संदेश

Shri Krishna ki khelne ki Lila

चित्र
Shri Krishna, Balram or Gvaal-baal naye- naye palavon, Mor- pankh ke guchho , Fulon ki Malaon,or geru aadi rangin dhaatuon se apne aapko sajaa liye the. Shri Krishna jab nachana suru kiye the, tab gvaal baal apne apne baaje ko bajaate the, kuchh hateli se hi taal dete the,kuchh vaah-vaah karne lagte the, kabhi ak-dusre se adhik faand jaane ki kaamna se kudate the, kabhi-kabhi ak dusre ka baaye haat se daaye haat ko or daaye haat se baaya haat ko pakar kar gol-gol ghumkar khelte the. Kabhi kusti larte the, lukachhupi ka khel khelte the, Pasu -pakshiyon ki nakal karte the, ak dusre ke upper fal,ful fekte the,ak dusre ki bhi nakal karte the. Kabhi do baalkon ko khara karaake, unki baahon ke bal par latak jaate the. kabhi jhula jhulte the, Kabhi dor pratiyogita karte the . Kabhi rasi khichane vaala khel khelte the,jisme ak dal dusre dal ke viprit rasi khichata he.  

Pralambaasur ka pichhala Ganam

Chetrath name ke van me, Kuber ji ne, Shiv ji ki Puja karne ke liye Fulvaari ka nirmaan karvaaye the, jisme anek parkar ke sunder- sunder Pusp khile hua the. Bahut saare Yaksh uski rakhvaali karte the to bhi koi n koi us Bagiche se Kusum tor hi leta tha, isase tang aakar, Yaksh raaj kuber ji ne yah abhisaap diye the ki jo mere is Bagiche se Fulon ko torega, vah turant Danav ki yoni me chala gaayega. Huhu Gandharv ka putr Vijay ne jese hi is Pusp Vatika se Fulon ko tore vese hi Rakshs ban gye tha, maafi mangne par Balram ji duvaara uddhaar ka vardaan mila tha.

Pralambaasur ka vadh

चित्र
Ak Baar Shri Krishna apne Mitron ke sath, Hiran bankar, dor pratiyogita khel, khel rahe the, jisme do baalkon ko Hiran bankar Bhaandir name ke Vat vriksh tak dorna tha. Jo pahale pahuch jaayega vo jit jaayega. In sabke bich me Pralambaasur Gop Baal bankar khelne laga tha. Praajit Gvaal Baalko ko nischit kiye gye isthaan par, jite hua Gop baalak ko, Pith par bethaakar, le jaana tha.  Prabhu ke Group me pralambaasur saamil ho gya tha. Shri Krishna ke Group ke sab ke sab haar gye the. Us dust ne jab dekha ki me Shri Krishna ko maar nahi paaungaa, isiliye mujhe iske Dal me saamil ho jana chaahiye. Vah Rakshs nischit isthaan ko chhorkar, Aakash marg se Balram ji ko Kandhe par bethaakar le ja raha tha  Balram ji samajh gye the ki yah Danav he. Ak baar to ve dar gye the, prantu apne vaastvik rup ki yaad aate hi unka bhay chalaa gya tha,unhone uske seer par Ghunsaa mare the, jiske karan uska seer fat gya tha, khun ki ulti karne laga tha, jiski va

Dhenukasur ka pichhala Ganam

Bali ka Saahsik name ka putra, Gandhmaadan Parvat par, apna manoranjan kar raha tha. Bhanti- Bhanti ke baaje baj rahe the , Nach, Gaan ho raha tha, baad me Tilotmaa name ki Apsara ke sath Saahsik ne hast- methun kiya tha. Vahin par Achaanak Durvaasa Muni ne, jo yahaan ki Gufa me tap kar rahe the, unko is avasthaa me dekh liye the, isiliye un dono ko saraap diye the. Ve saahsik se bole ki tu gadhe ki tarah aacharan kar raha he isliye tu gdhaa ho ja, iske alava unhone Tilotmaa ko Baanasur ki Putri hone ka abhisaap diye the. maafi mangne par, saahsik ko Balram ji ke duvaara, uddhaar ka vardaan diye the or Tilotmaa ko Shri Krishna ke putra Anirudh ke sath vivah hone ka vardaan diye the.

