संदेश

Shri Krishna ka prakat hokar gopiyon ko saantvana dena

चित्र
Shri Krishna, achaanak Gopiyon ke bich prakat ho gye the. Apne pritam ka sath fir se pakar, ve sab bahut khush hui thi, ak gopi shri krishna ka haat, apne ak haat se pakar kar, dusre haat se use sahalaati thi Dusri Gopi Prabhu ke baalon se khelti he, Tisri unke charno ko apne istan par rakh leti hein, Chhouthi Shri Krishna ke khaaye hua paan ko apne haat me le leti hai, Paanchavi krodh se apne pyare Madhav ki taraf dekhane lagi thi, chhati rupras ka paan kar rahi thi, saatvi Prabhu ke gaal ko chhuti he, aathavi Charno ko sahalaati he. Iske baad Bhagvan Shri Krishna Brajsundariyon ke sath yamuna nadi me ghuse. Shri Krishna Gopiyon par paani daal rahe the or gopiyaan shri krishna par paani daal rahi thi. Vibhin parkar ke fulon ki surbhi lekar bari hi shital or sugandhit mand-mand vaayu chal rahi thi or uski mahak se matvaale hokar bhoure idhar-udhar mandra rahe the. Sharad Purnima ki Chandni niraali hi chhataa dikhaa rahi thi, iske karan raat me hi chaaro taraf prakash hi prakash tha, ve

Shri Krishna virah me, Gopiyon duvara, unko dhundhana

चित्र
Gopiyon ko Shri Krishna ke Charan kamal chinha dikhaai dene ke sath sath, kisi Brajyuvati ke bhi charan chinha dristi me aa gaye the. ve paraspar boli ki jese, Hathini apne pritam Gajraaj ke sath gayi ho,  vese hi Nandnandan Shyam Sundar ke sath kandhe par haat rakhakar, chalne vaali, kis Barbhaaagini ke ye charan chinha he? avasya hi sarvsaktimaan bhagwan ki yah Araadhika hogi, isiliye is par prasan hokar, hume chhor diya, ise akaant me lekar gye hein, hum sabke pyare jis raj ko apne charno se chhu dete hein, us raj ko paane ke liye bare-bare Devta lalaayit hote hai, akant me humare Shri Krishna ko le jaakar, akele hi adhar-sudha ras ko pi rahi hogi , is gopi ke charan chinh humare hridy me kshobh utpan kar rahe hein. Yahaan us gopi ke per dikhaai nahi dete hain,maalum hota hai, yahaan pyare ne, dekha hoga meri presi ke sukumaar charno me ghaas ki nok garti hogi, is karan unhone use apne kandhe par chadhaa liye honge . Yahaan dekho pyare shri krishna ke charan chinha adhik gahare baal

Shri Krishnamy hokar gopiyon ke duvaara krishna lila ka anusaran karna

Gopiyaan Shri Krishnamy hokar prabhu ki Lila ka anusaran karti hai, ab tak jinke jinke sath prabhu  lila kiye hai, un sabka bhi anusaran kar rahi thi, koi gopi putna bani thi, to koi baal Krishna bankar dudh pi rahi thi,koi apni chunari uthaakar Govardhan parvat uthaane vaali lila kar rahi thi. Ak gopi kaaliya naag bani dusri gopi shri krishna bankar nach rahi thi. Ak gopi yasoda bankar fulon ki bari mala banaakar, shri krishna bani hui dusri gopi ko, is mala se baandh rahi thi, dusri gopi mukh dhakkar,darkar rone ka anusaran karne lagi thi. Gopiyan Shri Krishna ki tarah hi bolne,chalne lagi thi, Prabhu ki tarah hi chehare par bhaavna laati thi, shri krishna ki partyek lila ki vahi bhaav-,mudraa karne lagi thi jese prabhu karte the. Gaayon ko charaane ka kaam karne lagi thi, koi gopi gopbalak bani, koi gopi gaay bani or jis parkar shri krishna gayon ko baasuri bajaakar bulaate the usi parkar ak gopi murli bajaane ka natak karte hua, gaayon ko bulaane vaali Shri Krishna lila ka anusaran

