संदेश

Radha Krishna first meeting

चित्र
Prithvi par, Avatar lene se pahale, Radha ji Shri Krishna se boli thi ki Dharti par avatarin hone ke baad, jab tak aap mughe nahi dekhenge,  tab tak me apni aankho ko nahi kholungi. Shri radhe ki ma Kirtida or pita Vrisbhaanu ji, apni putri radha ke netron ko nahi khulne ke karan bahut dukhi rahte the, bahut se chikitsak se treatment karvaaya gya tha. Sab ak hi baat bol rahe the, netro me to koi kami nahi hai, pata nahi aapki putri apne netron ko band kyun ki hui he? Jab Shri Krishna ka Ganam utsav manaaya ja raha tha, tab Shri Radha ji apni mata -pita ke sath is utsav me aayi thi. Shri Krishna ji Kishori ji ko dekhakar muskuraane lage the, tab Vrisbhaanu lali Kishori ji bhi apne netron ko khol di thi. Apni putri duvaara aankho ko kholne par Kirtida or Vrishbhanu ji bahut khush hua the. Radha ji ko Kishori bhi kaha jata he, chunki  suvdhaam jaane ke samay me bhi,  kishor avastha me thi.   

Varun-Lok se Nand ji ko Chhuraane ki lila

चित्र
Govardhan Utsav Pratipada ke din sampann hua tha, iske baad saat dino tak Indr Dev duvaara musaldhaar varsa kiye the  Sukl paksh ki navmi bit jaane par,  Shri Krishna ke paas Indr Dev maafi maangne aaye the , iske dusre din ekadashi thi. Nand ji ekadasi ka upvaas kiye the or agle din daadasi ko bahut savere yamuna nadi me, surj ugne se pahale nahaane chale gye the, galti se ve aasuri samay me nahaane chale gye the, isiliye Varun Dev ke sevak prabhu ke pita ko bandi bana liye the. Jab Shri Krishna ko pata chala ki Varun Dev ke daas mere pitaji ko bandi banaakar lekar gaye hein, tab Shri Krishna or Balram ji dono Bhai Varun lok gye the. Varun Dev pahale Govind ki Istuti karte hain fir apne nokar ki galti ke liye maafi maangte hein. Nandji ne vahaan par, lokpaal ke adbhut asvarya or dhan-sampati ko dekhe the sath hi sath unhone yah bhi dekha ki vahaan ke nivaasi, jhuk-jhukar, unke laadle ko pranaam kar rahe hein unhe bara aaschary hua, unhone vrindavan

Govardhan Parvat story

चित्र
Pulsty Krishi Govardhan Parvat ki sundarta par aakarsit hokar, apne sath, apni hateli me rakhkar, kaashi, le jaana chaahe to, Giriraaj ji ne sart rakhe the ki aap jis isthaan par, mughe rakhenge me usi isthaan par isthaapit ho jaaunga. Muni sart ko suvikaar kar liye the, raaste me Vrindavan ka marg aa raha tha, is parvat ne socha ki Shri Krishna bhagwan ka Avatar hone vaala he, Prabhu yahaan par bhi lila karenge, agar me yahaan rahunga, tabhi mughe Shri Krishna ka sang milega, yah vichaar karke, giriraj ji ne apne bhaar me vridhi kar liye the, jise krishi sahan nahi kar paaye, unhone vrindavan ki dharti par hi govardhan ko rakh diye the. Ve samagh gaye the ki Govardhan parvat ne jaan bhujhkar apne aapko bahut jyaada bhaari banaa liye hein, atha unhone is parvat ko, pratidin, ak muthi ghatne ka abhisaap diye the. Govardhan Parvat ka aadha bhaag UP or aadha bhaag Rajasthan me parta he. In rajyon ki seema ke bich me Durga Mata ka Mandir parta he. Yahaan se kuchh hi duri par isthit he Puch

Bhagwan Shri Krishna ka Govind name rakhna

चित्र
Suvarg se aakar  Indr Dev Shri Krishna se maafi maangnkar, unki istuti kiye the . Shri Krishna unse bole ki He Indr mene tumhara yah yagya, tum par apni kripa dikhaane or tumko yah ismaran dilaane ke liye ki me hi sabka suvaami hun, yagya nast kiya hun, jo asvarya or dhan-sampati ke abhimaan me andhaa ho jaata he, vah yah nahi dekhta he ki me kaal rupi parmesvar, haat me dand lekar, uske seer par savaar hun, tumhe yah ismaran rakhna chaahiye ki tumhara saara bhotik asvarya mugh shri krishna ke karan he. Indr tumhara mangal ho, ab tum apni raajdhaani amraavati me jaao, meri aagyaa ka paalan karo, ab kabhi Ghamand n karna. Suvarg se Surbhi name ki Gaaye bhi aayi thi, usne Prabhu ki istuti karke boli_ suvarg ke suvaami Indr dev hua kare, hamaare suvaami to keval aap hi hein. Aap Gaayon.Brahmano,Devtaaon or Santo ke kalyaan ke liye or duston ka vinaash karne ke liye prithvi par avataar lete hein isiliye me aapko apna indr banaana chaahati hun

