संदेश

Naari ka rup banaakar Shri Krishna duvaara, Shri Radha Ji ki Pariksha_ part three

चित्र
Shri Radha Ji boli Sakhi jinki praapti ke liye_ Brahma or Shiv aadi Devta apni utkrist yogriti se kathor tap karte hain. Dattaatrya,Shuk, Kapil,Aasuri or Angiraa aadi bhi jinke Charan kamlo ko prem bhaav se ispars karte hain, unhi aganma,pripuran devta,lila-avatardhaari,sarvjan-dukh-haari,Bhutal-Bhumi-bhaar haari ttha satpuruson ke kalyan ke liye prakat hua aadi purush Shri Krishna ki tum nindaa kese kar sakti ho? Tum to bari Dhith jaan parti ho. Gvaale to sadaa gaayon ka palan karte hain,goraj ki ganga me nahaate hein,uska ispars karte hain,unke utam namo ka jap karte hain, itna hi nahi unhe din raat gaayon ke sundar mukh ka darsan hota rahta he, meri samagh me to is bhutal par gop jaati se badhkar dusri jaati nahi hai. Tum use kaala-kaluta bataati ho, kintu unki sundarta se aakarsit hokar, Mahadev dusro ke sunder mukh ko chhorkar, jatajut,halaahal-vish,Bhasm,Kapaal or saap ko dhaaran kiye, use dekhane ke liye Braj me dourte-firte hein. Saara sansaar bhakti bhaav se pranaam karke apne

Naari ka rup banaakar Shri Krishna duvara, Shri Radha Ji ke prem ki pariksha part_two

चित्र
Shri Radha Ji ko jab pata chalaa ki Gopidedi aayi hai, bhaag kar jaati hain milne ke liye, bhitar laakar, aasan dekar vidhi vidhan se puja karti hai. Shri Radha ji bolti hein_ sakhi tumhare bina me raat bhar dukhi rahi thi or tumhare aane se mughe itni prasansa hui, maano khoi hui vastu mil gayi hai, jese kupathy sevan se pahale to sukh maalum hota hai baad me dukh uthaana parta hai, isi parkar kisi priya jan ka sath milne par sukh hota bicha urne par dukh ka anubhav hota hai. Gopdevi ko chup rahte hua dekhakar, shri radhe ji puchhati hein ki tum bol kyun nahi rahi ho? tumhari udaasi ka kya karan he? mugje bataao, me vahi karungi jisme tumhe aanand mile. Mata,saas,Pati,Nanad ne fatkaara to nahi he tumhe? manohare kisi sout ke karan,pativiyog athvaa anyatr chit lag jaane se tumhara mun khin to nahi hua he, ya fir raaste ki thakaavat athvaa kisi rog ke karan dukhi ho? mughe bataao. Shri Krishna Bhakt or Brahman ko chhorkar, jis kisi ne bhi tumse kutsit

Naari ka Rup banaakar Shri Krishna duvara Shri Radha ji ke Prem ki pariksha part one

चित्र
Shri Radha ji duvaara, Tulsi ji ki sab parkar se seva karne ka karan_ Shri Krishna ko pataa chal gya tha ki mera sath paane ke liye, yah seva Shri Radha ji ki hein, atha unhone Vrishbhanu suta ki pariksha lene ki soche. Prabhu Atyant Sunder Istri ka rup banaakar, Shri Radha ji ke paas chale gye the.  Shri Radha ji boli sundri sakhi tumhara suvaagat he, shighr apna name bataao? tum suvtha yahaan aa gayi, mere liye param sobhagya ki baat he, is bhutal par tumhari jesi divya naari milna durlabh he, vo nagar bhaagyashali hoga jahaan tum nivaas karti hogi, yahaan tumhare aagman ka kya karan hai, mere yogy koi kaam ho to mujhe bataao taki me tumhari sahaayta kar saku? Tumhare sarir ki aakriti mere pritam krishna se milti he, jinhone mera man chura liya hai, tum roj mughse milne aaya karo, tum n aa sako to mughe hi apne nivaas isthan ka sanket bata do, jis vidhi se ham dono ak dusre se mil sake vo vidhi hame upyog me lana chahiye, yadi sambhav ho to tum mere nikat hamesha raha kar

