संदेश

Shri Krishna Raas leela part 3

चित्र
Gopiyaan boli_ Pyare Shri Krishna, tum ghat-ghat vyaapi ho,hamaare hridy ki baat jaante ho, tumhe is parkaar nishthurta se bhare vachan nahi kahanaa chaahiye, hum sab kuchh chhorkar tumhare charno se prem karti hai, isme sandheh nahi he ki tum suvatantr ho,hathile ho,tumpar hamaara koi vash nahi he, phir bhi tum apni or se,jese aadi purus Narayan kripa karke apne mumukshu bhakto se prem karte hain,vese hi tum hume suvikaar kar lo, hamaara tyaag mat karo. Pyare shyam sunder tum sabhi dharmo ka rahasya jaante ho, tumhara yah kahana ki Pati,Putr or Bhai-Bhandhuon ki seva karna istriyon ka pram dharam he_ yah akshrasha thik he, prantu tumhare is updesh ke anusaar, hum sabko tumhari hi seva karni chahiye, kyunki sab updesho ke charam lakshy ho,sakshaat bhagwan ho,sabka pramkalyaan chaahate ho,sabki aatma ho. Aatmgyaan me nipun Mahapurush tumse hi prem karte hain, anity or dukhad pati se kya prayogan (matlab) parmesvar isliye prasan ho o kripa karo, kamalnayan chirkaal se tumhare prati paali

Shri Krishna Raas lila part 2

चित्र
Shri Krishna apne paas aayi hui Gopiyon se bole Mahavhagyavati gopiyon, tumhara suvaagat he, kaho tumhe prasan karne ke liye kya karu? Vraj me sab Kushal-Mangal he n? is samay yahaan aane ki kya aavsykta par gayi? Sundari Gopiyon,raat ka samay he, yah suyam me bara bhayavna hota hai, isme bare bare bhayankar jiv bhi idhar-udhar ghumte hein, atha tum sab lout jaao, raat ke samay ghor jangal me istriyon ko nahi aana chahiye, tumkogo ko n pakar tumhare parivaar ke log chinta karte honge, unhe bhay me mat daalo, tumlogo ne rang-birange puspon se lade hua van ki shobha ko dekh li ho, purn chandrma ki komal rasmiyon se yah ranga hua,mano unhone apne haato se chitrkaari kar li ho or yamuna jal ka ispars karke bahane vaale shital samir ki mand gati se hilte hua vrikshon ke patte to van ki shobha or badhaa rahe hein, prantu ab to tumlogo ne sab kuchh dekh liya,lout jaao, patni dharm,mata dharm, bahu dharm ka palan karo, dekho tumhare ghar ke nanhe-nanhe bachche or Gayon ke Bachhare ro-rambha ra

Shri Krishna Raas lila part 1

चित्र
Sarad Kritu thi, uske karan Bela,Chameli aadi sugandhit ful mahak rahe the. Raas lila ki dharti par sabhi parkar ki divya chigon or vaatavaran ka nirmaan ho gya tha, jo golok me hota he. Shri Krishna chir haran ke samay, jin raatriyon ka sanket kiye the, un raatriyon ka samay aa gya tha. Shri Krishna us raat ko  brahma ji ki croro raat ke samaan bana diye the. Vrindavan ki dharti par prabhu ki shakti ke karan, do parkar ka samay chakr chal raha tha, ak vrindavan ke logo ke bich maanviya raat ka samay, dusra bhagvan duvaara apni yogmaya ki sahayata se raat ko croro brahma ki raat ke saman raat banana. Shri krishna gopiyon ki chaahat puri karne ke liye man suvikaar kiye the. Bhagvaan ke sankalp hote hi Chandra dev ne purb disa ke mukhmandal par, apne shital kiran rupi karkamlo se laalima ki roli-kesar mal di thi, purnima ki raat thi, chandra dev ka mandal lakshmi ji ke samaan maalum ho raha tha. Shitalta or Amrit ki barsaat kar rahe the. Koyal,Saraas, kabutar,Mor aadi pakshi jamin par or

Shri Krishna duvaara Shri Radha ji ki pariksha ke baad milan

चित्र
Shri Krishna duvaara li gayi pariksha me safal hone ke baad, Shri Radha or Shri Krishna lagbhag pratidin milte the . Shri Radha ji apni chhaaya ko Vrishbhanu ji ke ghar me rakh di thi, suyam Shri Krishna ke sath samay bitaati thi. Ak din kisi ki baraat Barsana aayi thi jisme saamil log Shri Radha ji ke mahal me ruke the , sabko mehndi lag rahi thi. Shri Radhe ji ko mehndi lagaane, Shri Krishna aa gye the. Sakhiyaan boli Shyam Sundar tumhe mehndi lagaana aata bhi he, jo hamaari priy sakhi ki mehndi lagaaoge? Shri Radha ji boli me to apne kanha se hi mehndi lagvaaungi  Prabhu shri Raasesvari ko bahut sunder mehndi lagaate hein 

