Kans ka pichhale Ganam

Duvaapar Yug me ganam lene se pahale kans rakshas yoni me ganma tha, jiska naam kaal nemi tha,pita ka naam virochan tha.
Usko shastr kala or tantr vidya ki jaankari hone ke sath sath shaktishali bhi atyant tha, sabhi devta usase thar- thar dar se kaapte the .
Jab devaasur yudh hua tha is dust ne bethe hi bethe bhagvan vishnu par trishul chalaya tha lekin narayan trishul ko pakar kar, usi se usko maar daale the, iske marne par sabhi devata bhaymukt hokar hari ke guno ka gaan karne lage the  .
Bhagwan Vishnu bole ki yah duvaapar yug me fir se ganam lekar kahar barpaayega, yah sunkar devgn fir se bhaybhit ho haye the .
Kaalnemi naam ka ak dusra daanav bhi hua hai jisne hanuman ji ko sanjivani laane me rukaavat daala tha.
Sabhi Devtaaon ko darte hua dekhkar bhagvan Shri Hari bole ki us yug me, mei shri krishna avatar me use maarkar aap sabka dar dur kar dunga.
Ugrasen ji ka vivaah pavanrekha ji ke sath hua tha, jo bahut sundar thi, chanchal, hansmukh suvabhaav tha.
Dono pati-patni  apne raaj dharam ke sath sath bhagwan vishnu ki aaradhana bhi karte the, praja bhi dhaarmik pravriti ki thi, 
Sukhi-sampann raaj tha, chaaron taraf aanand ka vatavaran tha, koi  bhi dukh se dukhi nahi tha,sabke sab Param aanand se rahate the.
Ak din raani pavanrekha ke pita ka sandesh ugrasen ji ke paas aaya ki bahut din ho gaye hai, apni putri ko dekhe or uske sath samay bitaaye hua, kya aap use kuchh dino ke liye humaare paas bhej sakte hai?
Maharani Pavan rekha apne maayke chali aayi thi, kisi samay apni sakhiyon ke sath bagicha ghumne gayi thi, yahin par dust gandharv dramila ki drishti in par jam gayi thi, usne raani ki sundarta se mohit hokar, har parkar se unko rijhaakar apne nikat laane ki kosis kiya tha parantu asafal raha tha, tab us dust ne raani par sammohan vidya ka prayog karke, unko apne vash me karke, sambhog kiya tha, jiske falsuvarup kans ka ganam hua tha.
Us dust Gandharv ne raani ke mun se is baat ko apni shakti se bhulva diya tha, isaliye maharani ko iska simaran nahi raha tha, kuchh dino ke bad maharani apne pati ke mahal vaapas aa gayi thi.
Jab sabko pata chala ki maharani pavanrekha ma banane vaali he, sab atyadhik prasann hua the.
Kans ke alaava aath chhote bhai jinka naam krambadh- nygrodh,sunama,kank,sanku,ajbhu,rastrpaal,sumusti or yudhmusti tha iske alavaa paanch bahano ka naam kansa, karnavati,satantu rastrpaali,or kanka tha.
Kans ka paalan, poshan dhaarmik vatavaran me kiya ja raha tha, fir bhi uspar in sabka koi prabhaav nahi par raha tha, us dust gandharv ka khun apna asar dikha raha tha jabki kans ke anya bhai or bahane bachpan me dharmik pravriti ke the, lekin kans ki sangati ne in sabko bhi dust bana diya .
Kans raja bante hi praja par haavi ho gaya tha, usne anushaashan ke naam par atyachaar suru kar diya , vah chaahataa tha ki log use bhagvan , isiliye aavashyak tha ki apni shakti ka vistaar kiya , atha kans ne us samay ke sabse shaktishaali or prabhaavshaali,sarvprataapi raja jaraasangh ki do putriyon asti or prapti se vivaah kar liya tha, jo porav vanshaj ki thi .  .
Jarasangh ke jariye kans ne chedi ke yaadav vansi raja shishupaal se dosti kar liya tha, in dono ke abhinmitr agdant ne bhi kans se mitrta kar liya tha, kans ne apne- apne prabhaav ko pure bharat me felaya tha, dharmik anushthaan band ho gaye the, hinsa- bhay ka vatavaran ban gaya tha, vasudev ke paanch chhote bhaiyon ki shaadi kans ki paanch bahano se hui thi.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4