संदेश

Shri Krishna duvaara Brahm Dev ka Moh mitaana

चित्र
Brahma ji jab, Bhagvaan Shri Krishna ko Gop Baalkon ke sath Bachharob charaate hua dekhe, to soche ki Gvaal baalon or Govatson ko to mene maya mugdh kar diya tha. ve sab ke sab to meri maya- mayi bistar par so rahe hein, tab ye sab kahaan se aa gye hein, jo Prabhu ke sath hein. kahin asaa to nahi he ki Shri Krishna Chandra apni Shakti se, inme chetna laakar, inko le aaye ho? Yadhapi Prabhu apne power se Bachharon or apne mitron ko la sakte the, prantu asaa karne par Brahma ji ka sandheh kya vaastav me Shri Krishna Parmaatma hein, yadi hein to mughe inki koi or Manohar- mahima mayi Lila dekhani he, iske alaava Gopiyon, Gaayein or Gop log Shri Krishna Chandra ko sadaa apne paas rakhanaa chaahate the, isiliye Radha Raman in sabhi ko Ananad pradaan karne ke liye suyam hi apharan kiye gye_ Bachharon or apne Doston ka rup dhaaran kar liye the. Jis Isthaan par Gop baalkon or Bachharon ko rakhe the, us isthaan me bhi dono ko maya mayi bed par sote hua dekhe, iske alaava Prabhu ke sath bhi dono

Brahma ji ka apne lok se praabhav

Bachharon or Gvaal baal ko yathaa isthaan isthaapit kar, Brahma ji Brahmalok me apne aavas ke sinh duvaar par pahuche the. Duvaarpalon ne pahaanane se inkaar kar diye the, kahane lage the ki mahasya aap koi bhi hon. satlok ke adhipati hamaare suvaami aap nahi ho , hamaare suvaami apne aasan par viraajmaan hein.   Devgn, Sankaadi, Devarsi Narad unke mukh se shri Krishna katha ko sun rahe hein . pata nahi, hamaare suvaami ki aakriti ka anukaran karne vale aap kon hein? Brahma ji dekhe ki inki vaani me oj,purn visvaash he,ak ajey shakti inhe privyapt kar rahi he, jabardasti parvesh karna asambhav he, atha ve bole ki me tumhaare suvaami ka darsan karna chaahata hun. jaakar dekhane par unhe apne aasan par ak chaturmukh Brahma viraajit najar aaye, jinke sarir se koti-koti Ravimandal ka tej satlok ke kan-kan ko parkasit kar raha tha  tthaa jinke mukh se Vedo ka Madhur svar me paath ho raha tha. jese hi duvaar paalon ne Brahma ji ke bare me bataaye, vese un sabko aadesh mila ki duvaar paalon m

Balram jaane Brahma ki kartute

चित्र
Jab ak vars pura hone me chha din baache the, tab ak din Shri Krishna, Balram ji ke sath Bachharon ko charaate hua van me gye the, us samay gaayein Govardhan ki choti par ghaas charte samay, jese hi apne Bachhare ko dekhi, vese hi atyant vaatslya prem me parkar, bahut-bahut tej gati se, ase raaste se hokar bhaagi thi, jo atyadhik durgam tha. apne apko,aas-paas ki vastuon or Gvaalo ko bhi bhul gayi thi. bachharon ke nikat jaakar pyar se Dudh pilaane lagi thi. us samay apne bachon ka ak-ak ang ase chaat rahi thi, mano unhe pet me rakh lengi. Gopo ko gaayon ko rokne ki kosis ki vifaltaa par kuchh laggaa or apne bachon Gop baalkon par bahut gussaa aaya tha. inhi logo ki tej aavaj sunkr hi Gaayein yahaan par aayi hein. ye to pasu he inko uchit- anuchit ka antar nahi pata, prantu in Gvaal Baal ko to maalum he. abhi jaakar in sabko sabak shikhaate hein. jese hi Gvaalo ne Gvaal baal ko dekhe, vese hi sab krodh gaayab ho gya tha. unka hridya pram ras srabor ho gya tha. v