Naari ka rup banaakar Shri Krishna duvaara, Shri Radha Ji ki Pariksha_ part three

चित्र
Shri Radha Ji boli Sakhi jinki praapti ke liye_ Brahma or Shiv aadi Devta apni utkrist yogriti se kathor tap karte hain. Dattaatrya,Shuk, Kapil,Aasuri or Angiraa aadi bhi jinke Charan kamlo ko prem bhaav se ispars karte hain, unhi aganma,pripuran devta,lila-avatardhaari,sarvjan-dukh-haari,Bhutal-Bhumi-bhaar haari ttha satpuruson ke kalyan ke liye prakat hua aadi purush Shri Krishna ki tum nindaa kese kar sakti ho? Tum to bari Dhith jaan parti ho. Gvaale to sadaa gaayon ka palan karte hain,goraj ki ganga me nahaate hein,uska ispars karte hain,unke utam namo ka jap karte hain, itna hi nahi unhe din raat gaayon ke sundar mukh ka darsan hota rahta he, meri samagh me to is bhutal par gop jaati se badhkar dusri jaati nahi hai. Tum use kaala-kaluta bataati ho, kintu unki sundarta se aakarsit hokar, Mahadev dusro ke sunder mukh ko chhorkar, jatajut,halaahal-vish,Bhasm,Kapaal or saap ko dhaaran kiye, use dekhane ke liye Braj me dourte-firte hein. Saara sansaar bhakti bhaav se pranaam karke apne

Naari ka rup banaakar Shri Krishna duvara, Shri Radha Ji ke prem ki pariksha part_two

चित्र
Shri Radha Ji ko jab pata chalaa ki Gopidedi aayi hai, bhaag kar jaati hain milne ke liye, bhitar laakar, aasan dekar vidhi vidhan se puja karti hai. Shri Radha ji bolti hein_ sakhi tumhare bina me raat bhar dukhi rahi thi or tumhare aane se mughe itni prasansa hui, maano khoi hui vastu mil gayi hai, jese kupathy sevan se pahale to sukh maalum hota hai baad me dukh uthaana parta hai, isi parkar kisi priya jan ka sath milne par sukh hota bicha urne par dukh ka anubhav hota hai. Gopdevi ko chup rahte hua dekhakar, shri radhe ji puchhati hein ki tum bol kyun nahi rahi ho? tumhari udaasi ka kya karan he? mugje bataao, me vahi karungi jisme tumhe aanand mile. Mata,saas,Pati,Nanad ne fatkaara to nahi he tumhe? manohare kisi sout ke karan,pativiyog athvaa anyatr chit lag jaane se tumhara mun khin to nahi hua he, ya fir raaste ki thakaavat athvaa kisi rog ke karan dukhi ho? mughe bataao. Shri Krishna Bhakt or Brahman ko chhorkar, jis kisi ne bhi tumse kutsit

Naari ka Rup banaakar Shri Krishna duvara Shri Radha ji ke Prem ki pariksha part one

चित्र
Shri Radha ji duvaara, Tulsi ji ki sab parkar se seva karne ka karan_ Shri Krishna ko pataa chal gya tha ki mera sath paane ke liye, yah seva Shri Radha ji ki hein, atha unhone Vrishbhanu suta ki pariksha lene ki soche. Prabhu Atyant Sunder Istri ka rup banaakar, Shri Radha ji ke paas chale gye the.  Shri Radha ji boli sundri sakhi tumhara suvaagat he, shighr apna name bataao? tum suvtha yahaan aa gayi, mere liye param sobhagya ki baat he, is bhutal par tumhari jesi divya naari milna durlabh he, vo nagar bhaagyashali hoga jahaan tum nivaas karti hogi, yahaan tumhare aagman ka kya karan hai, mere yogy koi kaam ho to mujhe bataao taki me tumhari sahaayta kar saku? Tumhare sarir ki aakriti mere pritam krishna se milti he, jinhone mera man chura liya hai, tum roj mughse milne aaya karo, tum n aa sako to mughe hi apne nivaas isthan ka sanket bata do, jis vidhi se ham dono ak dusre se mil sake vo vidhi hame upyog me lana chahiye, yadi sambhav ho to tum mere nikat hamesha raha kar