Shri krishna and Akrur j

Akrur ji jab isnaan karke bahar nikle, tab bhagvaan Shri Krishna unse puchhe ki chacha ji aapne jal,dharti ya aakaash me koi adbhut vastu dekhe he kya, aapki chehare se to asaa hi lagta hai?
Akrur ji bolte he Prabhu sabkuchh aap me he_ mene aapko dekh liya, tab kon si asi adhbhut vastu hogi, jo mene n dekhi hogi,
Itna bolkar akrur ji rath chalaana suru karte hein.

Mathura Me pahale se hi nand ji or anya gopgn prabhu or balram ja ka intajaar kar rahe the, akrur ji se Prabhu bolte hai ki aap mathura pahuchkar apne ghar chale jaaiega, hum dono bhai pahale rath se utarkar, dusre din savere mathura ghumenge.
  Akrur ji Shri Krishna se bolte hein ki appke bina me ghar nahi jaaunga, aap mere   araadhy dev hein, kripa karke aap mughe mat chhoriye, he bhakto ka mangal karne vaale_ bhaktvatsal, mere param hiteshi or sache_ suhrid bhagvan me aapka bhakt hun, aap mere suvaami he, aap balram ji,apne pita or anya gopgn ke sath aakar ke mere nivaas isthaan ko paavan kar dijiye. In charno me jhukne se hi raja bali ko atulniye aisvary,tino loko me Kirti or param premi bhakti vaali gati praapt hui thi, apka kirtan karna or sunana mangalmay hota he, budhimaan log apka hi chintan_ manan karte hein.
Mathura nagar ke parkote me isfticmani (billor) ke bahut unche_ unche gopur (pradhaan darvaaja) tthaa gharo me bhi bare_ bare faatak lage hua the, unme sone ke bare_ bare kivaar lage the or sone ka hi toran( bahari darvaaje) bane hua the, iske chaaro taraf taambe or pital ke chaardivaari bani hui thi, khai ke karan or kahin se nhi is Nagar me pravesh karna kathin hai, isthaan_ isthaan par sundar_ sundar bagiche or ramniy jagah he, suvarn ke saje hua choraahe he, dhaniko ke mahal, kaarigaro ke bethane ki jagah,prajavarg ke sabhaabhavan (townhall) or sadhaarn logo ke ghar iski sobha badhaa rahe hai, vedury, Hire,isftic,nilam,munge, moti or panne se jade hua chhajje,chabutre,jharokhe,farsh aadi jagmagaa rahe the. In par bethkar bhanti_ bhanti ke pakshi kalrav kar rahe the.
Sadak,bajaar, gali,avam choraahe par khub sugandhit drav ka chhirkaav kiya gaya tha. Isthaan_ isthaan par fulon ke gajare,javaar (jo ke ankur), khol or chaaval bikhare hua tha, gharo ke darvajo par dahi or chandan se charchit, jal se bhare hua kalash rakhe hua tha or ve ful, dipak,nayi_ nayi kople, falsahit kele or supaari_vriksh,chhoti_ chhoti jhandiyaan or resmi kapro se bahut sundar sajaaya gya tha.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4