संदेश

Shri Krishna ki Mathura jaane ki story

चित्र
Jab Gopiyon ko pata chala ki humare kanha mathura jaa rahe hein, tab ve sab itni dukhi hui- itni dukhi hui ki garam saanse chalne lagi thi, cheharaa kumhalaa gya tha . Chunri ke khisakne,kangan ke girne or jure ya choti ke khulne ka bhi gopiyon ko pata nahi chala tha, apne sath- sath saare sansaar ko bhulkar, prabhu ke baare me hi, keval soch rahi thi . Shri Krishna ka prem,unki muskaan,dil ko chhune vaali pyaari- pyaari baate,prabhu ke duvara unke sath hansi- majaak karna,latkili chaal,bhaav-bhangi,chitvan,udaarta or saahas se bhari lilaon ka chintan karne lagi thi. Gopiyan kahane lagi thi ki dhany ho vidhaata_ tum sab kuchh vidhaan to karte ho lekin tumme dayaa bilkul bhi nahi hai, pahale to tum jagat ke jivon ko souhaard or prem se paraspar mila dete ho,ak dusre ke sath jor deto ho,unhe aapas me ak kar dete ho,unki aasha-abhilaasha  puri bhi nahi ho paati,ve tript bhi nahi ho pate hein, tum unhe alag kar dete ho

Akrur or Bhagvan Shri Krishna Katha

Shri Krishna akrur ji se bolte hai ki chacha ji aapka hridya bara sudh he, yaatra me aapko koi kast to nahi hua? suvagat he, Me aapki mangal kaamna karta hun. Mathura me rahane vale humare parivar ke log or vahaan ki praja kushal or suvasth he n? Humare name matr ke mama, humare kul ke liye bhayankar vyaadhi hi hai, jab tak uski badhotari ho rahi hai tab tak apne vans ke logo or unke baal bachho ka kushal mangal kya puchhe? mere hi karan mere nirdosh or sadachari mata pita ko anek parkar ki yaatna bhogni padi,mere hi karan unko hathkari beri se jakarkar jail me daal diya gya tha, unki santaano ki nirmam hatya kar di gayi thi, me bahut dino se chaahata tha ki aaplog me se kisi n kisi ka darshan ho, bare sobhaagy ki baat hai meri vah abhilasha puri ho gayi he,somy- suvabhaav chacha ji kripa karke aap yah bataiye ki aapka aagman kis nimit se hua hai? Akrur ji bole kans ne to sabhi yaduvanshi se ghor ver thaan rakha he, vah vasudev ko bhi maarne ki kosis kar chuka hai. Narad Ji usko apke o

Akrur and Shri Krishna Story

चित्र
Kans ne Shri Krishna or Balram ji ko dhanush puja ke liye aamantrit kiya tha. Vah in dono bhaiyon ko laane ke liye akrur ji ko bheja tha, akrur ji raat bhar Prabhu ke hi sapne dekhte rahe the, savera hote hi teyar hokar, param-bhaagyvaan akrur ji_ braj ki yaatra par nikal pare the, raaste me ve Shri Krishna ke baare me hi soch rahe the. Kamalnayan bhagvan ki param prem mayi bhakt se pripuran hokar chintan karne lage the, ki mene asa kon sa puny kiya tha,asi kon si sharesth tapasya ki hai athvaa kisi satpaatr ko daan diya hun jiske falsuvarup aaj me bhagvan Shri Krishna ke darshan karungaa . Me baraa paapi hun,visya bhogo me raha karta hun, ase me kya prabhu mughe apna mukhkamal dikhaayenge? bare bare saatvik purush bhi jinke guno ka gaan karte rahte hain, darshan nahi kar paate hain, un bhagvan ke darshan mere liye atyant durlabh h,thik vese hi, jese shudr kul ke baalak ke liye vedo ka kirtan sunana, parantu nahi,mugh adham ko bhi govind ke darshan a

