Akrur and Shri Krishna Story

Kans ne Shri Krishna or Balram ji ko dhanush puja ke liye aamantrit kiya tha. Vah in dono bhaiyon ko laane ke liye akrur ji ko bheja tha, akrur ji raat bhar Prabhu ke hi sapne dekhte rahe the, savera hote hi teyar hokar, param-bhaagyvaan akrur ji_ braj ki yaatra par nikal pare the, raaste me ve Shri Krishna ke baare me hi soch rahe the. Kamalnayan bhagvan ki param prem mayi bhakt se pripuran hokar chintan karne lage the, ki mene asa kon sa puny kiya tha,asi kon si sharesth tapasya ki hai athvaa kisi satpaatr ko daan diya hun jiske falsuvarup aaj me bhagvan Shri Krishna ke darshan karungaa .
Me baraa paapi hun,visya bhogo me raha karta hun, ase me kya prabhu mughe apna mukhkamal dikhaayenge? bare bare saatvik purush bhi jinke guno ka gaan karte rahte hain, darshan nahi kar paate hain, un bhagvan ke darshan mere liye atyant durlabh h,thik vese hi, jese shudr kul ke baalak ke liye vedo ka kirtan sunana, parantu nahi,mugh adham ko bhi govind ke darshan avasy honge kyunki jese nadi me bahate hua tinke  kabhi- kabhi is paar se us paar chalaa jaata hai vese hi samay ke pravaah se kabhi- kabhi koi is sansaar sagar ko paar kar sakta hai, avasya aaj prabhu ke darshan karke mere saare paap,asubh,amangal nast ho jaayenge. a?Aaj mera ganam safal ho jaayega kyunki aaj girdhar ke un charan kamlo me saakshaat pranaam karunga jo bare bare Yogi yatiyon ke bhi keval dhyaan me aate hain. Aho kans ne to aaj mujh par bari hi kripa ki he, usi ke bhejne se me is bhutal par avtrin suyam bhagvan ke darshan kar paaunga, jinke nakh ka dhyaan karne maatr se param kalyan ho jaata he. Ab tak jo bhi inke paas aaya he_ sabko inhone paramgati pradaan kiye the, pahale yugo ke krishi maharishi is agyaan rupi apaar- andhkaar_ raashi ko paar kar chuke hai,suyam vahi bhagvan avtar grahan karke_ prakat hua hein . 
Brahma, Shankar,Indr aadi bare bare devta, jin charan kamalon ki upaasana karte rahte hain, suyam bhagvati lakshmi ji bhi ak second ke liye bhi jinki seva nahi chhorti h  Premi bhakton ke sath sath bare bare gyaani bhi jinki seva me lage rahate hai, bhagvaan ke ve hi charan kamal gaayon ko charaane ke liye_ van van me vicharte hein. Ve hi sur- muni vandit shri charan_ gopiyon ke sine me lagi kesar se rang jaate hain- chinhit ho jaate hein. Me avasy- avasy unka darshan karunga. markat mani ke samaan sundar kaantimaan unke komal gaal he

 kamal se komal ratnaare lochan (aankhe)or kapolo (gaalo)par ghungharaali alke latak rahi hai, tote ki thor ke samaan nukili naasika he, hotho par mand- mand muskan rahati he. Prembhari chitvan he. Me prem or mukti ke pram daani_ shri mukund ke us mukhkamal ka darshan karunga kyunki harin meri daayi taraf se nikal rahe hai, bhagvan prithvi ka bhaar utaarne ke liye maanav ki- si, lila kar rahe hai. Ve sampuran laavany ke dhaam hein, soundary ke murtimaan nidhi hein, aaj mughe, sahaj me hi netr milne ka fal mil jaayega, ve hi, is kary- karanrup jagat ko dekhane vaale hein, unki chinmayi shakti se, agyaan ke karan hone vaala bhedbharam, agyaan sahit nirast rahata hai, ve apani yogmaya se hi, apne aap me, bhru-vilaash maatr se praan,indriy or budhi aadi ke sahit apne suvarupbhut jivo ko bana lete hai or unke sath vrindavan ke kungo me tthaa gopiyon ke gharo me tarah tarah ki lila karte hua pratit hote hein.
