संदेश

Akrur ji ko Bhagvan Shri Krishna ke Divya rup ka Darshan

चित्र
Akrur ji ko Shri Krishna ki bahut chinta ho rahi thi, kyunki kans ne prabhu ko maarne ki yojna bana rakha tha, yadhpi ve jaante the ki Shri Krishna bhagvan he lekin unka prabhu ke sath chacha batija ka rista tha, ve is sambandh ke karan, utpan hua prabhu ke prati anuraag le karan, unka bhagvan hone ki baat bhul jaate the. Unke isi chinta ko mitane ke liye hi Bhagvan Shri Krishna unko Divya rup ka darshan karvaaye the. Prabhu asi lilayein karte hein ki kaliyugi manusya ka bhi man isme lage. Bhagvan Shri Krishna ka charitra or unki mun lubhavani lilayein madhurta ka mahasagar he jisko sunane,sunaane or padhane par bahut khushi milti he. Jab pratyaksh prabhu apni lilaon duvara sabko aanandit karne ke liye avatar lete hai tab unka anant sondary,madhurya,vibhutiyon or lilaon par sabki budhi mohit or mun prasann hua bina nahi rah pata hai. Shri Shukdev ji bolte hein ki idhar bhagvan shri krishna,balram or akrur ji ke sath vayu ke saman veg vaale rath par, savaar hokar, paapnaasini yamuna ji

Shri Krishna ka Shri Radha jise mathura jaane se pahale milna

Jese hi Radha ji ko pata chala, unke praanpyare mathura ja rahe hai vese hi vo behosh ho gayi thi. Shri Krishna, Radha jise milne, unke ghar gye the. Prabhu ke chhune se radha ji ko hos aa gya tha. Shri Krishna unse puchhate he ki tum itni udaas kyun ho? is prkar shok n karo, athva meri mathura jaane ki baat jaankar, tumhe mujhse dur hone ka dar sata raha he? Mene jis kaam ko karne ke liye prithvi par avatar liya he, us kaam ko karke, me vaapas aa jaaunga, tumhari kaamna purn karunga. Praannath tum avasya prithvi ka bhaar utaarne ke liye mathura jaao, parantu meri nischit pratigya ko sun lo, tumhare yahaan se chale jaane par, me sarir ko kadapi dharan nahi karungi, agar tum meri pratigya ya shapath par dhyan nahi dete ho to dusri baar, punha apne jaane ki baat bolkar dekh lo, me turant katha shes ho jaaungi. Mere praan adharo ki raah se nikalne ko atyant vyaakul he, ye kapur ki dhuli kano ki bhaanti shighr ur jaayenge. Shri Krishna bolte he ki priye raadhike me apni vedsvrupaa apni vaa

Shri krishna and Yashoda Ji

Puri Raat Nand ji yashoda ji ko samjhaate rahe the, parantu apne laal ko mathura bhejne ke liye teyaar nahi thi. Ve nand jise bol rahi thi ki_ krishna ka hum dono milkar paalan- poshan kiye hein, kya Krishna par hum dono ka   thoraa sa bhi adhikaar nahi he? jo use mathura jaane se rok paaye. Nand ji bolte hein ki use bhejna meri vivasta he. Krishna ko ganam dene vaali maa ne humse apne pati ki jaan bachaane ke liye, apne putr ko maangi he ki_ mere putro ko mughe lota do- mere putro ko mughe lota do, me apne putro ki aap dono se bhik maangati hun, isiliye krishna or balram ko jaana hi padega. Shri yashoda ji bolti hein ki aap nahi jaante hein ki apne laal se kuchh samay ke liye dur hone par meri kya dasaa ho jaati he, ab to mera kanha mathura ja raha hai, n jane usase mera milna kab ho paayega? aap nahi jaante or samaghte hai ki mughse kya tyaag karne ke liye bol rahe hein. Nand ji bolte hein me sab jaanta or samaghtaa hun, parantu kya karu me vivas hun- me  vivash hun, bolkar fut futka

Shri Yashoda or Nand ji ko Shri Krishna ka sach pata chalna

Shri Krishna or Balram ji sath milkar nand ji ko bataate hein ki chacha akrur aaye hein. Nand ji akrur ji ko bistar par bethaate hein, khaane ki vastu dete hein, kushal mangal puchhate hein, fir prasn karte hain ki yahaan kyun aaye hein? Akrur ji bolte hein ki Maharaj kans ne dhanush yagya dekhane ke liye shri krishna or balram ko aamantrit kiye hein, iske alava unhone aapke putro ke virta ke baare me sunkar, inke saahas or nidarta ko dekhna chaahate hein. Nand ji bolte hein ki ye dono to abhi baalak hein, dhanus yagya dekhne par inko koi laabh nahi hoge ttha chhoti si umar me saahas or virta dikhaane ke liye me bejhunga nahi. Akrur ji bote hein ki maharaj kans ki aagya to aapko maanani hi padegi nahi to unke senik dono ko jabardasti mathura lekar jaayenge, mere anumaan se unke senik aas paas chhupkar humaari baat sun rahe honge. Nand ji bolte hein ki koi Mata- Pita se bina puchhe unki santaano ko le jaata hai kya? Akrur ji bolte hein ki majaraj kans ne shri krishna ke mata- pita se pu

Shri Yashoda or Nand ji ko Shri Krishna ka sach pata chalna

Shri Krishna or Balram ji sath milkar nand ji ko bataate hein ki chacha akrur aaye hein. Nand ji akrur ji ko bistar par bethaate hein, khaane ki vastu dete hein, kushal mangal puchhate hein, fir prasn karte hain ki yahaan kyun aaye hein? Akrur ji bolte hein ki Maharaj kans ne dhanush yagya dekhane ke liye shri krishna or balram ko aamantrit kiye hein, iske alava unhone aapke putro ke virta ke baare me sunkar, inke saahas or nidarta ko dekhna chaahate hein. Nand ji bolte hein ki ye dono to abhi baalak hein, dhanus yagya dekhne par inko koi laabh nahi hoge ttha chhoti si umar me saahas or virta dikhaane ke liye me bejhunga nahi. Akrur ji bote hein ki maharaj kans ki aagya to aapko maanani hi padegi nahi to unke senik dono ko jabardasti mathura lekar jaayenge, mere anumaan se unke senik aas paas chhupkar humaari baat sun rahe honge. Nand ji bolte hein ki koi Mata- Pita se bina puchhe unki santaano ko le jaata hai kya? Akrur ji bolte hein ki majaraj kans ne shri krishna ke mata- pita se pu

Shri Krishna ki Mathura jaane ki story

चित्र
Jab Gopiyon ko pata chala ki humare kanha mathura jaa rahe hein, tab ve sab itni dukhi hui- itni dukhi hui ki garam saanse chalne lagi thi, cheharaa kumhalaa gya tha . Chunri ke khisakne,kangan ke girne or jure ya choti ke khulne ka bhi gopiyon ko pata nahi chala tha, apne sath- sath saare sansaar ko bhulkar, prabhu ke baare me hi, keval soch rahi thi . Shri Krishna ka prem,unki muskaan,dil ko chhune vaali pyaari- pyaari baate,prabhu ke duvara unke sath hansi- majaak karna,latkili chaal,bhaav-bhangi,chitvan,udaarta or saahas se bhari lilaon ka chintan karne lagi thi. Gopiyan kahane lagi thi ki dhany ho vidhaata_ tum sab kuchh vidhaan to karte ho lekin tumme dayaa bilkul bhi nahi hai, pahale to tum jagat ke jivon ko souhaard or prem se paraspar mila dete ho,ak dusre ke sath jor deto ho,unhe aapas me ak kar dete ho,unki aasha-abhilaasha  puri bhi nahi ho paati,ve tript bhi nahi ho pate hein, tum unhe alag kar dete ho

Akrur or Bhagvan Shri Krishna Katha

Shri Krishna akrur ji se bolte hai ki chacha ji aapka hridya bara sudh he, yaatra me aapko koi kast to nahi hua? suvagat he, Me aapki mangal kaamna karta hun. Mathura me rahane vale humare parivar ke log or vahaan ki praja kushal or suvasth he n? Humare name matr ke mama, humare kul ke liye bhayankar vyaadhi hi hai, jab tak uski badhotari ho rahi hai tab tak apne vans ke logo or unke baal bachho ka kushal mangal kya puchhe? mere hi karan mere nirdosh or sadachari mata pita ko anek parkar ki yaatna bhogni padi,mere hi karan unko hathkari beri se jakarkar jail me daal diya gya tha, unki santaano ki nirmam hatya kar di gayi thi, me bahut dino se chaahata tha ki aaplog me se kisi n kisi ka darshan ho, bare sobhaagy ki baat hai meri vah abhilasha puri ho gayi he,somy- suvabhaav chacha ji kripa karke aap yah bataiye ki aapka aagman kis nimit se hua hai? Akrur ji bole kans ne to sabhi yaduvanshi se ghor ver thaan rakha he, vah vasudev ko bhi maarne ki kosis kar chuka hai. Narad Ji usko apke o