keshi daanav ko is yoni me aane ka karan

Ak baar ki baat hai vritraa-asur ka vadh karne ke baad_ brahm hatyaa ki shanti ke liye, indr dev ne asavmegh yagya karne ke baare me soche the, usme saamil ghora safed rang ka tha, jiske dono kaan shyam rang ke the . Indr ka anuchar kumud, jo devraaj ka anuchar tha, unpar chhatr lagaaya karta tha, uske mun me ghora par, chadhne ki kaamna utpann hui_ atha usne ghore ko churaakar, atal lok me chalaa gya tha. Indr Dev ke sevko ne use pakar kar, suvarg ke suvaami ke paas lekar gye the, jinhone use ghore ki raakshs yoni me jaana ja shaap diye the, maafi maangne par shri krishna ke duvaara mukti paane ka vardaan mila tha  

Keshi name ke Asur ki Mukti

चित्र
Shri Shukdev ji kahate hai ki Parikshit kans ne jis samay_ keshi deitya ko braj me bhejaa tha, vah bare bhaari ghoure ke rup me, mun ke samaan veg se dourtaa hua, brajpur me aaya tha. Vah apni taapo se dharti khodataa hua aa raha tha, uski gardan ke chhitraaye hua balo ke ghatke se aakash ke baadal titar bitar ho rahe the . Uski bhayaanak hinhinaahat se sab dar rahe the, uska sarir atyant vishal tha, bari moti gardan thi, uske chalne par dharti kaapne lagti thi, vah Shri Krishna ko maarne hi aaya tha. Jab Bhagvan dekhe ki iski hinhinaahat se unke aashrit rahane vaala gokul bhaybhit ho raha hai or vah larne ke liye unhi ko khoj raha hai, tab ve aage, badhkar, uske saamne aa gye the or unhone sinha ke samaan garajkar, use lalkaarne lage the  Bhagvan ko saamne aaya dekhkar, vah or bhi chidh gya tha tthaa unki taraf is parkar mukh felaakar bhaaga maano_ gagan pi jaayega. Parikshit keshi ka veg bara prachand tha, uspar vijay paana to kathin tha hi,use pakarna bhi sar

Arista-asur ka pichhala Ganam

Ak baar ki baat hai_ Dev- Guru Vrihaspati ke paas, unka shisya_ vartantu- brahman padhane ke liye aaye the, parantu apne guru ke saampne_ vah per felaakar beth gya tha, jiske karan devguru ko krodh aa gya tha, unhone use sharaap diye ki murkh,tu mere aage bel ki tarah bethaa he, isase mugh guru ka apmaan hua hai, durbhudhe isliye tu bel ho ja. maafi maangne par_ Shri Krishna ke haatho, uddhaar hone ka vardaan mila tha . Prabhu ke haath se markar_ vah apne pahale vaale brahman ke rup me aakar, govind ki istuti karke, apne lok chalaa gya tha.

Arishtaasur ka uddhaar

चित्र
Shri Shukdev ji Parikshit ji se kahate hai ki jis samay Shri Krishna braj me pravesh kiye the or vahaan aanand utsav manaaya ja raha tha, usi samay ak rakshs bel ka rup dharan karke, aaya tha.  Uska sarir bahut bahut vishal tha, vah apne pero ko itne jor se patak raha tha ki usase dharti kaap rahi thi. Vah bare jor se garaj raha tha or pero se dhul uchhaalta jaata tha, punchh khari kiye hua tha or singo se divaar or kheto ki mend ko tortaa jaata tha, bich- bich me mutataa or gobar bhi chhorta jaata tha. Aankhe faarkar, idhar udhar dekhakar dor raha tha, uske jor se hakarne se_ nisthur garjanaa ke dar se_ istriyon or gaayon ke tin chaar mahine ke garbh istravit ho jaate the or paanch chha mahine ke gir jaate the. Uska atyant vishal sarir baadal ko chhu raha tha, ise dekhkar sabke sab bhaybhit ho gye the, jaanvar dar ke karan apna isthaan chhorkar bhaag gye the, us samay sabhi brajvaasi shri krishna- shri krishna hume is bhay se bachaao_ pukaar rahe the, yah bolkar sabhi log prabhu ki sh