Shri Krishna virah me, Gopiyon duvara, unko dhundhana

Gopiyon ko Shri Krishna ke Charan kamal chinha dikhaai dene ke sath sath, kisi Brajyuvati ke bhi charan chinha dristi me aa gaye the. ve paraspar boli ki jese, Hathini apne pritam Gajraaj ke sath gayi ho,  vese hi Nandnandan Shyam Sundar ke sath kandhe par haat rakhakar, chalne vaali, kis Barbhaaagini ke ye charan chinha he? avasya hi sarvsaktimaan bhagwan ki yah Araadhika hogi, isiliye is par prasan hokar, hume chhor diya, ise akaant me lekar gye hein, hum sabke pyare jis raj ko apne charno se chhu dete hein, us raj ko paane ke liye bare-bare Devta lalaayit hote hai, akant me humare Shri Krishna ko le jaakar, akele hi adhar-sudha ras ko pi rahi hogi , is gopi ke charan chinh humare hridy me kshobh utpan kar rahe hein. Yahaan us gopi ke per dikhaai nahi dete hain,maalum hota hai, yahaan pyare ne, dekha hoga meri presi ke sukumaar charno me ghaas ki nok garti hogi, is karan unhone use apne kandhe par chadhaa liye honge .
Yahaan dekho pyare shri krishna ke charan chinha adhik gahare baalu me dhase hua hai, isase suchit hota he ki kisi bhaari vastu ko uthaakar yahaan se chale hein, usi ke bojh se unke per jamin me dhans gye hein, ho n ho shri krishna apni priyatma ko avasy hi kandhe par chadhaaye honge.
Dekho Dekho yahaan pram premi Brajvalabh ne ful chunane ke liye apni presi ko niche utaar diye, uchak uchakar ful torne ke karan yahaan unke panje to dharti me gare hua hai or ari ka pata hi nahi he, unhone uske baal yahaan par baaye hein.
Dekho apne chune hua puspon ko apni priya ki choti me guthane ke liye avasy hi yahaan bethe honge.
Jiske sath Shri Krishna akant me gye the, usne socha ki me hi samast gopiyon me sarvsharesth hun, isiliye humare shri krishna ne unsabko chhorkar,jo unhe atyadhik prem karti hein, keval mera hi maan karte hain, mera hi aadar karte hein, abhimaanvash shri krishna se boli ki mere sukumaar per thak gaye hai, ab tum mere sath jahaan chalna chaaho, mujhe apne kandhe par bethaakar, le chalo.
Shyam Sundar bole achha pyari, ab tum mere kandhe par chadho, yah sunkar jese hi kandhe par chadhane chali, prabhu gaayab ho gye the. Vah bhi anya Gopiyon ki tarah hi prabhu se dur hone par fut futkar rone lagi thi, ant me behos ho gayi thi.
Gopiyon ko vah gopi behosi me mili, jise prabhu akaant me lekar gye the, usne saari baat bataa dithi

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4