Shri Krishna and Brahma

Shri Krishna Bachharon, Gop baalkon or Brahma ji ko aanand pradaan karne ke liye, apne-aapko hi Go-vats ttha Gvaal-baal ke rup me bana liye the. ve baalak or Bachhare jitni ginti me the utne hi Prabhu suyam ban gye the, jesa unka sarir tha,jesi unki chige thi chhariyaan, Singi, Baansuri,patte,chhike,jese v jitne aabhusan pahane hua the,jese vastra dhaaran kiye hua the,unke shil,svabhaav,gun,name,rup or avasthaayein jesi thi,jis parkar ve khaate,pite,chalte the thik vese hi utne hi rupo me Bhagavaan shri Krishna prakat ho gye the. haran karne ki ghatna se pahale, Gopiyaan or Gaayein Shri Krishna ke vaapas aane par, bahut tej gati se bhaagkar, Shri Krishna ko hiridya se laga leti thi. Gaayein apni jib se Prabhu ka sugandh ras ka paan karti thi. Gopiyaan or Gaayein, apni santaano ki upechha kar, Shri Krishna me apna sab pyar lutaati thi, prantu apharan ki ghatna ke baad se, jab Prabhu ghar vaapas aate tab Gopiyaan bhaagkar Gvaal Baal bane hua shri Krishna ko apna bachchaa samaghkar sine s

Shri Krishna Duvaara Bachharon or Mitron ko khogana

Brahma duvaara Bachharon ka apharan kiya jaata he, jinhe,Shri Krishna sabhi jagah khogate hein, prantu ve unhe nahi milte hein. Prabhu sochate hein ki, ho sakta he ki, me ak or dhundhane jaata hun, tab tak ve dusri or chale jaate ho, nahi to Bachhare mil hi jaate, atha sakhaaon ki sahaayata aavasyak he. ab dal banaakar hmlog unhe chaaro or se dhundhakar dekhein. jahaan apne doston ko chhorkar gye the, us taraf shri Krishna chalne lage the. jaakar dekhate hein ki n to koi Gvaal Baal hein n hi unse juri kisi bhi vastu ka nisaan he. Prabhu ki anupasthiti me Brahma Dev Gvaal baalkon ka bhi apharan kar lete hein. shri Krishna Chandra bolte hein mere pyare mitro_ dekho to sahi Govats ko dhundhate dhundhate me kitna thak gya hun. tum sabko dayaa nahi aati? are Vishal mere pero me dard ho raha he, aakar dabaa de. subal dekh mere sabhi ang pasine se bhar gye hein, tu aakar apni chaadar se pochh de. are pyod,chandan,kund tum sabka vinod ho raha he or mera kanth sukh raha he. bahut hi tivr pyaas

Shri Krishna ka apne Mitron Sath Bhogan Grahan Lila

चित्र
Yamuna pulin ki Shobha ki or apne sakhaaon ka dhayaan aakarsit karte hua, Shri Krishna bolte hein ki Mere pyare Mitron, Yamuna ji ka yah pulin atyant ramniye he. yahaan ki Baalu kapur ke rang ki he, jo komal or svachh he. Mitron dekho to sahi_ hmlogo ke liye khelne ke liye, bahut saari chige idhar he. ak or rang-birange bhaanti-bhaanti ke anek Ful khile hua hein, dusri or sunder-sunder pakshi bahut madhur kalrav kar rahe hein. Manbhaavan vayu bhi chal rahi he. ab hm logo ko bhogan kar lene chaahiye, kyunki din bahut chadh aaya he or hmlog bhukhe hein. Bachhare Pani pikar, paas hi dhire-dhire, hari-hari ghaas charte rahe. Bachharon ko jal pilaakar, khula chhor diya jata he. Gvaal Baal apne apne chhike ko kholte hein. Mandlaakar panktiyan banaakar ak se ak satkar bheth gye the, bich me shri Krishna beth gye the. savke mukh Shri Krishna ki taraf the. sabki aankhe aanand se khil rahi thi. Pusp,

Aghaasur ka pichhala Ganam

Aghaasur pichhale ganam me, atyadhik sundarta ke abhimaan ke karan Muni Astaavakr ji ka uphaas kiya tha. jisase unko krodh aa gya tha, unhone use saap ki yoni me jaane ka abhisaap diye the. maafi magne par_ yah vardaan mila ki Shri Krishna, jab tumhaare udar me parvesh karenge, tab tumhaara uddhaar hoga.