi nahi ki humse kon prem karta he, chhoute apne kalyan karne vaale logo ka bhi nuksaan karte hain, me to apne premi se jesa prem karna chaahiye vesa prem nahi karta hun, me asaa isiliye karta hun, taaki sadaa mughe ismaran kar paaye, mun dusri jagah n jaaye, jese kisi ko bahut sara dhan mil jaaye, fir jaldi hi kho jaaye, vah dhan ke hi baare me hi sochata rahata he, isi parkar me bhi mil-milkar chhup- chhup jaata hun.
Gopiyon tumlogo ne mere liye lok maryaada,ved maarg or apne sage-sambhandhiyon ko chhor di ho,
asi isthati me tumhari manovriti or kahin n
jaaye, apne soundry or suhaag ki chinta n karne lage, isiliye proksh rup se tum logo se prem karta hua hi chhup gya tha, isliye tum sab mere prem me dos mat nikaalo, me tumhara pyara hun- tumlog mujhe pyari ho. Meri priya gopiyon tumsab ne mere liye apne ghar ko chhora_ jise bare-bare Yogi-Yati bhi chhor nahi paate hain,
mujhse tumara yah milan, aatmik samyog sarvathaa nirmal or nirdos he.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें