संदेश

Parikshit Maharaj ke raaslila related savaal

Raja Parikshit  puchhe the ki Bhagwan Shri Krishna saare jagat ke ak maatr suvaami hein, unhone apne ans_ Shri Balram ji ke sahit puran rup me avatar grahan kiye the. Unke avatar ka uddeshy hi yah tha ki dharam ki isthaafna ho tthaa adharm ka naas ho. Brahmn ve Dharm Maryaada banaane vaale,updesak, dharm ko bachaane vaale hein, fir unhone suyam dharm ke viprit, praai naari ka ispars kiyu kiye the? Me maanta hun_ Bhagwan Shri Krishna purnkaam the, unhone kis abhipraay se yah nindniy karam kiya? Param Brahamchaari Munisvar mera sandeh mitaaiye. Shri Shukdev Muni bolte hein ki Surya,Agni,aadi isvar samarth kabhi-kabhi Dharam ka ullanghan or saahas ka kaam karte dekhe jaate hein, parantu un kaaryo se un tejsavi puruson ko koi paap nahi lagta hai, dekho agni sab kuchh khaa jaati hai, parantu un padaartho ke dos se lipt nahi hota hai, jin logo me assa saamthry nahi hai, unhe mun se asi baat nahi sochana chahiye,sarir se karna to dur raha. Yadi murakhtaa vash koi asaa kare to uska naas ho jaa

Kamdev and Raaslila

चित्र
Jab Kamdev lagbhag sabhi ke mun me vaasna ka vikaar (sexual desire) utpann karne me safal ho gye the, tab unko apne upar bahut ghamand ho gya tha  Ve Shri Krishna ke paas jaakar bole me aapse larna chaahataa hun, aapko sabhi gopiyon ke sath milkar nachna hoga, mere anukul mausam hona chaahiye. Sharad Purnima ko hi aapko gopiyon ke sang nritya karna hoga, chunki sharad purnima ko kamdev ki shakti badh jaati hai. Govind Kamdev ki sab sharte suvikaar kar lete hain, sath hi sath kamdev Prabhu se yah bhi bolte hein ki agar aap jite to me samagh jaaungaa ki app Parmatma hein tthaa me aapke ghar putr rup me ganam lunga, yehi baad me Pradumun Rukmini Devi or Shri Krishna ke putr ke rup me ganam lete hein. Croro sundar Gopiyon ke bich rahkar,Vaasna ke anukul vatavaran pakar,Kamdev duvara sexual kamna utpann karne vaale tir lagne par bhi Radha Raman ko kaam vikaar chhu bhi nahi paaya tha . Haarne ke baad kaamdev Shri Krishna ke charno me pranaam kiye the 

Vrindavan ke Gopesvar Mahadev Mandir_jaankari

चित्र
Gopesvar Mahadev Mandir ka nirman Shri Krishna ke pote Vrajnaabh karvaaye the, jahaan (Vansivat ke sammukh Yumuna tat par)  Shri Radha Krishna milkar Gopesvar Mahadev ki isthaapna kiye the. Mandir khulne ka samay Garmi ke mausam me subah five se twelve tthaa Shaam ko 4:30se9:30 tak khula rahata hai, Thand ke mausam me 5:30se12baje tak khula rahata hai or Shaam ko 4:30se9bajetak. Garmi me Aarti ka samay_subah7:30 or Shaam 7:30. Sardiyon ke mausam me Aarti ka samay_subah8:30orShaam6:30baje Aarti ki jaati he. Garbhgriha ke bahar Devi Parvati,Shri Ganesh,Nandi ji or Kaartike ki murti bani hui he. Is Mandir me sabki manokamna puri hoti hai. Mandir ke parisar me Pipal ka vriksh bhi he, yaahan Shiv ji ko naari rup me sajaaya jaata he. Yamuna jal se isnaan karvaaya jaata he.

Raas Leela me Shiv Ji ka parvesh

चित्र
Shri Krishna ki Maha- Raas lila ki madhur dhvani sunkar, Shiv ji ki samaadhi bhang ho gayi thi, unke mun me bhi maharaas lila ko dekhane ki kamna utpann ho gayi thi. Parvati ji bahut samjhati hein ki puruson ka vahaan jaana varjit he, prantu Mahadev baat nahi maante hein. Prabhu ke pram bhakt aasuri muni, Shivji,Devi Parvati,Shri Ganesh,Kartike or Nandi bhi vrindavan ki dharti par aate hein. Parvati ji,Shri Ganesh,Kartike or Nandi ji raas lila vaali jagah se kuchh dur khare ho jaate hein, lekin Asuri muni or Shivji Raas leela me parvesh karne ki kosis karte hein, parvesh duvaar par golok ki sevikaayein pahara de rahi thi, ve sab boli is lila me puruson ko parvesh karne ki anumati nahi he . Shiv ji or Aasuri muni bole ki koi upaay karke, hum dono ko Shri Radha Krishna or Gopiyon ke darshan, kripa karke karvaa dijiye, unme se kisi ak ne lalita ji ko boli ki koi do (2) purush raas lila me aana chaahata hein. Shri Lalita ji Shivji or Aasuri muni se boli ki aap logo ko raas lila me parvesh

Shri Krishna Maharaas Lila

चित्र
Jitni Gopiyan thi utne Shri Krishna prakat ho gye the. Prabhu Gopiyon ke sath naachane or gaane lage the. Aasmaan Devtaaon ke vimaano or vaahano se bhar gya tha. Suvarg ki dhudhumbhi apne aap baj gayi thi, sabhi Devgn fulon ki baarish kar rahe the. Gandharv apni apni patniyon ke sath bhagwan ke nirmal guno ko gaa rahe the. Nritya karte samay brajyuvati kabhi per aage karti or kabhi pichhe karti thi, Kabhi ak per aage or dusra pichhe hota tha, Kabhi dhire dhire paav rakhati thi, to kabhi jor se paav rakhati thi, kabhi gol gol ghum jaati thi, kabhi haato se vibhin parkar ki mudra banaati thi, Kabhi eyebro matkaati thi, jhukne,bethane,chalne or uthane ke karan unke istan hil rahe the or un sabki chunri havaa me laharaa rahi thi. Dance karte vakt sabhi ke chehare par anek bhaav aa rahe the, bich bich me ve sab muskura deti thi, kaano ke kundal baar baar hilkar gaal par aa jaate the. Kangan,Paayal or kamarbandh me lage ghungharu bahut tej aavaj kar rahe the, Lakhon gopiyan thi isiliye naach

Gopigeet part 1

चित्र

Gopigeet part 2

चित्र
He hamaare pyaare suvaami! He humaare pritam!tumhare charan, kamal se bhi adhik komal or sunder hai, jab tum gouan charaane ke liye, Braj se nikalte ho, tab yah sochakar ki tumhaare ve yugal charan kankar,tinke,kush or kaante chubh jaane se kast paate honge; humaara mun bechen ho jaata he, hume baraa dukh hota hai._11