Shri Krishna ka Shri Radha jise mathura jaane se pahale milna

Jese hi Radha ji ko pata chala, unke praanpyare mathura ja rahe hai vese hi vo behosh ho gayi thi.
Shri Krishna, Radha jise milne, unke ghar gye the. Prabhu ke chhune se radha ji ko hos aa gya tha.
Shri Krishna unse puchhate he ki tum
itni udaas kyun ho? is prkar shok n karo, athva meri mathura jaane ki baat jaankar, tumhe mujhse dur hone ka dar sata raha he?
Mene jis kaam ko karne ke liye prithvi par avatar liya he, us kaam ko karke, me vaapas aa jaaunga, tumhari kaamna purn karunga.
Praannath tum avasya prithvi ka bhaar utaarne ke liye mathura jaao, parantu meri nischit pratigya ko sun lo, tumhare yahaan se chale jaane par, me sarir ko kadapi dharan nahi karungi, agar tum meri pratigya ya shapath par dhyan nahi dete ho to dusri baar, punha apne jaane ki baat bolkar dekh lo, me turant katha shes ho jaaungi.
Mere praan adharo ki raah se nikalne ko atyant vyaakul he, ye kapur ki dhuli kano ki bhaanti shighr ur jaayenge.
Shri Krishna bolte he ki priye raadhike me apni vedsvrupaa apni vaani ko taal sakta hun, parantu apne bhakto ke vachan ko taalne me asamarth hun .
Purv Kaal me golok me jo kalha hua tha,
us samay diye gye, mere bhakt shri daama ke abhishaap ke karan hum dono ko so vars tak ak dusre se dur rahana padega. Me pahale hi bol chuka hun ki me apne bhakto ki baat ko nahi jhuthlata hun, me vivash hun, me tumhe mahine me ak baar sapne me darshan dunga.
Shri Radha ji prabhu se bolti he ki yadi asa nahi hoga to me jivit nahi rahungi, tum mujhe vachan do ki tum asaa hi karoge, tab shri krishna vachn dete hein ki me gaayon ki shapath khaakar bolta hun ki me mahine me ak baar tumse milne, tumhare sapne me aaunga, mene jo kuchh kaha he_ use sanshy rahit or nishkapat samgho.
Jo sukh dukh me sath nibhata he sath hi sath apna vachan bhi nibhata he, vahi sachaa mitr hota he.
Jo log samdarsi,jitendriye,apeksha rahit avam mahaan sant he, vahi us kaamna rahit mere param sukh ka anubhav karte hai, thik usi tarah gyaanendriyaa hi ras aadi vishyon ko jaan paati he, karmendriyaa nahi, niskaam bhakti me jo aanand milta he, use sakaami bhakt nahi jaan sakta he.
Jo log tujh radhika, mujh kesav me dudh or uski dhavalta ki bhaanti_ hum dono me bhed nahi karte he, vahi meri parambhakti ko praapt karte hein, iske alava jo log hum dono me bhedbhav karte he, ve ganam maran ke chakr me fase rahate he.
Kuchh samy tak, shri radha jise baat karne ke baad, apne ghar vaapas aa gye the.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4