संदेश

Nalkubar or Manigriv ka Uddhaar

चित्र
Sampati ke Devta Kuber ke putron Nalkubar or Manigriv ko atyadhik dhan hone ke karan bahut jyada abhimaan ho gya tha, iske alaava Shiv ji ke Anucharon me inko bhi saamil karne se inka ghamand badh gya tha. ak din ye dono bhai kelaash parvat ke upvan me Apsaraaon ke sath vihaar karne ke baad, saraab pikar, Ganga Nadi me apsaraao ke sang Masti karne gye the, achaanak Devarshi Narad ji aa jaate hein, jo sadaa Hari kirtan karte rahte hein . kanyaaon ne sarmaakar apne apne kapre pahan liye the, prantu ye dono bhai Atul sampati ke ahankaar ke kaaran Narad ji ko pranaam nahi kiye the, iske alaava ye log yuvtiyon ko phir Mandaakini Nadi me krira karne ke liye bulaa rahe the. inka abhimaan dur karne ke liye hi inko Devarsi Narad ji ne vriksh yoni prapt hone ka abhisaap diye the.  

Ukhal Bandhan Lila little Krishna story

चित्र
Shri Krishna ke bandh jane ke baad bhi, gopiyan premvash, shri yasoda ji se Prabhu ko chhorne ki vinti karti he. un sabki  praathana asuvikaar kar deti hain. .gopiyon ko maiya ke Bandhan se chhurane me asamarth jaankar, Prabhu Balram ji ko ro rokar pukaarte hein. rone ki dhvani sunkar, Nand Bhavan ki taraf chal parte hein, Upnandan ji ke ghar se, jahaan apni Rohini maiya ke sath gye the. raaste me mili gopi Kanhaiya ke rone ka karan vistaar se bataa deti he. Balram ji bhi vinti karte hein ki kanha ko chhor do, chhoti maiya, yasoda ji baat ko ansuni kar deti hein. Brajrani ke vyavahaar se Balraam ji krodh se kuchh bolkar, shri Krishna ke nikat chale gye the. Prabhu ke paas Balraam ji ke alaava sabhi mitra the. ve sabhi apne sakha ko Bandhan se mukt karaane ko chhatpataa rahe the. sabhi ne kosis ki thi rasi ko kholne ki, prantu fail ho gye the. shri Krishna apne doston ko bole ki mitro mere paas ak upaay he. tum sab milkar pichh

shri Krishna Ukhal Bandhan Lila part-3

चित्र
 rokar apni maiya se bol  rahe hein ki, maiya ab me asaa nahi karungaa. apne aapko chhuraane ki kosis karte hein. shri yasoda ji apni choti me bandhi resm ki dori kholkar, shri Krishna ko baandhane ka paryatn karti he. dusri,tisri resm ki dori, tino resm ki dor ko paraspar milaakar, apne Kanhaiya ko baandhne ki kosis karti hein,. fir bhi prabhu ko baandh nahi paati hein. Prabhu ki tej rone ki aavaaj sunkar, sabhi gopiyaan bhaagi bhaagi aati hein. yasoda ji gopiyon ko bolti hein ki mere mani se bane bag me bahut saari resam ki rasi he, usmese sabhi rasiyaan le aao. gopiyan yasoda ji se vinti karti hein ki kanha ko chhor do. Prabhu ki mata un sabse bolti hein ki mujhe tum sabki shikshaa ki jarurat nahi he. rasi laana he to laao nahi to mat laao, sahan nahi ho raha he to tum sab apne apne netro ko band kar lo. chaahe Subha se SAAM ho jaaye, me to ise baandh kar hi rahungi. Brajpur ke sabhi gharo ki rasiyon ko milaakar shri Krishna ko baandha