Shri Krishna duvaara Gopiyon ka abhimaan dur karna

Shri Krishna jab Gopiyon ke sath nach rahe the, tab un sabko ghamand ho gya tha ki, suyam Parmaatma humaare sath vibhin parkar ki mudraa banaakar nritya kar rahe hai, un sabhi ka abhimaan dur karne ke liye Prabhu vahaan se antardhyaan ho gaye the. Gopiyan paaglo ki tarah apne Kanhaiya ko idhar- udhar dhundh rahi thi. Gopiyan puchhati hein ki he Pipal,Paakar,Bargad kya tumlogo ne Shyam Sunder ko dekha he, jinhone apni prembhari madhur muskaan or chitvan se humaare mun ko churaa liye hein? Kurbak,Ashok,Naagkesar,Champa kya tum sabne Balram ji ke chhote bhai ko dekho ho? iske baad gopiyan tulsi ji se savaal karti hai? Bahan Tulsi tumhara hridya bahut komal he, tum Shri Krishna se prem karti ho- Prabhu bhi tumse atyant prem karte hain, tabhi to tumhari maala bhouron ke mandaraane par bhi nahi utaarte hein, tum to mangal mayi ho, kalyan daayini ho,apne pram pritam ki saari baate jaanti ho, kya tum hume bataa sakti ho kya? Shri Krishna kidhar gye hein pyari? Maalti,Malike,Jaati,Juhi  tum sab

Shri Krishna ki Dipavali Manaane ki lila

चित्र
Shri Radha ji Puja karne ke baad, apni Sakhiyon ke sath, Dipakon ko jalaane ke liye chhat par aati hein. Dipak prajvalit karte samay, baar baar, pichhe murk,ar dekhakar, sochati hein ki mere pritam Shri Krishna abhi tak nahi aaye. Saare diye jalne ke baad, Radha ji ki ak dost chhat par aayi thi, vah bataai ki Radhe tumhaari maiya, Gokul me jaane ki aagya de di he. Shri Radha ji Shri Krishna se milne ke liye tarap rahi thi, jese hi unhone suna ki meri ma Gokul me jaane ki aagya de di hein, ve bahut bahut prasann hui thi. Shri Krishna apne mitro Madhumangal or Subal ke sath milkar Dipakon ko jalaa rahe the. Yasoda ji baar baar apne laal ko aakar dekhati thi, iska pahala karan tha, Prabhu aaj itne sundar lag rahe the ki bare bare kavi,lekhak bhi nahi bataa sakte hein, dusra karan yasoda ji ko dar lag raha tha ki mere kanha ka haath n jal jaaye, isiliye apne laal se bolti hein ki mere laal, bahu

Shri Krishna Raas leela part 4

चित्र
Gopiyon ki Prathana sunkar, Shri Krishna ko un sab par daya aa gayi thi, tab Prabhu Gopiyon ki sankhya ke anusaar apne aapko Shri Krishna rup me prakat kar liye the, ab jitni gopiyan- utne Shri Krishna, iske baad  raas leela karna suru kar diye the. Shri Krishna Gopiyon ko kabhi gale lagaate the, to kabhi unke haat dabaate the, to kabhi haat felaakar Gopiyon ko aanandit karte the . Gopiyon ki choti,jaangh,kamar or istan ko prabhu chhu rahe the, kabhi naakhun chubhaate the, bich bich me asi baat bol dete the ki taaki Gopiyon ka manoranjan ho, kabhi pyar bhari dristi se unki taraf dekhane lagte the, bich bich me Gopiyan Shri Krishna ke Guno or Lilaon ka gaan karti thi,to kabhi Shyam Sunder unke prem or soundrya ke geet gungunaate the, iske baad Prabhu unsabke sath yamuna nadi me utre the. Yamuna Nadi me Shri Krishna Gopiyon par jal daal rahe the or ve sabki sab Radha Raman par jal daal rahi thi.

Shri Krishna Raas leela part 3

चित्र
Gopiyaan boli_ Pyare Shri Krishna, tum ghat-ghat vyaapi ho,hamaare hridy ki baat jaante ho, tumhe is parkaar nishthurta se bhare vachan nahi kahanaa chaahiye, hum sab kuchh chhorkar tumhare charno se prem karti hai, isme sandheh nahi he ki tum suvatantr ho,hathile ho,tumpar hamaara koi vash nahi he, phir bhi tum apni or se,jese aadi purus Narayan kripa karke apne mumukshu bhakto se prem karte hain,vese hi tum hume suvikaar kar lo, hamaara tyaag mat karo. Pyare shyam sunder tum sabhi dharmo ka rahasya jaante ho, tumhara yah kahana ki Pati,Putr or Bhai-Bhandhuon ki seva karna istriyon ka pram dharam he_ yah akshrasha thik he, prantu tumhare is updesh ke anusaar, hum sabko tumhari hi seva karni chahiye, kyunki sab updesho ke charam lakshy ho,sakshaat bhagwan ho,sabka pramkalyaan chaahate ho,sabki aatma ho. Aatmgyaan me nipun Mahapurush tumse hi prem karte hain, anity or dukhad pati se kya prayogan (matlab) parmesvar isliye prasan ho o kripa karo, kamalnayan chirkaal se tumhare prati paali