Mera mangal prabhaat he, aaj mujhe savere se hi achhe achhe shakun dikh rahe hein, jab samast paapo ke naasak unke param mangalmy gun, karm or lilaon se yukt hokar, vaani unka gaan karti hai,tab us gaan se sansaar me jivan ki isfurti hone lagati hai,shobha ka sanchaar ho jaata h, saari apavitraan dhulkar, pavitrataa ka raaj ho jaata hai parantu jis vaani se unke guno,ganam or lila ki katha nahi gaayi jaati hai, vah to murdon ko hi shobhit karne lagati hai, hone par bhi nahi ke samaan, bekaar hai.
Jinke guno ke asi mahima he, ve hi yaduvansh me avatrin hua hai, kisliye? unke duvara banaai gayi maryada ka paalan karne vaale sharesth devtaaon ke kalyan ke liye, ve hi param asvaryshaali bhagvan braj me nivaas karte hai or vahin se apne yash ka vistaar kar rahe hai, unka yash kitna pavitr he.
Aho Devgn bhi, us sampuran mangalmy yash ka gaan karte rahte hai.
Isme sandeh nahi he ki aaj me avasy hi unka darshan karunga, jinke charan kamal bare bare santo, lokpaalon ke bhi ak maatr aashary hein,sabke param guru hein or unka rup soundry tino loko ke mun ko bhi mohit karne lagta hai, jo netr vaale hein, unke liye aanand or ras ki charam sima he, isise suyam lakshmi ji, jo soundry ki adhisvari hein, unke paas hamesha rahane ke liye kosis karti rahti hein, unke charan kamal kitne durlabh hein. Jab me braj pahuchungaa, Shri Krishna or Balram ji ke charno ko ispars karunga sath hi sath gvaal baalon ke charno ki bhi vandana karunga. Mere ahobhaagy, kya ve mere seer par apna karkamal rakhenge? apne sharnaagat ko prabhu sab parkar ke dar se mukt kar dete hai.
Indr tthaa deityaraaj bali ne bhagvan ke unhi karkamlo me puja ki bhet samarpit karke, tino loko ka prabhutv prapt kar liye the. Unke sarir se kamal ki si sugandh aati rahati hai, apne haath ke komal chhuan se, raaslila ke samay, gopiyon ki saari thakaan mitaa diye the.
Me kans ka dut hun, kahin ve mughe dusman to nahi samjhenge?
Ram & ram, ve asaa kadaapi nahi karenge kyunki ve nirvikaar hein,sam hein, achyut hein,ve hi man ke bahar bhi he- undar bhi hai.
Ve hi kshe-tra-gya-rup se isthit hokar antha karan ki ak- ak chesta ko apni, nirmal gyaan- dristi ke duvaara dekhate rahte hai, tab meri sankaa vyarth hai, jab me unhe dekhunga, unke nikat jaane ke liye rath se kudh parunga.
Unke nikat jaakar avasy hi me unke charan kamalon me, haath jorkar, vinit bhaav se, kharaa ho jaaunga, ve muskuraate hua daya- bhari, Prem se pripuran dristi se dekhenge, usi vakt mere ganam- ganam ke samast asubh- sanskaar, usi samay nast ho jaayenge or niha-shank hokar hamesha ke liye, param anand me magn ho jaaunga. Me unke parivaar ka hun or unka bhalaa hi chaahataa hun, unke siva or koi mera ishtdev bhi nahi hai, asi isthathi me ve apni lambi lambi baahon se kaskar pakar kar mughe apne hridya se laga lenge. Ahaa us samay meri deh to pavitr hogi hi, vah dusro ko bhi pavitr karne vaali ban jaayegi or usi samay, unka aalingan paate hi, mere karam falon ka bandhan,jinke karan me, anaadi kaal se bhatak raha hun,tut jaayenge, iske baad me, haath jor,seer jhukaakar, unke saamne kharaa ho jaaunga, tab ve mughe chacha akrur,is parkar sambhodan karenge, kyun nahi? isi pavitr or madhur yash ka vistaar karne ke liye hi, ve lila kar rahe hai. Un prabhu ka darshan karke, mera jivan safal ho jaayega.