Shri Krishna Daamodar Lila part-2

चित्र
Shri Krishna Sabha- Bhavan ki taraf, yah sochakar bhaagte hein ki istri hone ke kaaran, maiya vahaan jaa nahi payengi. me maar khaane se bach jaaunga. Trikaal- Darsi jo sab visyon ke gyaan ke rachanaakar hein,jo sabkuchh jaanane vaale hein vo vaatslya bhaav bhakti ke kaaran, bhakt ke adhin hokar itni chhoti si baat bhul jaate hein ki Nand baba, GOPgn or sabhi nokar,nakaraniyan Indra- Yagya ki teyaari karne ke liye kahin gye hua the. six nokraani to yasoda ji ke paas kaam me sahaayta karne ke liye ruki hui thi. lekin yasoda ji kisi n kisi kaam ke bahaane six nokraaniyon ko bhej deti hein. vahaan-jahaan indra yagya ki teyaari ho rahi thi. Prabhu ki Achintya Shakti Yogmaya yasoda ji ko makhan nikaalne ka saara kaam akele karne ka avasar dene ke liye, yasoda ji ke ghar ki Daasiyon ki budhi apne anusaar kar leti hein. Prabhu Sabha Bhavan me dorkar aate hein, prantu udhar koi bhi dristi gochar nahi hota he. Shri Krishna dusri or bhaagna suru karte hein. jinse bhay bhi bhaybhit hota he, vo va

Daamodar Lila little Krishna story

चित्र
Shri Yasoda ji ko Makhan nikaalne ka sabhi kaam_ Dudh duhane se lekar, Dudh otne,joran daalkar dahi jamaana,jame dahi ko mathkar makhan nikaalna ka sara karya ghar me akele karne ka avasar hi nahi mil paata tha, chunki Ghar me anek Nokraaniyan thi, iske alaava Shri Rohini ji ke Prem- Aagrah se vivash hokar makhan nikaalne ke kaam me sahaaytaa leni parti thi. aaj moka milne ki vagah se, Subha- Subha teyaar hokar makhan nikaalne ka kaam suru karti hein. tan se Prabhu ke liye Navnit nikaal rahi hein,man se chintan kar rahi hein, vaani se pahale ki hui lilaon ko gaa rahi he_ is parkaar tan-man-vaani tino se shri Krishna ko yaad kar rahi hein. jo suyam parmesvar ka avatar he. jab koi tan,man,vaani se parmaatma ko yaad karta he ve jag jaate hein, isiliye kanha bhi uth gye the. makhan khaane ke liye machalne lage the. apna kaam chhorkar yasoda ji apne laal ko dudh pilaane lagati he. achaanak yasoda ko dhyaan aata he ki me chulhe me dudh garam karne ke liye rakhi hui th

Prabhu ka dusra ganamdin manaana

Shri yasoda ji Krishna ko Teyaar Karke, sabse pahale puja karne ke liye Mandir jaati hein. baro se aasirvaad shri Krishna ko dilvaati hein, chhoton ko uphaar deti hein, Brahmano ki puja karke, unki priya se Priya vastuan deti hein. sabko bhanti bhanti ke pakvaan khilaaya jata he. Prabhu ko bhi uphaar sabhi log dete hein. yasoda ji apne laal ko khilone ka laalach dekar Ghar par roki hui thi, nahi to Prabhu rukne vaale nahi the.

Krishna ji ke duvara Motiyon ki kheti

Ak din Brajpur me Bahu-mulya,durlabh bahut-bahut sunder motiyon ka vyaapaari aaya tha, jab vah braj-raaj ke ghar motiyon ke bane aabhusan dikhaa raha tha, tab hi Prabhu ak motiyon ki maala jabardasti lekar,ak-ak moti ko maala se nikaalkar bij ke jese miti ke under bo diye the . kuchh din baad Vishal motiyon ka vriksh ug aaya tha . gopiyan moti purokar mala pahana suru kar deti he. kisi ko bhi samajh nahi aaya ki motiyon ka vriksh kese panap gya he.