Shri Krishna ki Indr Dev ka Abhimaan dur karne ki Lila

चित्र
Jab Indr Dev dekhe ki unki puja nahi ho rahi he tab unhone Saamvartak name ke Megh gano ko jiska bandhan, keval maha pralya kaal me kholaa jaata he. Logo sahit puri vrindhan ki dharti ko dubaane ki aagya diye the, in megh gano ka rang rang birangaa tha. Ye haathi ke samaan moti jal dhaaraao ki varsaa karne lage the. Bare-bare parvat jitne bare, croro baraf ke khando ki bhi barsaat ho rahi thi. Inki aavaaj se saato loko,pataalo sahit pura brahmaand gunj uthaa tha, disaayein apne apne isthaan par rah nahi paa rahi thi, taare tut-tut kar gir rahe the, maha prachand aandhi chal rahi thi, bhayankar muslaadhaar barsaaat ka pani tir ki tarah chubh raha tha. Baadal ke garajne or Bijali ke karakne ki bhisan aavaaj aa rahi thi, jiske karan sampuran Brahmaand kaapne laga tha. Sab log darkar Shri Krishna se bachaane ki praathnaa karne lage the . Prabhu govardhan parvat ko apni anguli se utthaakar bole ki aap sabhi apni apni chigon or pasuon ke sath iske niche aa jaaiye. Arbo surya ke samaan tejsav

Shri Krishna ki Govardhan Puja karaane ki lila

चित्र
Ak Baar ki baat he, Vrindaavan ke sabhi bare log, Indr Yagya ki teyaari kar rahe the. Shri Krishna apne Baba se puchhate hein ki Pitaji aap logo ke saamne yah kon-saa bhaari kaam,kon-saa utsav aa pahuchaa he, jiski aap log itni teyaari kar rahe hein? Iska fal kya he,kinke duvaara, kin saadhano se yah kiya jaata he, Aap mere Pita hein isiliye aapko mujhe iske visya me avasya Gyaan dena chahiye. Nand ji bole Indr Yagya ki teyaari ho rahi he, jo Brahmano duvaara, Aam ki lakri, Til, Jou, Desi ghee, Shahad, Guggul, Kapur, Long, Achhat, Naariyal,sak-kar, Safed chandan ka churaa, Asv- gandhaa, Plaas, Taalis patr, Daal chini, Makhaana, Giloy, Sisam se bani saamgri, Jaayfal, Adrak aadi ka upyog karke kiya jaata he. Indr Dev varsaa ke Devta hein, jo hamaare kheto me jal uplabdh karvaate hein, jiski sahaaytaa se kheto me kaam achhe se ho paata he, yadi varsaa nahi hogi to haamare kheto me anya nahi upjega. Shri Krishna bolte he ki Manusyon ko apne acche karmo ke kaaran sukh or bure karmo ke karan

Brahman Patniyon ka Pichhalaa Ganam

चित्र
Ak baar ki baat he, Saptkrishiyon ki Pativrataa or sunder patniyon ke ang ko, Anal Dev chhu liye the, jiske karan un saat krishiyon me saamil Angiraa ji ko krodh aa gya tha. Unhone Anal dev ko abhisaap diye the or apni Patniyon ko Manusya yoni me jaane ka sharaap diye the. Maafi mangne par apni Jivan-sanginiyon ko Shri Krishna darsan hote hi Golok dhaam praapti ka vardaan diye the iske alaava yah bole the ki un Brahmano ke paas tum sab ki chhaya-ans chali jaayengi, jo baad me hamaare paas aa jaayengi. Yagya puran karne ke liye, Brahman Patniyaan, Shri Krishna duvaara, bahut samjhaane par bhi, jaane ko teyaar nahi hui, tab Prabhu un sabki chhayaa-ans ka nirmaan karke, un Brahmano ke paas bhej diye the, taaki yagya puran ho sake or asli Brahmaniyon ko Golok dhaam bhej diye the.