Shri Krishna ki Indr Dev ka Abhimaan dur karne ki Lila
Jab Indr Dev dekhe ki unki puja nahi ho rahi he tab unhone Saamvartak name ke Megh gano ko jiska bandhan, keval maha pralya kaal me kholaa jaata he. Logo sahit puri vrindhan ki dharti ko dubaane ki aagya diye the, in megh gano ka rang rang birangaa tha. Ye haathi ke samaan moti jal dhaaraao ki varsaa karne lage the. Bare-bare parvat jitne bare, croro baraf ke khando ki bhi barsaat ho rahi thi. Inki aavaaj se saato loko,pataalo sahit pura brahmaand gunj uthaa tha, disaayein apne apne isthaan par rah nahi paa rahi thi, taare tut-tut kar gir rahe the, maha prachand aandhi chal rahi thi, bhayankar muslaadhaar barsaaat ka pani tir ki tarah chubh raha tha. Baadal ke garajne or Bijali ke karakne ki bhisan aavaaj aa rahi thi, jiske karan sampuran Brahmaand kaapne laga tha. Sab log darkar Shri Krishna se bachaane ki praathnaa karne lage the . Prabhu govardhan parvat ko apni anguli se utthaakar bole ki aap sabhi apni apni chigon or pasuon ke sath iske niche aa jaaiye. Arbo surya ke samaan tejsav