Shri Radha Krishna meeting

चित्र
Ak Din Radha ji ki sakhiyaan Vishakha or Lalita, unke ghar aakar unse boli ki radhe tum jinka khud chintan karti rahti ho or apne aap gungaati ho,ve bhi pratidin Gvalbalo ke sath Barsana me aate hain. Radhe tumhe raat ke pichhale pahar me,jab ve Go chaaran ke liye nikalte hai,unka darsan karna chaahiye ve bare sunder hein. Radha ji boli pahale unka Manohar chitr banaakar, tum shighr mughe dikhaao, uske baad me unka darsan karungi_ isme sansay nahi he. Tab dono sakhiyon ne Shri Krishna Chandra ka bahut Sunder chitr banaai thi, jise dekhakar Shri Radha Ji bahut bahut khush hui thi, haat me rakhe hua photo ko nihaarti hui, aanandmagn hokar so gayi thi, unhone sapne me dekha ki yamuna ke kinare, bhaandir van me, Shyam Sunder Shri Krishna unke paas hi nach rahe hein. Bistar se uthkar Shri Krishna ka darsan karne ke liye chhatpataane lagi thi, itne me hi Shri Krishna Barsana ki patli gali me aa gye the, sakhi ne tatkaal khirki ke paas aakar, Sh

Radha Krishna Dusri baar milna

चित्र
Samhita or Brahmvevart puran me Radha Krishna ki second meeting story Ak Din Nandji, Shri Krishna ko sath lekar Bhandir Upvan me Gaayon ko charaane ke liye lekar gye the, achaanak bahut tej Aandhi-Tuffan chalne lagi thi. Musaldhaar pani barasne ke sath-sath Ole bhi gir rahe the, achanak Devi Radha prakat ho gayi thi. Nandji Istuti karke bole ki Devi Garg ji ke mukh se tumhaare baare me jaanta hun ki tum Hari ki priyatma ho. Bhadre apne is praan-nath ko grahan karo,jahaan tumhara mn ho lekar chali jaao apni manokamna puri kar lene baad mera putr mughe lota dena. JabRadha ji baar-baar Prabhu ko kiss kar rahi thi tabhi Shri Krishna kishore rup me aakar radha jise bole Radhe Golok me Devmandali ke bhitar jo ghatna ghati thi uska tumhe ismaran to he n? Priya purv kaal me mene jo kuchh suvikar kiya hai use aaj puran karunga. Sumukhi radhe tum mere liye praano se badhakar priya ho,hm dono me koi antar nahi hai, tum shiristi ki aadhar ho or me Achyut Bijrup hun. Shri Ra

Radha Krishna first meeting

चित्र
Prithvi par, Avatar lene se pahale, Radha ji Shri Krishna se boli thi ki Dharti par avatarin hone ke baad, jab tak aap mughe nahi dekhenge,  tab tak me apni aankho ko nahi kholungi. Shri radhe ki ma Kirtida or pita Vrisbhaanu ji, apni putri radha ke netron ko nahi khulne ke karan bahut dukhi rahte the, bahut se chikitsak se treatment karvaaya gya tha. Sab ak hi baat bol rahe the, netro me to koi kami nahi hai, pata nahi aapki putri apne netron ko band kyun ki hui he? Jab Shri Krishna ka Ganam utsav manaaya ja raha tha, tab Shri Radha ji apni mata -pita ke sath is utsav me aayi thi. Shri Krishna ji Kishori ji ko dekhakar muskuraane lage the, tab Vrisbhaanu lali Kishori ji bhi apne netron ko khol di thi. Apni putri duvaara aankho ko kholne par Kirtida or Vrishbhanu ji bahut khush hua the. Radha ji ko Kishori bhi kaha jata he, chunki  suvdhaam jaane ke samay me bhi,  kishor avastha me thi.   

Varun-Lok se Nand ji ko Chhuraane ki lila

चित्र
Govardhan Utsav Pratipada ke din sampann hua tha, iske baad saat dino tak Indr Dev duvaara musaldhaar varsa kiye the  Sukl paksh ki navmi bit jaane par,  Shri Krishna ke paas Indr Dev maafi maangne aaye the , iske dusre din ekadashi thi. Nand ji ekadasi ka upvaas kiye the or agle din daadasi ko bahut savere yamuna nadi me, surj ugne se pahale nahaane chale gye the, galti se ve aasuri samay me nahaane chale gye the, isiliye Varun Dev ke sevak prabhu ke pita ko bandi bana liye the. Jab Shri Krishna ko pata chala ki Varun Dev ke daas mere pitaji ko bandi banaakar lekar gaye hein, tab Shri Krishna or Balram ji dono Bhai Varun lok gye the. Varun Dev pahale Govind ki Istuti karte hain fir apne nokar ki galti ke liye maafi maangte hein. Nandji ne vahaan par, lokpaal ke adbhut asvarya or dhan-sampati ko dekhe the sath hi sath unhone yah bhi dekha ki vahaan ke nivaasi, jhuk-jhukar, unke laadle ko pranaam kar rahe hein unhe bara aaschary hua, unhone vrindavan