Shri Krishna Maharaas Lila

Jitni Gopiyan thi utne Shri Krishna prakat ho gye the. Prabhu Gopiyon ke sath naachane or gaane lage the. Aasmaan Devtaaon ke vimaano or vaahano se bhar gya tha. Suvarg ki dhudhumbhi apne aap baj gayi thi, sabhi Devgn fulon ki baarish kar rahe the. Gandharv apni apni patniyon ke sath bhagwan ke nirmal guno ko gaa rahe the. Nritya karte samay brajyuvati kabhi per aage karti or kabhi pichhe karti thi, Kabhi ak per aage or dusra pichhe hota tha, Kabhi dhire dhire paav rakhati thi, to kabhi jor se paav rakhati thi, kabhi gol gol ghum jaati thi, kabhi haato se vibhin parkar ki mudra banaati thi, Kabhi eyebro matkaati thi, jhukne,bethane,chalne or uthane ke karan unke istan hil rahe the or un sabki chunri havaa me laharaa rahi thi. Dance karte vakt sabhi ke chehare par anek bhaav aa rahe the, bich bich me ve sab muskura deti thi, kaano ke kundal baar baar hilkar gaal par aa jaate the. Kangan,Paayal or kamarbandh me lage ghungharu bahut tej aavaj kar rahe the, Lakhon gopiyan thi isiliye naachane ki,gaane ki or aabhusano ke ghungharu ki dhvani bhi bare jor ki ho rahi thi. Sabhi Gopiyan Shri Krishna ke sur me sur milaakar gaa rahi thi, baad me ak gopi prabhu se bhi unche suvar me gungunaane lagi thi, prabhu iski bahut prasansaa kiye the, dusri unche suvar me dhrupad me gaayi, iski bhi taarif shri krishna kiye the. Ak gopi nachate nachate thak gayi thi,uski kalaaiyo se kangan or chotiyon se bela ke ful khisakne lage the,tab usne apne bagal me khare Murlidhar Shyam Sunder ke kandhe ko apni baaho se kaskar pakar li thi. Prabhu apna ak haat dusri gopi ke kandhe par rakhe hua the,vah suvabhaav se to kamal ke samaan sugandh se yukt tha hi,us par baraa sugandhit chandan ka lep bhi tha,uski sugandh se vah pulkit ho gayi thi,uska rom-rom khil uthaa tha,usne turant use chum li thi. Ak gopi Shri Krishna ke gaal ko apne gaal se sataa di thi, Giridhar ne apne chabaaye hua paan ko uske mukh ke undar daal diye the. Koi Gopi nupur or kardhani ke ghungharuon ko jhankaarti hui naach or gaa rahi thi, atyadhik thakne par, apne bagal me khare shri krishna ke haat ko apne dono istan par rakh li thi. Bhagwan kabhi unhe apne hridya se laga lete the,kabhi haat se unke ango ko chhute the,kabhi prem bhari chitvan se un sabki ki taraf dekhate the,to kabhi lila se unmukt hansi hasne lagte the. Apne pritam ke ango ka ispars praapt karke gopiyaan pram aanandit ho gayi thi. unke baal bikhar gye the,fulon ke haar tut gye the or gahane ast-vyast ho gye the, ve apne baal,kapre or aabhusano ko sambhaal nahi paa rahi thi, Yah lila dekhkar suvarg li devaangnaaye bhi milan ki kamna se mohit ho gayi thi or samast taaro tthaa graho ke sath chandramaa chakit or vismit ho gye the,jab bahut der tak gaane or naachane ke baad gopiyan thak gayi thi,tab karunamy prabhu ne suyam apne haatho se un sabhi ke mukh ko pochhe the, Iske Baad sabke sab Yamuna nadi me ghuse the. Shri Krishna nadi ka pani gopiyon par daal rahe the or gopiyaan yamuna nadi me prabhu ke upper pani daal rahi thi. Shri Krishna ki fulon ki mala gopiyon ke ang ki ragar se kuchh kuchal si gayi thi or sine me lagi kesar se vah rangin bhi ho gayi thi, uske chaaro taraf bhoure manda rahe the, yamuna nadi se bahar aane ke baad, Gopiyan Shri Krishna ka haath pakar kar idhar-udhar ghumti hui, vrindavan ki shobha dekhane lagi thi. Kinhi gopiyon ke kapre,aabhusan or baal lataa-jaal me ulagh jaate the,tab govind unhe lataa-jaalo se chhura dete the. Devgn Fulon ki barsaat kar rahe the.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4