Dhenukasur ka Uddhaar

चित्र
Ak Din Gop- Baalak Shri Krishna or Balraam ji se bole ki aap dono hmlogo ko hameshaa sukh pradaan karte hein. Aap dono ka Bal praakaram asim he, jiski koi seema nahi he. Duston ko marna to aap dono ka suvabhaav he. Hm sabko bahut tej bhuk lagi he, paas me hi suvistrit Taal van he, jinke Falon ki Manmohak sugandh yahaan tak aa rahi he. Hame un Falon ko khaane ka mn kar raha he. Balraam Bhaiya, Praan Sakha Shri Krishna us van me asuron ka parivaar Gadhe ke rup me rahate hein, jo us van me parvesh karne vaale ko khaa jaate hein, isiliye inko koi nahi Grahan kar pata he. Suvaadist Falon ki sugandh se hamaara man Lubdh ho raha he, unhe paane ko hmsab machal rahe hein, kanha or Daau Bhaiya agar aapko thik lage to, avasya, hame Fal praapt karvaao. Balram ji us van me jaakar ak Taal vriksh ko apne haaton se hilaate hein. Falon ki girne ki avaaj sunkar, Gadhe ka rup me rahane vaala Rakshs dorkar, renkta hua, Balram ji ke saamne aakar, pichhe murka

Shri Krishna Lila

Kaliya naag ko parivar sahit Ramnik Duveep me bhejne ke baad,  Shri Krishna Yamuna Nadi se jese hi bahar aaye, sabhi bari bari se unko hridya se lagaane lage the. Mosam aanand daayak ho gya tha. Jo Per- Podhe vish se jal gye the, vo prabhu ki Amritmayi dristi se thik ho gye the. Raat me sabke sab Yamuna Nadi ke kinaare hi so jaate hein. aadhi raat ko kans ke duvara bheja gya Danav, chaaro taraf apni maya se aag laga deta he. Taap se sabki nind khul jaati he. ve sabhi apne kanha se yah sochakar Praathna karte hein ki Vipati ke samay, Vishnu Bhagavaan hi isme parvesh kar jaate hein, jiske karan yah apne sath sath sabhi ke praano ki rakshaa karta he. yahi sochakar sab log Shri Krishna se bachaane ki vinti karte hein . Radha Raman ke naam maatr mukh kholne par Agni bujh jaati he. Yamuna Nadi ka jal ab amrit ke samaan ho gya tha.

Kaliya naag ka Yamuna Nadi me aane ka karan

Garur ji ki Mata Vintaa or Sarpon ki Mata Kadru me praspar ver tha, jise yaadkar ve jo bhi saap milta tha, use kha jaate the. vyaakul hokar sab naag Brahma ji ki Sharan me gye the. Unhone yah niyam banaaye the ki partyek Amaavasya ko, Sarp parivar, baari baari se Garur ji ko, ak sarp ki bali diya kare, lekin jab kaaliya naag ke parivaar ki baari aayi tab usne garur jise laraai karna suru kar diya tha. ant me haarkar kaliya naag parivar sahit upper ke sabhi loko me- niche ke sabhi loko me jahaan jaata tha, Garur ji uska pichhaa karte the. ant me, thakkar, Shes naag ji ke Sharan me gya tha, jo use bataaye the ki Yamuna Nadi ke kund me Garur ji nahi ja sakte he, kyunki Tapasvi Sobhari duvara, unko balpurvak Matsya khaane ke karan, is isthaan par bhasm hone ka abhisaap mila he. Matsya ke marne par Machhaliyon ko bahut dukh hua tha, jise dekhkar Tapasvi Sobhari ko krodh aa gya tha, unhone sharaap dekar Yamuna Nadi ke kund ka isthaan,  Garur ji ke liye agamya banaa diye the,siliye tum sapari