Raas Lila Rahsya
Jab koi Jiv apni pratyek indriyon se Shri Radha Krishna ki bhakti karta he. Aankho se darshan karta he,Kaano se Bhajan ya Kathaa sunta he,tuvachaa se unke charno ko chhuta he,mukh se name jap karta he ya bhajan gaata he,Mun se chintan karta he,Haato se prabhu ko bhog arpan karta hai,pero se chalkar mandir jaata he_ is parkaar ang-ang se bhakti karne par Prabhu rom rom bas jaate hein, prtyek indriyon me prabhu nivaas karne lagte hain. Aadhyaatmik dhvani (Murli ki aavaaj) sunaai dene lagti he. Jiv ise sunkar sansar ke saare kaam, sabhi sage-sabhandhiyon or Dhaarmik kitaabo me likhi hui dhaarmik karam-kando ko ignore karne lagta he. (jis parkar Gopiyon ne kiya tha) Parivar duvara asi bhakti nahi karne dene ke karan apne Ist Dev se dur hone ke dukh ke karan un Prabhu ka dhyaan karna saral ho jaata hai. (Isi pakar Gopiyon ke parivaar vaalo ne roka tha, Prabhu virah dard ke karan unka dhyaan karne par Gopiyon ka Bhoutik sarir nast ho gya tha) dhire-dhire isthul sarir (Pancho tatvo se bana sa