Bhagvan Shri Krishna ko n to koi priy hai- n apriy,n to unka koi aatmiy jan he or n hi satru,unki upeksha ka paatr bhi koi nahi hai, fir bhi, jese kalp-vriksh apne paas aane vaale ko unki manpasand chige deta hai, vese hi prabhu bhi,jo inhe jese bhajta he,use usi rup me bhajte hein, ve apne premi bhakto se purn prem karte hein . Apna darshan dene ke baad, shri krishna or balraam, mughe apne gale se laga lenge or fir dono bhai milkar, mera haath pakar kar, mughe apne ghar ke bhitar le jaayenge, vah mera sab parkar se satkaar karke, puchhenge ki kans humaare gharvaalon ke sath kesa vyvhaar karta hai?
Jab Akrur ji braj pahuchate hein_ Shri Krishna ke charan chinho ke darshan ho jaata hai, tab unke mun me itna aanand- itna aanand hua ki, ve khud ko sambhaal nahi paaye,prem ke aaveg se, unka rom- rom khil uthaa, aankho me aansu bhar aaye the or tap- tap, tapakne lage the. ve braj bhumi ki mitti me lotne lage the.
Braj me pahunchakar, shri krishna or balram ko goshaala me dekhe the. Shyam Sunder shri krishna pitaambar dhaaran kiye hua the or gour sundar balram ji nilaamber dhaaran kiye hua the, unke netr sharad kritu me khilne vaale kamal ke saman khile hua the. Unhone abhi kishor-avasthaa me pravesh kiye the, ve dono Gour-Shyam nikhil soundry ki khaan lag rahe the, ghutne ka ispars karne vaali lambi- lambi bhujaayein,sundar- badan, param manohar or gajshaavak ke samaan lalit chaal thi, in dono bhaiyon ka ispars pakar prithvi ki sobha badh jaati thi, unki mand- mand muskaan or chitvan asi thi_ maano dayaa baras rahi ho. Ve udaarta ke maano murti hi the, inki ak- ak lila udaarta or sundar kala se bhari thi, gale me vanmala or haar jagmagaa rahe the. Inhone abhi- abhi nahaakar, kapre pahane the or sarir me pavitr angraag or chandan ka lep lagaaye hua the. Akrur ji dekhe ki jagat ke aadi karan,sansar ke parampati,purushotam hi sansaar ko bachaane ke liye, apne sampuran anshon se balram ji or shri krishna ke rup me avtrin hua hein, jo apni ango ki kaanti se, disaao ka andhkaar dur kar rahe hein, ve ase bhale maalum hote hein,jese sone se madhe hua markat- mani or chaandi ke parvat jagmag- jagmag kar rahe ho, in dono bhaiyon ka darshan karke, akrur ji ka galaa bhar aaya tha. Ve kuchh bol nahi paa rahe the, prabhu inki mun ki baat jaan gye the, dono bhai, unhe uthaakar, apne- apne hridya se laga liye the, akrur ji ka ak haath balram ji or ak hath shri krishna ji pakar kar, bhitar lekar gye the. Kushal- mangal, puchhakar, unko_ sharesth aasan par bethaaya gya tha, peron ko dhokar,saaf kapre se pochha gya tha. Shahad mila hua dahi diya gya_ khaane ke liye. Shri Krishna or Balram ji milkar unke pero ko dabaaye the, unko atyant suvaadist bhojan khaane ke liye diya gya tha, ant me paan or ilaaichi bhi diya gya tha. Nand ji unse savaal karte hein ki, akrur ji kans ke jite ji aaplog kis parkar, jivan yaapan karte honge, jis parkar kashaai duvaara paali gayi, bhero ki durdashaa hoti hai vesi aap sabhi mathura vaasiyon ki hoti hogi? are jisne, apne nirdosh bahan ke, nirdosh ganam-jaat, bachon ko nahi chhora, vah kisi or ko chhor de, yah humlog anumaan kar bhi kese sakte hein? Akrur ji ko bahut saari anek parkar ki uphaar diya gya tha. Shri Krishna, Balram ji or unke Mata -Pita ke duvaara prapt aadar se, akrur ji ki, raaste ki, saari thakaan, mit gayi thi. 

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4