Shri Krishna ji or Balram ji ke duvara Kans ke Pahalvaano ka uddhaar
Kusti ke anurup baaje ki aavaaj band hote hi shri Krishna or chaanur aapas me kusti karne lage the.
Hatho se haath baandhkar,pero ko adaakar ak dusre ko apni -apni taraf khichane lage the, panjo se panja,matha se matha,ghutne se ghutna, chhaati se chhaati bhiraakar ak dusre par chot karne lage the.
Daav- pench karte- karte apne pratiduvandi ko idhar-udhar udhar ghumaate,dur dhakel dete,jor se jakar lete,chipak jaate or uthaakar patak dete the,kabhi chhutkar nikal bhaagte the,kabhi chhorkar, pichhe hat jaate the, is parkar ak dusre ko rokte,ak dusre par chot karte or haraane ki kosis kar rahe the.
Kabhi koi niche gir jaata to dusra pero or ghutno se dabaakar,haatho se pakar kar, uppar ki taraf le jaakar, gale me lipat jaane par, dur dhakkaa de deta tha, kabhi-kabhi jarurat parne par, hath per ikhathaa karke, gaath baandh diya jata tha.
Mathura ki kuchh istriyaan dangal dekhane aayi thi, jab un sabne dekha ki chhote- chhote sukomal baalko ke sath bade- bade Pahalvaano ke sath kusti karvaya ja raha he, tab ve paraspar bolne lagi thi ki dekho- dekho chhote- chhote atyant sukomal or nirbal baalkon ke sath bare- bare Pahalvaano ko laraaya ja raha hai.
Maharaj Kans ke Sabhasad baraa anyaay or adharm kar rahe hai.
Bahan dekho in Pahalvaano ka ak- ak ang vajr ke samaan kathor he,dekhane me bare- bare parvat jaan parte he.
Shri Krishna or Balram to abhi javaan bhi nahi hua hai, inki kishor avastha hai, inka ang- ang atyan mulaayam he, kahaan ye- kahaan ve, avasya jo is dangal ko dekhega paap kamaayega.
Shaastro me likha hua hai ki anyaay ka sada virodh karna chaahiye,agar virodh karne ki shakti n ho to vahaan ak pal ke liye bhi nahi rukna chaahiye, jahaan galat baato ko samarthan milta ho, us isthaan par ak pal bhi nahi rukna chaahiye.
In Naariyon ki baate Mata devki or Pita vasudev sun rahe the .
Inka mun darne laga tha ki humare sukomal pitron ko kans ke pahalvaan maar n daale,ye apne putron ki shakti ko nahi jaante the.
Jis karagaar me Shri Krishna or Balram ji ke mata-pita pita bandi rup me the, usi ke nikat satkar, ye orte baat kar rahi thi isaliye inki baato ko sun paaye the.
Dekho Bahin! Shri Krishna or Balram sukomal hone par bhi, in Pahalvaano ko maat de rahe hein.
Shyam sundar ke chehare par pasine ki bunde ase sobha de rahi hai, jese kamal ki pankhuriyon par jal ki bunde sobha deti hai.
Dekho bahan Balram ji ki aankhe mushtik ke prati krodh ke karan laal- laal ho rahi he, fir bhi hansi ki jhalak inke mukh par dikhaai de rahi he.
Is dharti par sabse pavitr isthaan brajpur dhany he, jahaan Narayan shri Krishna rup me or shes naag devta balram ji ke rup me avatar liye he, vahaan ye purushotam manusya ke bhesh me chhipkar rahte hai, jinke charno ki puja bare- bare devta mahadev,brahma or lokpaal karte hai, vahi vrindavan ke jangalo me gaayon or bachharon ko charaane jaate the, gop baalkon ke sath unhi ke jese bankar rahte the, apne bhagvat rup gupt rakhte the.
Apne sakha baalkon ke sath tarah- tarah ke khel khelte the,baasuri bajaate the.
Shri Krishna or Balram ji ka rup kya hai? laavany ka saar,kisi bhi lok me asi sundarata dekhane ko nahi milegi,
Kisi ke ak ang me sundarta hoti he to hum use nihaarne lagti he, yahaan par to ang- ang me sundarta bhari hui he, jo har baar naya hota jata he,nitya nutan he, inko lagaataar dekhane par bhi mun nahi bharta hai, so bhi kisi ke sajaane- savaarne se nahi, jewelry,kapro se bhi nahi balki suyam sidh he.
Prabhu ki photos me nayi- nayi sundarata dekhane ko milti he, jitni baar dekho, lagta he ki asi sundarta ko pahali baar dekh rahe he, netr isko chhorkar anya kuchh bhi dekhane hi nahi chaahate he.
Dhany he gopiyaan jo ,ghar ka sara kaam karte samay, pratyek indriyon se inke divya ras ka paan karti thi, aankho se inka darshan karti thi,kaano se inki baate,baasuri ki sangitmy dhvani,inke aabhushano ki aavaaj, naak se divya sugandh,tuvachaa se ispars,mukh se inhi ke baare me keval baat karti thi or naam le lekar gungaan karti thi, mun se inhi ke baare me sochti thi.
Prabhu ka ang- ang vagr ke samaan kathor ho raha tha, inki ragar se chaanur ki rag rag dhili par gayi thi, use lag raha tha ki uske sarir ke saare ang tut rahe he, use bahut Dard hone laga tha, vah krodh se tilmilaakar prabhu ki taraf baaj ki tarah jhapta tha, dono hathon ke ghusa banaakar, govind ki chhati par maara tha.
Jese hathi ko fulon ke gajaron ki maar se koi farak nahi parta hai, usi parkar jab isne prabhu ki chhati par mara, tab prabhu Thora sa bhi vichlit nahi hua the.
Chaanur ke dono hathon ko pakar kar, gol- gol ghumaakar, dharti par patak diye the.
Patakne se pahale hi uski jaan chali gayi thi, vesh- bhusha ast- vyast ho gayi thi,baal or maala bikhar gayi thi, indr dhvaj (indr ki puja ke liye khara kiya hua bare- bare jhande) ke samaan gir padaa tha.
Isi parkar Balram ji bhi mustik ke sath lar rahe the.
Mushtik ne balram ji ko mukke se mara, ispar balram ji ne use ak jordaar thapad lagaaye the, chaata parte hi vah kaapne laga tha, aandhi se ukhade hua vriksh ke saman, gir para tha, khun ki ulti karke mar gaya tha.
Balram ji paas aate hua kut ko baaye haath ke ghushe se maar diye the.
Shri ne shal ko pero ke thokar se or toshal ko tinke ki tarah chirkar, do tukre kar diye the, yah sab dekhkar bache hua anya pahalvaan, darkar, dum- dabakar bhag gaye the.
Shri Krishna or Balram ji apne mitro ko khich- khich ke laakar, unke sath bhirne or nach- nach ke bheri ki dhvani ke sath apne nupuron ki dhvani ko milaakar, kusti karne lage the, yah sab dekhkar mathura ke logo bahut-bahut bahut khusi mili thi, dhany hein- dhany hein, bolkar dono bhaiyon ki jaijaykaar karne lage the.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें